Shayari
abhi to baat karo ham se doston ki tarah
phir ikhtilaaf ke pahlu nikaalte rahnaa
rahegaa saath tiraa pyaar zindagi ban kar
ye aur baat miri zindagi vafaa na kare
رہے گا ساتھ ترا پیار زندگی بن کر
یہ اور بات مری زندگی وفا نہ کرے
rahegā saath tirā pyaar zindagī ban kar
ye aur baat mirī zindagī vafā na kare

abhi to baat karo ham se doston ki tarah
phir ikhtilaaf ke pahlu nikaalte rahnaa
aakhri hichki tire zaanun pe aae
maut bhi main shaairaana chaahtaa huun
apne haathon ki lakiron mein sajaa le mujh ko
main huun teraa tu nasib apnaa banaa le mujh ko
nikal kar dair-o-kaaba se agar miltaa na but-khaana
to Thukraae hue insaan khudaa jaane kahaan jaate
kyuun sharik-e-gham banaate ho kisi ko ai 'qatil'
apni suuli apne kaandhe par uThaao chup raho
ab jis ke ji mein aae vahi paae raushni
ham ne to dil jalaa ke sar-e-aam rakh diyaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
koi to moajaza aisaa bhi ho apni mohabbat mein
tire inkaar se iqraar ki surat nikal aae
is mohabbat ne hamein joD diyaa aapas mein
varna ham donon kaa ik jaisaa aqida to na thaa
ishq marhun-e-hikaayaat-o-gumaan bhi hogaa
vaaqia hai to kisi taur bayaan bhi hogaa
jitni vo mire haal pe karte hain jafaaein
aataa hai mujhe un ki mohabbat kaa yaqin aur