Shayari
muflison ki zindagi kaa zikr kyaa
muflisi ki maut bhi achchhi nahin
The most profound reflections on life — its beauty, its struggle, and its meaning.
muflison ki zindagi kaa zikr kyaa
muflisi ki maut bhi achchhi nahin
go safedi mu ki yuun raushan hai juun aab-e-hayaat
lekin apni to isi zulmaat se thi zindagi
zindagi par is se baDh kar tanz kyaa hogaa 'faraaz'
us kaa ye kahnaa ki tu shaaer hai divaana nahin
dhuup mein niklo ghaTaaon mein nahaa kar dekho
zindagi kyaa hai kitaabon ko haTaa kar dekho
silvaTein hain mire chehre pe to hairat kyuun hai
zindagi ne mujhe kuchh tum se ziyaada pahnaa
ek musht-e-khaak aur vo bhi havaa ki zad mein hai
zindagi ki bebasi kaa istiaara dekhnaa
apne man mein Duub kar paa jaa suraagh-e-zindagi
tu agar meraa nahin bantaa na ban apnaa to ban
is zindagi mein itni faraaghat kise nasib
itnaa na yaad aa ki tujhe bhuul jaaein ham
kuchh is tarah se guzaari hai zindagi jaise
tamaam umr kisi dusre ke ghar mein rahaa
yahi hai zindagi kuchh khvaab chand ummidein
inhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalo
zindagi main bhi chalungaa tire pichhe pichhe
tu mire dost kaa naqsh-e-kaf-e-paa ho jaanaa
yahin tak laai hai ye zindagi bhar ki masaafat
lab-e-dariyaa huun main aur vo pas-e-dariyaa khilaa hai
maanaa jivan mein aurat ik baar mohabbat karti hai
lekin mujh ko ye to bataa de kyaa tu aurat zaat nahin
thaa zindagi mein marg kaa khaTkaa lagaa huaa
uDne se pesh-tar bhi miraa rang zard thaa
shaikh saahab se rasm-o-raah na ki
shukr hai zindagi tabaah na ki
bahut milaa na milaa zindagi se gham kyaa hai
mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kyaa hai
zindagi kyaa kisi muflis ki qabaa hai jis mein
har ghaDi dard ke paivand lage jaate hain
tere baghair bhi to ghanimat hai zindagi
khud ko ganvaa ke kaun tiri justuju kare
amal se zindagi banti hai jannat bhi jahannam bhi
ye khaaki apni fitrat mein na nuuri hai na naari hai
zindagaani ki haqiqat kohkan ke dil se puchh
ju-e-shir o tesha o sang-e-giraan hai zindagi
jannat ki zindagi hai jis ki fazaa mein jiinaa
meraa vatan vahi hai meraa vatan vahi hai
raaz-e-hayaat puchh le khizr-e-khajista gaam se
zinda har ek chiiz hai koshish-e-naa-tamaam se
ye hai khulaasa-e-ilm-e-qalandari ki hayaat
khadang-e-jasta hai lekin kamaan se duur nahin
rahegaa saath tiraa pyaar zindagi ban kar
ye aur baat miri zindagi vafaa na kare
zindagi mein to vo mahfil se uThaa dete the
dekhun ab mar gae par kaun uThaataa hai mujhe