Shayari
baDi viraani hai dil ke shajar par
mohabbat ke parinde uD gae kyaa
Z
Zyesha Usmaanai shakhs tujh se tark-e-ta'alluq kaa gham nahin
gham ye hai main ne khud ko tire saath kho diyaa
اے شخص تجھ سے ترک تعلق کا غم نہیں
غم یہ ہے میں نے خود کو ترے ساتھ کھو دیا
ऐ शख़्स तुझ से तर्क-ए-त'अल्लुक़ का ग़म नहीं
ग़म ये है मैं ने ख़ुद को तिरे साथ खो दिया
baDi viraani hai dil ke shajar par
mohabbat ke parinde uD gae kyaa
har baat dil ki lab pe nahin laanaa laazmi
kuchh guftugu mein bhi adab aadaab chaahiye
bujhne nahin diyaa ise furqat ke baa'd bhi
yaadon se teri dil ko farozaan rakhaa sadaa
log aaeinge bahut chhoD ke jaaeinge bahut
har kisi ko na kaleje se lagaa kar rakhiye
muflisi paanv ki zanjir thi aur
ru-ba-ru aa ke zarurat Thahri
kaisaa ye marhala hai ki ik dusre se ham
kahne ko aashnaa hain magar aashnaa nahin
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
nazar bachaa ke jo aansu kiye the main ne paak
khabar na thi yahi dhabbe baneinge daaman ke
bataa khud ko bhalaa kaise sanvaarun
mujhe gham aainon mein dikh rahaa hai
us pe qurbaan ki jis ne tiri aavaaz suni
sadqe us aankh ke jis ne tiraa jalva dekhaa