"donon apne kaam ke maahir donon baDe zahin saanp hamesha phan lahraae aur saperaa biin gurg vahaan koi sar nahin kartaa aahu par banduq us basti ko jangal kahnaa jangal ki tauhin sokhtagaan ki bazm-e-sukhan mein sadr-nashin aaseb chikhon ke sad ghazlon par sannaaTon ki tahsin fitna-e-shab ne khatm kiyaa sab aankhon kaa aazaar saare khvaab haqiqat ban gae saare vahm yaqin ham bhi patthar tum bhi patthar sab patthar Takraao ham bhi TuTein tum bhi TuuTo sab TuTein aamin"
ham se vo jaan-e-sukhan rabt-e-navaa chaahti hai — Irfan Siddiqi
"ham se vo jaan-e-sukhan rabt-e-navaa chaahti hai chaand hai aur charaaghon se ziyaa chaahti hai us ko rahtaa hai hamesha mari vahshat kaa khayaal mere gum-gashta ghazaalon kaa pataa chaahti hai main ne itnaa use chaahaa hai ki vo jaan-e-muraad khud ko zanjir-e-mohabbat se rihaa chaahti hai chaahti hai ki kahin mujh ko bahaa kar le jaae tum se baDh kar to mujhe mauj-e-fanaa chaahti hai ruuh ko ruuh se milne nahin detaa hai badan khair ye biich ki divaar giraa chaahti hai ham parindon se ziyaada to nahin hain aazaad ghar ko chalte hain ki ab shaam huaa chaahti hai ham ne in lafzon ke pichhe hi chhupaayaa hai tujhe aur inhin se tiri tasvir banaa chaahti hai"
ہم سے وہ جان سخن ربط نوا چاہتی ہے چاند ہے اور چراغوں سے ضیا چاہتی ہے اس کو رہتا ہے ہمیشہ مری وحشت کا خیال میرے گم گشتہ غزالوں کا پتا چاہتی ہے میں نے اتنا اسے چاہا ہے کہ وہ جان مراد خود کو زنجیر محبت سے رہا چاہتی ہے چاہتی ہے کہ کہیں مجھ کو بہا کر لے جائے تم سے بڑھ کر تو مجھے موج فنا چاہتی ہے روح کو روح سے ملنے نہیں دیتا ہے بدن خیر یہ بیچ کی دیوار گرا چاہتی ہے ہم پرندوں سے زیادہ تو نہیں ہیں آزاد گھر کو چلتے ہیں کہ اب شام ہوا چاہتی ہے ہم نے ان لفظوں کے پیچھے ہی چھپایا ہے تجھے اور انہیں سے تری تصویر بنا چاہتی ہے
हम से वो जान-ए-सुख़न रब्त-ए-नवा चाहती है चाँद है और चराग़ों से ज़िया चाहती है उस को रहता है हमेशा मरी वहशत का ख़याल मेरे गुम-गश्ता ग़ज़ालों का पता चाहती है मैं ने इतना उसे चाहा है कि वो जान-ए-मुराद ख़ुद को ज़ंजीर-ए-मोहब्बत से रिहा चाहती है चाहती है कि कहीं मुझ को बहा कर ले जाए तुम से बढ़ कर तो मुझे मौज-ए-फ़ना चाहती है रूह को रूह से मिलने नहीं देता है बदन ख़ैर ये बीच की दीवार गिरा चाहती है हम परिंदों से ज़ियादा तो नहीं हैं आज़ाद घर को चलते हैं कि अब शाम हुआ चाहती है हम ने इन लफ़्ज़ों के पीछे ही छुपाया है तुझे और इन्हीं से तिरी तस्वीर बना चाहती है

More by Irfan Siddiqi
View all →"ab kahin aur chal ai naaqa-savaar-e-duniyaa bhar gayaa hai miri aankhon mein ghubaar-e-duniyaa mujh ko mil jaae agar saltanat-e-takiya-e-dil main to pal bhar na rahun baaj-guzaar-e-duniyaa be-dili phir havas-e-taaza mein Dhal jaati hai khatm hone hi mein aataa nahin kaar-e-duniyaa aksar aksar nazar aa jaataa hai mahtaab kaa khel chhup gayaa hai miri miTTi mein sharaar-e-duniyaa aisaa lagtaa hai ki siine mein uThi hai koi aaj isi lahr mein pheink aataa huun baar-e-duniyaa 'aadat-e-sair-o-tamaashaa nahin jaane vaali duur se dekhtaa rahtaa huun bahaar-e-duniyaa"
"chamak hai 'ishq ki tira-shabi mein pahle se main jal rahaa huun isi raushni mein pahle se chali thi khaak bhi meri vahin bikharne ko havaa ne raqs kiyaa us gali mein pahle se koi bhi halqa-e-zanjir ho asiir huun main tire hi silsila-e-dilbari mein pahle se tire visaal se kuchh kam nahin umid-e-visaal so ham halaak hue hain khushi mein pahle se Dubo diyaa mujhe mere lahu ne aakhir-kaar bhanvar to soe hue the nadi mein pahle se khulaa ki teraa hi paikar misaal-e-surat-e-sang chhupaa huaa thaa miri shaa'iri mein pahle se"
"kashti to apni khud hi jalaa di basti hamaari dariyaa kinaare dariyaa se puchho ye raat ham ne kaise guzaari dariyaa kinaare barfili rut ne jab bhi tumhaari miTTi kaa daana-paani churaayaa dekho parindo rab ne tumhaari rozi utaari dariyaa kinaare tum bhi musaafir kitne dilaavar ham bhi musaafir kaise shanaavar aandhi ke pichhe jangal se naata dariyaa se yaari dariyaa kinaare reti ke piile daaman pe ham bhi rang-e-hinaa se bikhre paDe hain mauj-e-bahaaraan aaegi kab tak teri savaari dariyaa kinaare tamsil samjho yaa isti'aara itnaa saa logo qissa hamaaraa aankhon mein apni phulon se chehre chehron ki kyaari dariyaa kinaare"
"raah-e-sitam mein soz-e-jigar kaise chhoD dein lambaa safar hai zaad-e-safar kaise chhoD dein aandhi mein chhoDte hain kahin aashiyaan parind ham is havaa ke khauf se ghar kaise chhoD dein chandan ke ban mein saanp nikalte hi rahte hain is Dar se khushbuon ke shajar kaise chhoD dein jab kuchh na thaa to ham ne diyaa thaa zamin ko khuun ab fasl pak chuki to samar kaise chhoD dein ai dil vo dekh khema-e-fardaa qarib hai tujh ko fasil-e-shab ke idhar kaise chhoD dein maanaa ki ek 'umr se Thahri hui hai raat insaan hain umid-e-sahar kaise chhoD dein"
"simaTti dhuup tahrir-e-hinaa si hoti jaati hai saloni shaam jaise khuun ki pyaasi hoti jaati hai thake honThon se boson ke parinde uDte jaate hain havas jaaDe ki shaamon ki udaasi hoti jaati hai sukut-e-shab mein tum aavaaz kaa shisha giraa denaa fazaa sunsaan kamre ki nindaasi hoti jaati hai koi rakh de kisi ilzaam kaa taaza gulaab is mein bichhaDti chaahaton ki god baasi hoti jaati hai to phir ik baar ye chaak-e-garebaan sab ko dikhlaa dein bahut badnaam apni khush-libaasi hoti jaati hai ghazal ki sohbaton se aur kuchh haasil nahin lekin ghazaalon se zaraa surat-shanaasi hoti jaati hai"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"