"yaqin kaun karegaa gumaan pe aayaa huun main apne aap se chhup kar yahaan pe aayaa huun mujhe bhi aql pareshaan karti rahti hai nahin nahin se guzar kar main haan pe aayaa huun mujhe vo dekh ke hairaan kyuun nahin hogaa zamin oDh ke main aasmaan pe aayaa huun ye baat tu hi bataa kis tarah bataaun tujhe main dil ke raaste teri zabaan pe aayaa huun na jaane kab se nahin mil sakaa huun main khud se main khud se milne tire aastaan pe aayaa huun ye iztiraab haqiqat mein iztiraab nahin khushi khushi main is aah-o-fughaan pe aayaa huun mujhe talaash na kar tu yahaan vahaan 'momin' nazar uThaa ki tire khvaab-daan pe aayaa huun"
bhalaa ab aur kahaan zindagi nazar aae — Abdurrahman Momin
"bhalaa ab aur kahaan zindagi nazar aae tumhaare baa'd hamein kyaa koi nazar aae talaash jis ki hai bas vo nazar nahin aataa ye aur baat nazar ko vahi nazar aae ye hoshiyaar tujhe hoshiyaar samjheinge inhein kahaan tiri divaangi nazar aae guzar to aae hain teri gali se ham lekin jahaan bhi jaaein tiri hi gali nazar aae ye rah-guzar jo mire saath saath chalti thi tiri gali mein Thaharti hui nazar aae nazar gai thi hamaari jab aaine ki taraf use lagaa ki hamein bhi hami nazar aae vo to nahin thaa to phir kaun saath thaa mere koi to hogaa magar kab koi nazar aae tujhe dikhaai nahin de rahi magar 'momin' kalaam kar ki tujhe khaamushi nazar aae"
بھلا اب اور کہاں زندگی نظر آئے تمہارے بعد ہمیں کیا کوئی نظر آئے تلاش جس کی ہے بس وہ نظر نہیں آتا یہ اور بات نظر کو وہی نظر آئے یہ ہوشیار تجھے ہوشیار سمجھیں گے انہیں کہاں تری دیوانگی نظر آئے گزر تو آئے ہیں تیری گلی سے ہم لیکن جہاں بھی جائیں تری ہی گلی نظر آئے یہ رہگزر جو مرے ساتھ ساتھ چلتی تھی تری گلی میں ٹھہرتی ہوئی نظر آئے نظر گئی تھی ہماری جب آئنے کی طرف اسے لگا کہ ہمیں بھی ہمی نظر آئے وہ تو نہیں تھا تو پھر کون ساتھ تھا میرے کوئی تو ہوگا مگر کب کوئی نظر آئے تجھے دکھائی نہیں دے رہی مگر مومنؔ کلام کر کہ تجھے خامشی نظر آئے
भला अब और कहाँ ज़िंदगी नज़र आए तुम्हारे बा'द हमें क्या कोई नज़र आए तलाश जिस की है बस वो नज़र नहीं आता ये और बात नज़र को वही नज़र आए ये होशियार तुझे होशियार समझेंगे इन्हें कहाँ तिरी दीवानगी नज़र आए गुज़र तो आए हैं तेरी गली से हम लेकिन जहाँ भी जाएँ तिरी ही गली नज़र आए ये रहगुज़र जो मिरे साथ साथ चलती थी तिरी गली में ठहरती हुई नज़र आए नज़र गई थी हमारी जब आइने की तरफ़ उसे लगा कि हमें भी हमी नज़र आए वो तो नहीं था तो फिर कौन साथ था मेरे कोई तो होगा मगर कब कोई नज़र आए तुझे दिखाई नहीं दे रही मगर 'मोमिन' कलाम कर कि तुझे ख़ामुशी नज़र आए

More by Abdurrahman Momin
View all →"mujhe kisi ne bataayaa khudaa hai mere saath main kyaa bataaun use aur kyaa hai mere saath tujhe yaqin nahin aaegaa par haqiqat hai ye tu nahin hai koi dusraa hai mere saath ye mushkilaat bhi ab mere saath rahti hain ye jaanti hain ki mushkil-kushaa hai mere saath main kyaa bataaun tujhe yaad kyaa dilaaun tujhe tu jaantaa hai jo tu ne kiyaa hai mere saath agar vafaa ko bataaun vafaa bhi chikh paDe vafaa ke naam pe jo kuchh huaa hai mere saath sitam to ye hai ki main ne use bhi chhoD diyaa jo sab ko chhoD ke tanhaa khaDaa hai mere saath kisi se koi shikaayat nahin mujhe 'momin' jo honaa chaahiye vo ho rahaa hai mere saath"
"zamaane ko zamaane ki paDi hai hamein vaada nibhaane ki paDi hai ye duniyaa chaand par pahunchi hui hai tujhe lahore jaane ki paDi hai zaraa dekho idhar main jal rahaa huun tumhein aansu chhupaane ki paDi hai fasaana hi haqiqat ban gayaa hai haqiqat ko fasaane ki paDi hai abhi jo sher likkhaa bhi nahin hai abhi se vo sunaane ki paDi hai tire mehmaan vaapas jaa rahe hain tujhe mehmaan-khaane ki paDi hai vo tere dil mein aa baiThaa hai 'momin' tujhe divaar Dhaane ki paDi hai"
"tu agar meraa tazkira karegaa jhuuT bolegaa aur kyaa karegaa khud ko tu jaantaa nahin shaayad tu samajhtaa hai sab khudaa karegaa zakhm khaa kar bhi jo duaaein de kaun us kaa muqaabla karegaa kyaa use yaad bhi na aaungaa kyaa mujhe yaad vo kiyaa karegaa phir kahaan mil sakegaa vo mujh se jo mujhe aap se judaa karegaa apni jhuTi anaa ki khaatir to jaane kis kis se raabta karegaa dil hi aisaa hai baa-vafaa 'momin' bevafaa se bhi jo vafaa karegaa"
"main ne jab khvaab nahin dekhaa thaa tujh ko betaab nahin dekhaa thaa us ne simaab kahaa thaa mujh ko main ne simaab nahin dekhaa thaa hijr kaa baab hi kaafi thaa hamein vasl kaa baab nahin dekhaa thaa chaand mein tu nazar aayaa thaa mujhe main ne mahtaab nahin dekhaa thaa vo jo naayaab huaa jaataa hai us ko kamyaab nahin dekhaa thaa ek machhli hi nazar aai mujhe main ne taalaab nahin dekhaa thaa"
"kab talak istikhaara karein aap kuchh to ishaara karein aap kyon chaahte hain ki ham aaine par guzaaraa karein dil ko samjhaaein sab khel hai aur phir dil ko haaraa karein yaad aate hain vo din bahut kyon na vo din dobaara karein khvaab mein hi sahi par kabhi aap khud ko pukaaraa karein aap hi jab nahin hain to phir kyon na ham bhi kinaara karein"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"