SHAWORDS

baanT Daale aise ham ne dil ke TukDe kaaT kar — Ankit Maurya

HomeAnkit MauryaGhazal
"baanT Daale aise ham ne dil ke TukDe kaaT kar janm-din pe baanTte hain cake jaise kaaT kar ik anguThi le na paaein itne mein us ke liye joD rakkhe the jo paise jeb kharche kaaT kar ham nadi ke do kinaare milnaa to mumkin nahin par mileinge ek din donon kinaare kaaT kar hauslon pe in parindon ke na karnaa shak kabhi hai rihaa honaa jinhein pinjra paron se kaaT kar ishq jis mein naa bichhaDne kaa zaraa bhi Dar rahe khelnaa hai khel par saanpon ke khaane kaaT kar zindagi se aise kaaTaa scene us ne ishq kaa dekhtaa hai koi jaise film gaane kaaT kar"
Urdu

بانٹ ڈالے ایسے ہم نے دل کے ٹکڑے کاٹ کر جنم دن پہ بانٹتے ہیں کیک جیسے کاٹ کر اک انگوٹھی لے نہ پائیں اتنے میں اس کے لیے جوڑ رکھے تھے جو پیسے جیب خرچے کاٹ کر ہم ندی کے دو کنارے ملنا تو ممکن نہیں پر ملیں گے ایک دن دونوں کنارے کاٹ کر حوصلوں پے ان پرندوں کے نہ کرنا شک کبھی ہے رہا ہونا جنہیں پنجرہ پروں سے کاٹ کر عشق جس میں نا بچھڑنے کا ذرا بھی ڈر رہے کھیلنا ہے کھیل پر سانپوں کے کھانے کاٹ کر زندگی سے ایسے کاٹا سین اس نے عشق کا دیکھتا ہے کوئی جیسے فلم گانے کاٹ کر

Hindi

बाँट डाले ऐसे हम ने दिल के टुकड़े काट कर जन्म-दिन पे बाँटते हैं केक जैसे काट कर इक अँगूठी ले न पाएँ इतने में उस के लिए जोड़ रक्खे थे जो पैसे जेब ख़र्चे काट कर हम नदी के दो किनारे मिलना तो मुमकिन नहीं पर मिलेंगे एक दिन दोनों किनारे काट कर हौसलों पे इन परिंदों के न करना शक कभी है रिहा होना जिन्हें पिंजरा परों से काट कर इश्क़ जिस में ना बिछड़ने का ज़रा भी डर रहे खेलना है खेल पर साँपों के खाने काट कर ज़िंदगी से ऐसे काटा सीन उस ने इश्क़ का देखता है कोई जैसे फ़िल्म गाने काट कर

baañT Daale aise ham ne dil ke TukḌe kaaT kar
Ankit Maurya
Ankit Maurya
Ankit Maurya
poet48 quotes

More by Ankit Maurya

View all →
Quote
"sadaaein detaa rahtaa hai ki ai maulaa dikhaai de tu yaani chaahtaa hai ki vo hai kaisaa dikhaai de nikal baahar tu in dair-o-haram ke masalon se phir mohabbat hi mohabbat ki tujhe duniyaa dikhaai de main mandir mein bhi jaataa huun main masjid mein bhi jaaungaa khudaa har samt hi mujh ko bas ik jaisaa dikhaai de na jaane rabt ye kaisaa hai us insaan se meraa kabhi jo muund luun aankhein vahi chehra dikhaai de ye jo hai ishq kaa rasta ye aisaa ek rasta hai jahaan koi nahin manzil faqat rasta dikhaai de"
Ankit MauryaAnkit Maurya

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb