SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byBedam Shah Warsi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kyaa gila is kaa jo meraa dil gayaa mil gae tum mujh ko sab kuchh mil gayaa jis ko aankhein DhunDhti thiin paa gaiin dil ko jis ki justuju thi mil gayaa is gul-e-raanaa ne hans kar baat ki ghuncha-e-khaatir hamaaraa khil gayaa chhoD kar tu us ko ghairon se milaa khaak mein jo teri khaatir mil gayaa ban gai har mauj ik mauj-e-saraab tishna-lab jab main lab-e-saahil gayaa arz-e-haal-e-chaak-e-dil kyunkar karun saamne un ke gayaa munh sil gayaa ghair hi kyaa be-rukhi se aap ki aaj 'bedam' bhi bahut be-dil gayaa"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"na suno mere naale hain dard-bhare daar-o-asare aah-e-sahare tumhein kyaa jo koi martaa hai mire ai dushman-e-jaan be-daad-gare tiri surmagin aankhon ke sadqe inhein chheD na panja-e-mizhgaan se abhi zakhm-e-jigar hain tamaam hare ai mahv-e-taghaaful be-khabare liyaa ishq mein jog bhikaari bane tire naqsh-e-qadam ke pujaari bane kabhi sajde kiye kabhi gird phire but sim-bare zarrin-kamre jo tu ne hazaaron vaade kiye lekin vo kabhi iifaa na hue dil hi hain rahe armaan mire ai vaada-shikan but hila-gire 'bedam' kahein kyaa kis tarah rahe mar mar ke jiye ji ji ke mare dar-manzil-e-ishqash dar-badare majnun-e-shorida-sare"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"ham mai-kade se mar ke bhi baahar na jaaeinge mai-kash hamaari khaak ke saaghar banaaeinge vo ik kaheinge ham se to ham sau sunaaeinge munh aaeinge hamaare to ab munh ki khaaeinge kuchh chaarasaazi naalon ne ki hijr mein miri kuchh ashk mere dil ki lagi ko bujhaaeinge vo misl-e-ashk uTh nahin saktaa zamin se jis ko huzur apni nazar se giraaeinge jhonke nasim-e-subh ke aa aa ke hijr mein ik din charaagh-e-hasti-e-aashiq bujhaaeinge sahraa ki gard hogi kafan mujh gharib kaa uTh kar bagule meraa janaaza uThaaeinge ab Thaan li hai dil mein ki sar jaae yaa rahe jaise uThegaa baar-e-mohabbat uThaaeinge gardish ne meri charkh kaa chakraa diyaa dimaagh naalon se ab zamin ke tabaq thartharaaeinge 'bedam' vo khush nahin hain to achchhaa yunhi sahi naa-khush hi ho ke ghair miraa kyaa banaaeinge"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"mujhe jalvon ki us ke tamiz ho kyaa mere hosh-o-havaas bachaa hi nahin hai ye be-khabari ki khabar hi nahin vo naqaab uThaa ki uThaa hi nahin mire haal pe chhoD tabib mujhe ki azaab hai miri ziist mujhe meraa marnaa hi mere liye hai shifaa mere dard ki koi davaa hi nahin use DhunDte DhunDte kho gae hamein huaa kiyaa aur kyaa ho gae ham hamein pahron tak apni khabar hi nahin hamein koson tak apnaa pataa hi nahin miraa haal kharaab sunaa to kahaa ki vo saamne mere na aae kabhi mujhe rote jo dekhaa to hans ke kahaa ki ye sheva-e-ahl-e-vafaa hi nahin jahaan koi sitam ijaad kiyaa mujhe kah ke falak ne ye yaad kiyaa ki bas ek dil-e-'bedam' ke sivaa koi qaabil-e-mashq-e-jafaa hi nahin"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"ishq ke aasaar hain phir ghash mujhe aayaa dekho phir koi rauzan-e-divaar se jhaankaa dekho un ke milne ki tamannaa mein miTaa jaataa huun nai duniyaa hai mire shauq ki duniyaa dekho tuur par hi nahin nazzaara-e-jaanaan mauquf dekhnaa ho to vo maujud hai har jaa dekho asar-e-naala-e-aashiq nahin dekhaa tum ne thaam lo dil ko sambhal baiTho ab achchhaa dekho taur majnun ki nigaahon ke bataate hain hamein isi lailaa mein hai ik dusri lailaa dekho partav-e-mahr se maamur hai zarra zarra lahrein letaa hai har ik qatre mein dariyaa dekho duur ho jaaein jo aankhon se hijaabaat-e-dui phir to dil hi mein do-aalam kaa tamaashaa dekho sab mein DhunDaa unhein aur ki to na ki dil mein talaash nazar-e-shauq kahaan khaai hai dhokaa dekho nahin thamte nahin thamte mire aansu 'bedam' raaz-e-dil un pe huaa jaataa hai ifshaa dekho"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"qasr-e-jaanaan tak rasaai ho kisi tadbir se taair-e-jaan ke liye par maang luun main tiir se un ko kyaa dhokaa huaa mujh naa-tavaan ko dekh meri surat kyuun milaate hain miri tasvir se gaaliyaan de kar bajaae qum ke ai rashk-e-masih aap ne murde jilaae hain nai tadbir se sadqe ai qaatil tire mujh tishna-e-didaar ki tishnagi jaati rahi aab-e-dam-e-shamshir se ishve se ghamze se shokhi se adaa se naaz se miTne vaalaa huun miTaa diije kisi tadbir se ik savaal-e-vasl par do do sazaaein diin mujhe tegh se kaaTaa zabaan ko si diye lab tiir se kuchh na ho ai inqilaab-e-aasmaan itnaa to ho ghair ki qismat badal jaae meri taqdir se zindagi se kyuun na ho nafrat ki mahv-e-zulf huun qaid-e-hasti mujh ko 'bedam' kam nahin zanjir se"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"kuchh lagi dil ki bujhaa luun to chale jaaiyegaa khair siine se lagaa luun to chale jaaiyegaa main za-khud rafta huaa sunte hi jaane ki khabar pahle main aap mein aa luun to chale jaaiyegaa raasta ghere hain armaan-o-qalaq hasrat-o-yaas main zaraa bhiiD haTaa luun to chale jaaiyegaa pyaar kar luun rukh-e-raushan ki balaaein le luun qadam aankhon se lagaa luun to chale jaaiyegaa mere hone hi ne ye roz-e-siyah dikhlaayaa apni hasti ko miTaa luun to chale jaaiyegaa chhoD kar zinda mujhe aap kahaan jaaeinge pahle main jaan se jaa luun to chale jaaiyegaa aap ke jaate hi 'bedam' ki sunegaa phir kaun apni biiti main sunaa luun to chale jaaiyegaa"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"sahaaraa maujon kaa le le ke baDh rahaa huun main safina jis kaa hai tufaan vo naakhudaa huun main khud apne jalva-e-hasti kaa mubtalaa huun main na muddai huun kisi kaa na muddaaa huun main kuchh aage aalam-e-hasti se gunjtaa huun main ki dil se TuuTe hue saaz ki sadaa huun main paDaa huaa huun jahaan jis tarah paDaa huun main jo tere dar se na uTThe vo naqsh-e-paa huun main jahaan-e-ishq mein go paikar-e-vafaa huun main tiri nigaah mein jab kuchh nahin to kyaa huun main tajalliyaat ki tasvir khinch kar dil mein tasavvuraat ki duniyaa basaa rahaa huun main junun-e-ishq ki nairangiyaan are tauba kabhi khudaa huun kabhi banda-e-khudaa huun main badalti rahti hai duniyaa mire khayaalon ki kabhi milaa huun kabhi yaar se judaa huun main hayaat o maut ke jalve hain meri hasti mein taghayyuraat-e-do-aalam kaa aainaa huun main tiri ataa ke tasadduq tire karam ke nisaar ki ab to apni nazar mein bhi dusraa huun main baqaa ki fikr na andesha-e-fanaa mujh ko taayyunaat ki had se guzar gayaa huun main mujhi ko dekh lein ab tere dekhne vaale tu aaina hai miraa teraa aainaa huun main main miT gayaa huun to phir kis kaa naam hai 'bedam' vo mil gae hain to phir kis ko DhunDhtaa huun main"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"na kunisht o kalisaa se kaam hamein dar-e-dair na bait-e-haram se gharaz ki azal se hamaare sajdon ko rahi tere hi naqsh-e-qadam se gharaz jo tu mahr hai to zarra ham hain tu bahr hai to qatra ham hain tu surat hai ham aaina hamein tujh se gharaz tujhe ham se gharaz na nashaat-e-visaal na hijr kaa gham na khayaal-e-bahaar na khauf-e-khizaan na saqar kaa khatar hai na shauq-e-iram na sitam se hazar na karam se gharaz rakhaa kucha-e-ishq mein jis ne qadam huaa hazrat-e-ishq kaa jis pe karam use aap se bhi sarokaar nahin jo gharaz hai to apne sanam se gharaz tiri yaad ho aur dil-e-bedam ho tiraa dard ho aur dil-e-bedam ho 'bedam' ko rahe tire gham se gharaz tire gham ko rahe 'bedam' se gharaz"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"allaah-re faiz ek jahaan mustafid hai har mast mere pir-e-mughaan kaa murid hai vaaiz abas ye zikr-e-azaab-e-shadid hai ik tauba qufl-e-rahmat-e-haq ki kalid hai vahshat ne ham ko jaama-e-khaaki pahnaa diyaa ai aql ab ye kaahe ki qat-o-burid hai ai rah-ravaan-e-jaada-e-ulfat baDhe chalo ye kis ne kah diyaa hai ki manzil baiid hai kyunkar na qurb-e-haq ki taraf dil miraa kijiye gardan asir-e-halqa-e-habl-ul-varid hai ab jaam-e-jam ki mujh ko zarurat nahin rahi vo dil milaa hai jis mein do-aalam ki diid hai vallail hai ki zulf-e-moambar huzur ki ye ru-e-paak hai ki kalaam-e-majid hai halki si ik kharaash hai qaasid ke halq par ye khat javaab-e-khat hai ki khat ki rasid hai khanjar-ba-kaf vo kahte hain ab aae saamne kis ko khayaal-e-vasl hai armaan-e-did hai mujh khasta-e-dil ki iid kaa kyaa puchhnaa huzur jin ke gale se aap mile un ki iid hai to dekhe aur bande pe tere azaab ho yaa-rab ye teri shaan-e-karam se baiid hai shishe kaa mo'taqid hai iraadat hai jaam se kis pir-e-mai-farosh kaa 'bedam' murid hai"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"kaun saa ghar hai ki ai jaan nahin kaashaana tiraa aur jalva-khaana tiraa mai-kada teraa hai kaaba tiraa but-khaana tiraa sab hai jaanaana tiraa tu kisi shakl mein ho main tiraa shaidaai huun teraa saudaai huun tu agar shama hai ai dost main parvaana tiraa yaani divaana tiraa mujh ko bhi jaam koi pir-e-kharaabaat mile teri khairaat mile taa-qayaamat yunhi jaari rahe paimaana tiraa rahe mai-khaana tiraa tere darvaaze pe haazir hai tire dar kaa faqir ai amiron ke amiir mujh pe bhi ho kabhi altaaf-e-karimaana tiraa lutf-e-shaahaana tiraa sadqa mai-khaane kaa saaqi mujhe be-hoshi de khud-faraamoshi de yuun to sab kahte hain 'bedam' tiraa mastaana tiraa ab huun divaana tiraa"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"gul kaa kiyaa jo chaak garebaan bahaar ne dast-e-junun lage mire kapDe utaarne chhoDaa kahin na mujh ko nasim-e-bahaar ne kunj-e-qafas mein bhi mujhe aai ubhaarne ab dil ki laaj mashq-e-tasavvur ke haath hai shisha mein us pari ko chalaa hai utaarne saaqi to saaqi baada-paraston ke paanv par sajde kiraae laghzish-e-mastaana-vaar ne ab to nazar mein daulat-e-kaunain hech hai jab tujh ko paa liyaa dil-e-ummid-vaar ne chashm-e-adaa-shanaas ko hairaan kar diyaa husn apnaa zarre zarre mein dikhlaa ke yaar ne 'bedam' tumhaari aankhein hain kyaa arsh kaa charaagh raushan kiyaa hai naqsh-e-kaf-e-paa-e-yaar ne"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"paas-e-adab mujhe unhein sharm-o-hayaa na ho nazzaara-gaah mein asar-e-maa-sivaa na ho maanaa miri qubul nahin hai duaa na ho itnaa hi ho ki us pe asar ghair kaa na ho kyuun kar kahun ki paas unhein ghair kaa na ho jo ghusse mein bhi kahte hain teraa buraa na ho is parde mein to kitne girebaan chaak hain vo be-hijaab hon to khudaa jaane kyaa na ho takiye mein kyaa rakhaa hai khat-e-ghair ki tarah dekhun to main navishta-e-qismat miraa na ho mil kar gale vo karte hain khanjar ki tarah kaaT is par bhi kah rahaa huun ki mujh se judaa na ho muusaa kaa haal dekh ke dil kaanpne lagaa ab to duaa hai un se miraa saamnaa na ho vo baar baar meraa lipaTnaa shab-e-visaal un kaa jhijak ke kahnaa koi dekhtaa na ho 'bedam' ki zindagi hai isi chheD-chhaaD mein tark-e-vafaa ki tarah se tark-e-jafaa na ho"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"mubaarak saaqi-e-mastaan mubaarak farogh-e-majlis-e-rindaan mubaarak jabin-e-shauq ke sajdon pe sajde tujhe sang-e-dar-e-jaanaan mubaarak tajalli-e-jamaal-e-ru-e-jaanaan tujhe ai dida-e-hairaan mubaarak adaa-e-dilbari o dil-navaazi tujhe ai khusrav-e-khubaan mubaarak ridaa-e-khvaajgi taaj-e-vilaayat tumhein ai murshid-e-dauraan mubaarak kisi ke zakhm-haa-e-dil ko yaa-rab kisi ki jumbish-e-mizhgaan mubaarak dar-e-'vaaris' pe hai 'bedam' kaa bistar tiri jannat tujhe rizvaan mubaarak"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"yuun gulshan-e-hasti ki maali ne binaa Daali phulon se judaa kaliyaan kaliyon se judaa Daali sar rakh ke hatheli par aur lakht-e-jigar chun kar sarkaar mein laae hain arbaab-e-vafaa Daali ruuyaa kahun main is ko yaa muzhda-e-bedaari ghul hai ki naqaab us ne chehre se uThaa Daali allaah-re tasavvur ki naqqaashi o nairangi jab ban gai ik surat ik shakl miTaa Daali saaqi ne sitam Dhaayaa barsaat mein tarsaayaa jab fasl-e-bahaar aai dukaan uThaa Daali khun-e-dil-e-aashiq ke us qatre kaa kyaa kahnaa duniyaa-e-vafaa jis ne rangin banaa Daali 'bedam' tire girya ne tufaan uThaa Daale aur naalon ne duniyaa ki buniyaad hilaa Daali"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"bataae deti hai be-puchhe raaz sab dil ke nigaah-e-shauq kisi ki nigaah se mil ke nikaale hausle maqtal mein apne bismil ke nisaar tegh ke qurbaan aise qaatil ke main us pe sadqe jo jaae kisi ki yaad mein jaan kisi ko chaahe main qurbaan jaaun us dil ke baDi adaaon se li jaan apne kushte ki hazaar baar main qurbaan apne qaatil ke ghubaar-e-qais nahin hai to kaun hai lailaa koi to hai ki jo phirtaa hai gird mahmil ke vo phuuT bahne mein mashshaaq hain ye rone mein raheinge dab ke na aankhon se aable dil ke mahaar-e-naaqa-e-lailaa tu khinch le ai aah haTaa de dast-e-talab baDh ke parde mahmil ke vo dil mein hain magar aankhon se duur hain 'bedam' paDaa huaa huun main pyaasaa qarib saahil ke"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"teri ulfat shoabada-parvaaz hai aarzu gar hai tamannaa-saaz hai phir hadis-e-ishq kaa aaghaaz hai aaj phir goyaa zabaan-e-raaz hai ganj-e-asraar-e-azal hai baagh-e-dahr pattaa pattaa daftar-e-sad-raaz hai jaan de di un pe aur zinda rahe apne marne kaa nayaa andaaz hai hoshiyaar ai naavak-afgan hoshyaar taair-e-jaan maail-e-parvaaz hai rukhsat ai aql-o-khirad hosh-o-havaas shauq-e-vasl-e-yaar kaa aaghaaz hai mere naale sun ke farmaate hain vo ye usi ki dukh-bhari aavaaz hai jis ko sab samjhe hain dasht-e-karbalaa vo to maidaan-e-niyaaz-o-naaz hai zarre zarre mein ayaan hone ke baad aaj tak raaz-e-haqiqat raaz hai aap jaanchein majma-e-ushshaaq mein un mein 'bedam' saa koi jaan-baaz hai"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"shaadi o alam sab se haasil hai subukdoshi sau hosh mire sadqe tujh par miri be-hoshi gum hone ko paa jaanaa kahte hain mohabbat mein aur yaad kaa rakkhaa hai yaan naam faraamoshi kal ghair ke dhoke mein vo iid mile ham se kholi bhi to dushman ne taqdir-e-ham-aaghoshi vo qulqul-e-minaa mein charche miri tauba ke aur shisha-o-saaghar ki mai-khaane mein sargoshi ham ranj bhi paane par mamnun hi hote hain ham se to nahin mumkin ehsaan-faraamoshi hosh aataa hai phir mujh ko phir hosh mujhe aayaa denaa nigah-e-saaqi ik saaghar-e-be-hoshi kal arsa-e-mahshar mein jab aib khulein mere rahmat tiri phailaa de daamaan-e-khataa-poshi milte hi nazar tujh se mastaana huaa 'bedam' saaqi tiri aankhein hain yaa saaghar-e-be-hoshi"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"parde uThe hue bhi hain un ki idhar nazar bhi hai baDh ke muqaddar aazmaa sar bhi hai sang-e-dar bhi hai jal gai shaakh-e-aashiyaan miT gayaa teraa gulsitaan bulbul-e-khaanumaan-kharaab ab kahin teraa ghar bhi hai ab na vo shaam shaam hai apni na vo sahar sahar hone ko yuun to roz hi shaam bhi hai sahar bhi hai chaahe jise banaaiye apnaa nishaana-e-nazar zad pe tumhaare tiir ke dil bhi hai aur jigar bhi hai din ko usi se raushni shab ko usi se chaandni sach to ye hai ki ru-e-yaar shams bhi hai qamar bhi hai zulf-ba-dosh be-naqaab ghar se nikal khaDe hue ab to samajh gae huzur naalon mein kuchh asar bhi hai 'bedam'-e-khasta kaa mazaar aap to chal ke dekhiye shama banaa hai daagh-e-dil bekasi nauhagar bhi hai"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"khinchi hai tasavvur mein tasvir-e-ham-aaghoshi ab hosh na aane de mujh ko miri be-hoshi paa jaanaa hai kho jaanaa kho jaanaa hai paa jaanaa be-hoshi hai hushyaari hushyaari hai be-hoshi main saaz-e-haqiqat huun dam-saaz-e-haqiqat huun khaamoshi hai goyaai goyaai hai khaamoshi asraar-e-mohabbat kaa izhaar hai naa-mumkin TuuTaa hai na TuTegaa qufl-e-dar-e-khaamoshi har dil mein tajalli hai un ke rukh-e-raushan ki khurshid se haasil hai zarron ko ham-aaghoshi jo suntaa huun suntaa huun main apni khamoshi se jo kahti hai kahti hai mujh se miri khaamoshi ye husn-faroshi ki dukaan hai yaa chilman nazzaara kaa nazzaara ruposhi ki ruposhi yaan khaak kaa zarra bhi laghzish se nahin khaali mai-khaana-e-duniyaa hai yaa aalam-e-be-hoshi haan haan mire isyaan kaa parda nahin khulne kaa haan haan tiri rahmat kaa hai kaam khataa-poshi is parde mein poshida lailaa-e-do-aalam hai be-vajh nahin 'bedam' kaabe ki siyah-poshi"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"apni hasti kaa agar husn numaayaan ho jaae aadmi kasrat-e-anvaar se hairaan ho jaae tum jo chaaho to mire dard kaa darmaan ho jaae varna mushkil hai ki mushkil miri aasaan ho jaae o namak-paash tujhe apni malaahat ki qasam baat to jab hai ki har zakhm namakdaan ho jaae dene vaale tujhe denaa hai to itnaa de de ki mujhe shikva-e-kotaahi-e-daamaan ho jaae us siyah-bakht ki raatein bhi koi raatein hain khvaab-e-raahat bhi jise khvaab-e-pareshaan ho jaae sina-e-shibli-o-mansur to phunkaa tu ne is taraf bhi karam ai jumbish-e-daamaan ho jaae aakhiri saans bane zamzam-e-hu apnaa saaz-e-mizraab-e-fanaa taar-e-rag-e-jaan ho jaae tu jo asraar-e-haqiqat kahin zaahir kar de abhi 'bedam' rasan-o-daar kaa saamaan ho jaae"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi