SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMuztar Khairabadi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jab kahaa tiir tiri aankh ne aksar maaraa chitvanein pher ke bole ki baraabar maaraa qadr kuchh bhi mire dil ki but-e-kaafir ne na ki zulf-e-pechaan se jo uljhaa to mire sar maaraa jaan be-maut khudaa bhi nahin letaa lekin tu ne be-maut hi logon ko sitamgar maaraa chand zarre meri miTTi ke faqat haath aae dasht-e-ghurbat ke bagulon ne jo chakkar maaraa ik musalmaan kaa dil toD diyaa kyaa kahnaa apne nazdik baDaa aap ne kaafar maaraa 'muztar' aisaa koi ab tak na huaa aur na ho maut ne haae 'abas daagh-e-sukhanavar maaraa"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"kaise dil lagtaa haram mein daur-e-paimaana na thaa is liye phir aae kaabe se ki mai-khaana na thaa tum ne dekhi hi nahin taqdir ki taarikiyaan ik andheri gor thi furqat mein kaashaana na thaa majma-e-bait-ul-haram ki dhuum sunte the magar jaa ke jab dekhaa to un mein koi farzaana na thaa hashr mein us shokh kaa tarz-e-taghaaful dekhnaa mujh ko pahchaanaa nahin haalaanki begaana na thaa hashr mein aakhir use bhi chhoDte hi ban paDi khaana-e-madfan bhi goyaa apnaa kaashaana na thaa aisi kyaa biiti ki 'muztar' un buton par mar miTaa jaan de detaa vo kuchh aisaa to divaana na thaa"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"ik naqsh-e-khayaal ru-ba-ru hai jo kuchh hai ye kuchh nahin hai tu hai har phuul ke saath ek kaanTaa har dost ke saath ik adu hai dil hai to hazaar tujh se achchhe aisaa hi to ik baDaa vo tu hai dushman ke jigar kaa khaar main huun aur us ke gale kaa haar tu hai daaman jo hai parda-daar-e-vahshat is mein bhi kai jagah rafu hai main aap hi aap ro rahaa huun kuchh aap hi aap guftugu hai mahshar mein kisi kaa haae kahnaa ab aap ke haath aabru hai o ghair ko aankh dene vaale 'muztar' bhi nigaah-e-ru-ba-ru hai"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"vaqt-e-aakhir yaad hai saaqi ki mehmaani mujhe marte marte de diyaa angur kaa paani mujhe vo miri surat to dekhein apni surat ke liye kaash aaina banaa de meri hairaani mujhe kaT gayaa hai vasl se pahle zamaana umr kaa haae dhokaa de gayaa bahtaa huaa paani mujhe daaman-e-sahraa se lungaa mar ke vahshat mein kafan ik nayaa joDaa pinhaaegi ye uryaani mujhe mere gul ko laa yaa apne phuul le jaa andalib aise kaanTon se nahin faansein nikalvaani mujhe tum agar chaaho to miTTi se abhi paidaa hon phuul main agar maangun to dariyaa bhi na de paani mujhe tishna-kaami is ko kahte hain ki bahr-e-ishq mein main agar utrun to uupar pheink de paani mujhe aisi mushkil tum ne Daali hai ki jab mar jaaungaa muddaton royaa karegi meri aasaani mujhe tu ne itni di ki mai-khvaari ki hasrat bah gai main ne itni pi ki aakhir ho gai paani mujhe rone jaataa huun main apni hasraton ke Dher par be-kasi aa kar sikhaa de marsiya-khvaani mujhe hashr mein chalnaa paDegaa ek TeDhaa raasta kucha-e-jaanaan sikhaa de Thokarein khaani mujhe 'muztar' apne haq ke kaanTe chun ke main rukhsat huaa aur kyaa deti bahaar-e-gulshan-e-faani mujhe"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"ab is se baDh ke kyaa naakaamiyaan hongi muqaddar mein main jab pahunchaa to koi bhi na thaa maidaan-e-mahshar mein ilaahi nahr-e-rahmat bah rahi hai is mein Dalvaa de gunahgaaron ke isyaan baandh kar daamaan-e-mahshar mein khule gesu to didaar-e-khudaa bhi ho gayaa mushkil qayaamat kaa andheraa chhaa gayaa maidaan-e-mahshar mein sharik-e-kasrat-e-makhluq tu kyuun ho gayaa yaarab tiri vahdat kaa parda kyaa huaa maidaan-e-mahshar mein qayaamat to hamaari thi ham aapas mein nibat lete koi puchhe khudaa kyuun aa gayaa maidaan-e-mahshar mein kisi kaa aabla-paa qabr se ye puchhtaa uTThaa kahin thoDe bahut kaanTe bhi hain maidaan-e-mahshar mein ilaahi dard ke qisse bahut hain vaqt thoDaa hai shab-e-furqat kaa daaman baandh de daamaan-e-mahshar mein na uThte kushtagaan-e-naaz hargiz apni turbat se tiri aavaaz shaamil ho gai thi sur-e-mahshar mein tah-e-madfan mujhe rahte zamaana ho gayaa 'muztar' kuchh aisi niind soyaa huun ki ab jaagungaa mahshar mein"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"kyaa kahun hasrat-e-didaar ne kyaa kyaa khinchaa kabhi daaman tiraa khinchaa kabhi pardaa khinchaa naqsh-e-ummid mire shauq ne ulTaa khinchaa mujh se khinchte hi gae vo unhein jitnaa khinchaa vo tire dil mein hamaari bhi jagah kar degaa jis ne is aankh ke til mein tiraa naqshaa khinchaa khvaab is dil pe tiri aankh ne Dore Daale khuub kaajal ne tiri aankh mein Doraa khinchaa taan liin donon bhavein Daal ke nazrein us ne tiir chhoDe to kamaanon ne bhi chillaa khinchaa zabt-e-fariyaad se 'muztar' miri saansein uljhin rasm-e-fariyaad ne uupar ko kalejaa khinchaa"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"ghurur-e-ulfat ki tarz-e-naazish ajab karishme dikhaa rahi hai hamaari ruThi hui nazar ko tiri tajalli manaa rahi hai vo tuur vaali tiri tajalli ghazab ki garmi dikhaa rahi hai vahaan to patthar jalaa diye the yahaan kaleja jalaa rahi hai mire nasheman mein shaan-e-qudrat ke saare asbaab hain muhayyaa havaa safaai pe hai muqarrar charaagh bijli jalaa rahi hai na us ke daaman se main hi uljhaa na mere daaman se ye hi aTki havaa se meraa bigaaD kyaa hai jo sham-e-turbat bujhaa rahi hai farishte aae agar lahad mein to saaf kah dungaa raasta lo jab us ki chaahat mein jaan de di to baat kahne ko kyaa rahi hai jamaal-e-qudrat mujhi ko de de ki main kaleje ki choT sekun kalim ke ghar mein rakkhe rakkhe vo aag ab kyaa banaa rahi hai"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"mohabbat baais-e-naa-mehrbaani hoti jaati hai hamaari saari mehnat dhul-dhaani hoti jaati hai hikaayat huun jo raaton ko hamesha hoti rahti hai shikaayat huun jo aapas mein zabaani hoti jaati hai tiraa gham aaj tak taaza hai zaalim varna duniyaa mein nai shai din guzarne se puraani hoti jaati hai tumhaari yaad mein ahl-e-jahaan mar mar ke jiite hain qazaa logon ke haq mein zindagaani hoti jaati hai baDaa ilzaam Thahraa hai taalluq rishta-daari kaa qaraabat ki mohabbat bad-gumaani hoti jaati hai yahi tambih milne par unhein majbur karti hai yahi taakid goyaa zid ki baani hoti jaati hai mire gham mein vo majburi se un haalon ko pahunche hain ki ab un ki nazaakat naa-tavaani hoti jaati hai tire kuche mein ab gardish ki surat paDti jaati hai zamin ki chaal daur-e-aasmaani hoti jaati hai mire pahlu mein dil kab thaa lahu ki buund thi 'muztar' so ab vo buund bhi qismat se paani hoti jaati hai"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"dam-e-aakhir musibat kaaT do bahr-e-khudaa meri tum aa kar dard ke parde mein kar jaao davaa meri mohabbat but-kade mein chal ke us kaa faisla kar de khudaa meraa khudaa hai yaa ye murat hai khudaa meri yahaan se jab gai thi tab asar par khaar khaae thi vahaan se phuul barsaati hui palTi duaa meri tu hi kah de ye jism-e-zaar meraa hai ki teraa hai tu hi kah de ye ruh-e-naa-tavaan teri hai yaa meri paDaa hai tafraqa jis din se kyaa kyaa yaad karti hai udhar mujh ko jafaa teri idhar tujh ko vafaa meri muqayyad ho ke lutf-e-hasti-e-aazaad bhi khoyaa vo kyaa thi ibtidaa meri ye kyaa hai intihaa meri vahaan jab the to jism-e-naa-tavaan mein ruuh phunki thi yahaan jis din se aae aap ban baiThe qazaa meri miyaan-e-hashr ye kaafir baDe itraae phirte hain mazaa aa jaae aise mein agar sun le khudaa meri kisi kaa jalva-e-rangin ye kahtaa hai inhein puujo ye us patthar ke but hain jis pe pisti thi hinaa meri na-jaane kaun se yusuf kaa jalva mujh mein pinhaan hai zulekhaa aaj tak karti hai 'muztar' iltijaa meri"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"sab sharik-e-sadma-o-aazaar kuchh yunhi se hain yaar kuchh yunhi se hain gham-khvaar kuchh yunhi se hain un ke sab afaaal sab atvaar kuchh yunhi se hain qaul kuchh yunhi se hain iqraar kuchh yunhi se hain apne divaane se mil liije usi mein khair hai aap abhi rusvaa sar-e-baazaar kuchh yunhi se hain jis jagah dekho nasihat ke liye maujud hain hazrat-e-naaseh khudaai-khvaar kuchh yunhi se hain dast-e-vahshat ne garebaan kaa safaayaa kar diyaa jeb ke parde mein thoDe taar kuchh yunhi se hain un ke aane ki khabar sun kar uDaa di hai khabar varna 'muztar' vaaqai bimaar kuchh yunhi se hain"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"mukhaalif hai sabaa-e-naama-bar kuchh aur kahti hai udhar kuchh aur kahti hai idhar kuchh aur kahti hai na tu dushman ke ghar soyaa na tu dushman ke ghar jaagaa ye sab sach hai tiri surat magar kuchh aur kahti hai udhar madd-e-nazar un ko chhupaanaa raaz ulfat kaa idhar kambakht meri chashm-e-tar kuchh aur kahti hai tasavvur dil mein shaayad aa gayaa hai ghar ke jaane kaa ye angDaai tiri vaqt-e-sahar kuchh aur kahti hai nahin maalum 'muztar' mar gayaa yaa saans baaqi hai ilaahi khair shakl-e-chaaragar kuchh aur kahti hai"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"jafaa se vafaa mustarad ho gai yahaan ham bhi qaail hain had ho gai nigaahon mein phirti hai aaThon pahar qayaamat bhi zaalim kaa qad ho gai azal mein jo ik laag tujh se hui vo aakhir ko daagh-e-abad ho gai miri intihaa-e-vafaa kuchh na puchh jafaa dekh jo laa-taad ho gai mukarte ho allaah ke saamne ab aisaa bhi kyaa jhuuT had ho gai taalluq jo palTaa to jhagDaa banaa mohabbat jo badli to kad ho gai vo aankhon ki hadd-e-nazar kab bane nazar khud vahaan jaa ke had ho gai jafaa se unhon ne diyaa dil pe daagh mukammal vafaa ki sanad ho gai qayaamat mein 'muztar' kisi se mile kahaan jaa ke gheraa hai had ho gai"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"aish ke rang malaalon se dabe jaate hain ab to ham apne hi haalon se dabe jaate hain paanv rakhnaa mujhe sahraa mein bhi dushvaar hai ab saare kaanTe mire chhaalon se dabe jaate hain tauba tauba vo mire khvaab mein kyaa aaeinge jaagte mein jo khayaalon se dabe jaate hain allaah allaah ri nazaakat tire rukhsaaron ki itne naazuk hain ki khaalon se dabe jaate hain tu hai koThe pe to katraa ke nikalti hai ghaTaa kaale baadal tire baalon se dabe jaate hain kyaa dabaaeinge ubhar kar tire joban zaalim ye to khud dekhne vaalon se dabe jaate hain un ko ai shauq-e-talab chheD ke mahjub na kar jo mohabbat ke khayaalon se dabe jaate hain be-tarah baar-e-mohabbat to paDaa hai un par aap kyuun chaahne vaalon se dabe jaate hain baar huun dida-e-arbaab-e-sukhan par 'muztar' muddai mere kamaalon se dabe jaate hain"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"duaa se kuchh na huaa iltijaa se kuchh na huaa buton ke ishq mein yaad-e-khudaa se kuchh na havaa main ek kyaa huun sabhi baa-vafaa hain shaaki-e-jaur tum ek kyaa ho kisi bevafaa se kuchh na huaa bhari to thi magar apne asar ko laa na saki gai to thi magar aah-e-rasaa se kuchh na huaa vo aarzu huun ki jis aarzu ki kuchh na chali vo muddaaa huun ki jis muddaaa se kuchh na huaa yahi sahi ki khushi se mile mile to sahi yahi sahi ki hamaari duaa se kuchh na huaa vo ek ham ki jo chaahaa kiyaa visaal ki raat vo ek tum ki tumhaari hayaa se kuchh na huaa unhein bulaa ke tasavvur mein ham mile 'muztar' havas to ho gai puuri balaa se kuchh na huaa"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"mohabbat ghair se ki hai to meraa muddaaa le lo mire dil pe guzarti kyaa hai is kaa bhi mazaa le lo jo kahtaa huun jafaaein chhoD do ahd-e-vafaa le lo to kahte hain khudaa se tum muqaddar dusraa le lo jo puchhaa chhoD duun ulfat to bole is se kyaa hogaa jo puchhaa apnaa dil le luun to jhunjhlaa kar kahaa le lo janaab-e-khizr raah-e-ishq mein laDne se kyaa haasil main apnaa raasta le luun tum apnaa raasta le lo shab-e-furqat jo dard-e-dil se 'muztar' dam ulajhtaa hai qazaa kahti hai ghabraao nahin mujh se davaa le lo"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"zer-e-zamin rahun ki tah-e-aasmaan rahun ai justuju-e-yaar bataa main kahaan rahun masruf-e-shukr-e-nemat-e-pir-e-mughaan rahun allaah mujh ko yuun hi pilaae jahaan rahun ghul kar bhi jaanib-e-dar-e-pir-e-mughaan rahun mauj-e-sharaab-e-naab banun aur ravaan rahun yaa-rab hariq-e-shoala-e-ishq-e-butaan rahun dozakh ki aag le ke muqim-e-jinaan rahun zaalim ye bazm-e-husn kaa achchhaa rivaaj hai tu shama ho ke bhi na jale main tapaan rahun ai chashm-e-yaar maut kaa pahlu bachaa ke tu aisi nigaah Daal ki main nim-jaan rahun aab-e-hayaat pi ke khizar kyaa yahaan rahe main Thaan luun to kuchh na piyun aur yahaan rahun ban jaaein meri tarz-e-fanaa ki kahaaniyaan aisaa miTaa ki saahib-e-naam-o-nishaan rahun saaqi vo khaas-taur ki taalim de mujhe us mai-kade mein jaaun to pir-e-mughaan rahun 'muztar' vajud-e-zaat ne ghar tak bhi le liyaa jab khud vo har jagah hai to ab main kahaan rahun"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"jaan ye kah ke but-e-hosh-rubaa ne le li koi puchhe to ye kahnaa ki khudaa ne le li gul-e-maqsud mein avval to mahak thi hi nahin aur jo thi bhi vo hasrat ki havaa ne le li sab se pahle to siyaahi miri qismat ko mili jo bachi thi vo tiri zulf-e-dotaa ne le li jaan kambakht mohabbat mein bachaae na bachi but-e-kaafir se jo chhuTi to khudaa ne le li dam-e-aakhir but-e-bedard kaa daaman chhuTaa mere haathon se baDi chiiz khudaa ne le li chal basi jaan to is baat kaa gham kyaa 'muztar' ik amaanat thi khudaa ki so khudaa ne le li"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi