"pahlu ke aar-paar guzartaa huaa saa ho ik shakhs aaine mein utartaa huaa saa ho jiitaa huaa saa ho kabhi martaa huaa saa ho ik shahr apne aap se Dartaa huaa saa ho saare kabira aap hi kartaa huaa saa ho ilzaam dusre hi pe dhartaa huaa saa ho har ik nayaa khayaal jo Tapke hai zehn se yuun lag rahaa hai jaise ki bartaa huaa saa ho qailula kar rahe hon kisi niim ke tale maidaan mein rakhsh-e-umr bhi chartaa huaa saa ho maashuq aisaa DhunDiye qahtur-rijaal mein har baat mein agartaa magartaa huaa saa ho phir baad mein vo qatl bhi kar de to harj kyaa lekin vo pahle pyaar bhi kartaa huaa saa ho gar daad tu na de na sahi gaaliyaan sahi apnaa bhi koi aib hunartaa huaa saa ho"
darvaaza band dekh ke mere makaan kaa — Adil Mansuri
"darvaaza band dekh ke mere makaan kaa jhonkaa havaa kaa khiDki ke parde hilaa gayaa vo jaan-e-nau-bahaar jidhar se guzar gayaa peDon ne phuul patton se rasta chhupaa liyaa us ke qarib jaane kaa anjaam ye huaa main apne-aap se bhi bahut duur jaa paDaa angDaai le rahi thi gulistaan mein jab bahaar har phuul apne rang ki aatish mein jal gayaa kaanTe se TuTte hain mire ang ang mein rag rag mein chaand jaltaa huaa zahr bhar gayaa aankhon ne us ko dekhaa nahin is ke baavajud dil us ki yaad se kabhi ghaafil nahin rahaa darvaaza khaTkhaTaa ke sitaare chale gae khvaabon ki shaal oDh ke main unghtaa rahaa shab chaandni ki aanch mein tap kar nikhar gai suraj ki jalti aag mein din khaak ho gayaa saDkein tamaam dhuup se angaara ho gaiin andhi havaaein chalti hain in par barahna-paa vo aae thoDi der ruke aur chale gae 'aadil' main sar jhukaae hue chup khaDaa rahaa"
دروازہ بند دیکھ کے میرے مکان کا جھونکا ہوا کا کھڑکی کے پردے ہلا گیا وہ جان نو بہار جدھر سے گزر گیا پیڑوں نے پھول پتوں سے رستہ چھپا لیا اس کے قریب جانے کا انجام یہ ہوا میں اپنے آپ سے بھی بہت دور جا پڑا انگڑائی لے رہی تھی گلستاں میں جب بہار ہر پھول اپنے رنگ کی آتش میں جل گیا کانٹے سے ٹوٹتے ہیں مرے انگ انگ میں رگ رگ میں چاند جلتا ہوا زہر بھر گیا آنکھوں نے اس کو دیکھا نہیں اس کے باوجود دل اس کی یاد سے کبھی غافل نہیں رہا دروازہ کھٹکھٹا کے ستارے چلے گئے خوابوں کی شال اوڑھ کے میں اونگھتا رہا شب چاندنی کی آنچ میں تپ کر نکھر گئی سورج کی جلتی آگ میں دن خاک ہو گیا سڑکیں تمام دھوپ سے انگارہ ہو گئیں اندھی ہوائیں چلتی ہیں ان پر برہنہ پا وہ آئے تھوڑی دیر رکے اور چلے گئے عادلؔ میں سر جھکائے ہوئے چپ کھڑا رہا
दरवाज़ा बंद देख के मेरे मकान का झोंका हवा का खिड़की के पर्दे हिला गया वो जान-ए-नौ-बहार जिधर से गुज़र गया पेड़ों ने फूल पत्तों से रस्ता छुपा लिया उस के क़रीब जाने का अंजाम ये हुआ मैं अपने-आप से भी बहुत दूर जा पड़ा अंगड़ाई ले रही थी गुलिस्ताँ में जब बहार हर फूल अपने रंग की आतिश में जल गया काँटे से टूटते हैं मिरे अंग अंग में रग रग में चाँद जलता हुआ ज़हर भर गया आँखों ने उस को देखा नहीं इस के बावजूद दिल उस की याद से कभी ग़ाफ़िल नहीं रहा दरवाज़ा खटखटा के सितारे चले गए ख़्वाबों की शाल ओढ़ के मैं ऊँघता रहा शब चाँदनी की आँच में तप कर निखर गई सूरज की जलती आग में दिन ख़ाक हो गया सड़कें तमाम धूप से अंगारा हो गईं अंधी हवाएँ चलती हैं इन पर बरहना-पा वो आए थोड़ी देर रुके और चले गए 'आदिल' मैं सर झुकाए हुए चुप खड़ा रहा

More by Adil Mansuri
View all →"jo chiiz thi kamre mein vo be-rabt paDi thi tanhaai-e-shab band-e-qabaa khol rahi thi aavaaz ki divaar bhi chup-chaap khaDi thi khiDki se jo dekhaa to gali uungh rahi thi baalon ne tiraa lams to mahsus kiyaa thaa lekin ye khabar dil ne baDi der se di thi haathon mein nayaa chaand paDaa haanp rahaa thaa raanon pe barahna si nami reing rahi thi yaadon ne use toD diyaa maar ke patthar aaine ki khandaq mein jo parchhaain paDi thi duniyaa ki guzarte hue paDti thiin nigaahein shishe ki jagah khiDki mein rusvaai jaDi thi TuuTi hui mehraab se gumbad ke khanDar tak ik buDhe moazzin ki sadaa guunj rahi thi"
"har khvaab kaali raat ke saanche mein Dhaal kar ye kaun chhup gayaa hai sitaare uchhaal kar aaise Dare hue hain zamaane ki chaal se ghar mein bhi paanv rakhte hain ham to sambhaal kar khaana-kharaabiyon mein tiraa bhi pata nahin tujh ko bhi kyaa milaa hamein ghar se nikaal kar jhulsaa gayaa hai kaaghzi chehron ki daastaan jalti hui khamoshiyaan lafzon mein Dhaal kar ye phuul khud hi suukh kar aaeinge khaak par tu apne haath se na inhein paaemaal kar"
"phir kisi khvaab ke parde se pukaaraa jaaun phir kisi yaad ki talvaar se maaraa jaaun phir koi vusat-e-aafaaq pe saaya Daale phir kisi aankh ke nuqte mein utaaraa jaaun din ke hangaamon mein daaman kahin mailaa ho jaae raat ki nuqrai aatish mein nikhaaraa jaaun khushk khoe hue gumnaam jazire ki tarah dard ke kaale samundar se ubhaaraa jaaun apni khoi hui jannat kaa talabgaar banun dast-e-yazdaan se gunahgaar sanvaaraa jaaun"
"saDkon par suraj utraa saaya saaya TuuT gayaa jab gul kaa siina chiraa khushbu kaa kaanTaa niklaa tu kis ke kamre mein thi main tere kamre mein thaa khiDki ne aankhein kholi darvaaze kaa dil dhaDkaa dil ki andhi khandaq mein khvaahish kaa taaraa TuuTaa jism ke kaale jangal mein lazzat kaa chitaa lapkaa phir baalon mein raat hui phir haathon mein chaand khilaa"
"zamin chhoD kar main kidhar jaaungaa andheron ke andar utar jaaungaa miri pattiyaan saari sukhi huiin nae mausamon mein bikhar jaaungaa agar aa gayaa aaina saamne to apne hi chehre se Dar jaaungaa vo ik aankh jo meri apni bhi hai na aai nazar to kidhar jaaungaa vo ik shakhs aavaaz degaa agar main khaali saDak par Thahar jaaungaa palaT kar na paayaa kisi ko agar to apni hi aahaT se Dar jaaungaa tiri zaat mein saans li hai sadaa tujhe chhoD kar main kidhar jaaungaa"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"