SHAWORDS

daad lene ke liye ab ye hunar bhi chaahiye — Mehshar Afridi

HomeMehshar AfridiGhazal
"daad lene ke liye ab ye hunar bhi chaahiye shaa'iri ko aaj-kal performer bhi chaahiye lawn mein halki chahal-qadmi se kyaa taskin ho paanv ki jaulaaniyon ko ik safar bhi chaahiye sachchi khabron par kahaan akhbaar chaltaa hai miyaan tazkaron ke vaaste jhuTi khabar bhi chaahiye ham bhi sabza hi ugaa leinge dar-o-divaar par haan magar is ke liye ghaalib saa ghar bhi chaahiye sirf abru ki kaTaari se koi martaa nahin qatl karne ke liye tir-e-nazar bhi chaahiye"
Urdu

داد لینے کے لیے اب یہ ہنر بھی چاہیے شاعری کو آج کل پرفارمر بھی چاہیے لان میں ہلکی چہل قدمی سے کیا تسکین ہو پاؤں کی جولانیوں کو اک سفر بھی چاہیے سچی خبروں پر کہاں اخبار چلتا ہے میاں تذکروں کے واسطے جھوٹی خبر بھی چاہیے ہم بھی سبزہ ہی اگا لیں گے در و دیوار پر ہاں مگر اس کے لیے غالب سا گھر بھی چاہیے صرف ابرو کی کٹاری سے کوئی مرتا نہیں قتل کرنے کے لیے تیر نظر بھی چاہیے

Hindi

दाद लेने के लिए अब ये हुनर भी चाहिए शा'इरी को आज-कल परफॉर्मर भी चाहिए लॉन में हल्की चहल-क़दमी से क्या तस्कीन हो पाँव की जौलानियों को इक सफ़र भी चाहिए सच्ची ख़बरों पर कहाँ अख़बार चलता है मियाँ तज़्किरों के वास्ते झूटी ख़बर भी चाहिए हम भी सब्ज़ा ही उगा लेंगे दर-ओ-दीवार पर हाँ मगर इस के लिए ग़ालिब सा घर भी चाहिए सिर्फ़ अबरू की कटारी से कोई मरता नहीं क़त्ल करने के लिए तीर-ए-नज़र भी चाहिए

daad lene ke liye ab ye hunar bhī chāhiye
Mehshar Afridi
Mehshar Afridi
Mehshar Afridi
poet47 quotes

More by Mehshar Afridi

View all →
Quote
"jo chand lamhon mein ban gayaa thaa vo silsila khatm ho gayaa hai ye tum ne kaisaa yaqin dilaayaa mughaalta khatm ho gayaa hai zabaan honTon pe jaa ke phiki hi lauT aati hai kuchh dinon se namak nahin hai tire labon mein yaa zaaiqa khatm ho gayaa hai gumaan gaanv se main chalaa thaa yaqin ki manzilon ki jaanib magar tavahhum ke jangalon mein hi raasta khatm ho gayaa hai vo guftuguon ke narm chashme kahin fazaa mein hi jam gae hain vo saare message vo shaa'iri kaa tabaadala khatm ho gayaa hai kal ek sadma paDaa thaa ham par ke jis ne dil ko hilaa diyaa thaa chalo ke siine kaa jaaeza lein ki zalzala khatm ho gayaa hai mire tasavvur mein itni vus'at nahin ke teraa badan samaae main tujh ko sochun to aisaa lagtaa hai haafiza khatm ho gayaa hai main tujh ko paa kar hi mutmain huun ab aur koi talab nahin hai jo aaj tak thaa nasib se vo mutaalba khatm ho gayaa hai"
Mehshar AfridiMehshar Afridi
Quote
"anaa kaa bojh kabhi jism se utaar ke dekh mujhe zabaan se nahin ruuh se pukaar ke dekh meri zamin pe chal tez tez qadmon se phir us ke baad tu jalve mire ghubaar ke dekh ye ashk dil pe girein to bahut chamaktaa hai kabhi ye aaina tezaab se nikhaar ke dekh na puchh mujh se tire qurb kaa nasha kyaa hai tu apni aankh mein Dore mire khumaar ke dekh zaraa tujhe bhi to ehsaas-e-hijr ho jaanaan bas ek raat mere haal mein guzaar ke dekh abhi to sirf kamaal-e-ghurur dekhaa hai tujhe qasam hai tamaashe bhi inkisaar ke dekh"
Mehshar AfridiMehshar Afridi

More on Safar

View all →
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
N
Naeem Sameer
Quote
"tire jamaal se ham runumaa nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhaDak rahaa hai tu ik ism ki hai ye barakat vagarna vaaqiye is dil mein kyaa nahin hue hain bataa na paaein to khud tum samajh hi jaao ki ham bilaa javaaz to be-maajraa nahin hue hain tiraa kamaal ki aankhon mein kuchh zabaan pe kuchh hamein to moajize aise ataa nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi ham ahl-e-junun lab-kushaa nahin hue hain ba-naam-e-zauq-e-sukhan khud-numaai aap karein ham is maraz mein abhi mubtalaa nahin hue hain hami vo jin kaa safar maavaraa-e-vaqt-o-vajud hami vo khud se kabhi jo rihaa nahin hue hain khud-aagahi bhi khaDi maangti hai apnaa hisaab junun ke qarz bhi ab tak adaa nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaayaa kabhi to ham 'irfaan' udaas ho gae lekin khafaa nahin hue hain"
Irfan SattarIrfan Sattar