"hijr ki shab naala-e-dil vo sadaa dene lage sunne vaale raat kaTne ki duaa dene lage aaiye haal-e-dil-e-majruh suniye dekhiye kyaa kahaa zakhmon ne kyuun Taanke sadaa dene lage kis nazar se aap ne dekhaa dil-e-majruh ko zakhm jo kuchh bhar chale the phir havaa dene lage sunne vaale ro diye sun kar mariz-e-gham kaa haal dekhne vaale taras khaa kar duaa dene lage juz zamin-e-ku-e-jaanaan kuchh nahin pesh-e-nigaah jis kaa darvaaza nazar aayaa sadaa dene lage baaghbaan ne aag di jab aashiyaane ko mire jin pe takiya thaa vahi patte havaa dene lage muTThiyon mein khaak le kar dost aae vaqt-e-dafn zindagi bhar ki mohabbat kaa silaa dene lage aaina ho jaae meraa ishq un ke husn kaa kyaa maza ho dard agar khud hi davaa dene lage sina-e-sozaan mein 'saaqib' ghuT rahaa hai vo dhuaan uf karun to aag duniyaa ki havaa dene lage"
haTe ye aaina mahfil se aur tu aae — Saqib Lakhnavi
"haTe ye aaina mahfil se aur tu aae koi to ho jo kabhi dil ke ru-ba-ru aae mire lahu se agar ho ke surkh-ru aae malo to barg-e-hinaa mein vafaa ki bu aae vo aansuon ki safaai se bad-gumaan hain abas dil-o-jigar mein rahaa kyaa hai jo lahu aae shab-e-visaal bhi taa-subh mutmain na rahaa abhi thi raat ki paighaam-e-aarzu aae bayaan-e-barq-e-tajalli chhuDaa hai ab sar-e-tur ajab nahin mire dil ki bhi guftugu aae visaal-o-hijr mein chhuptaa hai dil kaa haal kahin bujhe to pyaas sivaa ho jale to bu aae jo mai ke dene mein pir-e-mughaan ko thaa inkaar dilon ko toDne kyuun shisha-o-subu aae ajab hai utre dam-e-zabh un ki aankh mein khuun kaTin kahaan ki ragein aur kahaan lahu aae kiyaa savaal to us dar se ye sadaa aai use javaab hai jo le ke aarzu aae jahaan mein hain subuk-baar kab shagufta-mizaaj chaman ke phuul liye baar-e-rang-o-bu aae miri zabaan ko kaanTaa samajhtaa hai sayyaad nikaal le ki na ye ho na guftugu aae jhaTak rahi hai miraa khuun apne daaman se tumhaari tegh hai phir kyaa vafaa ki bu aae madad de itni taDapne mein inqilaab-e-jahaan jo mere dil mein nihaan hai vo ru-ba-ru aae baDhaa baDhaa ke miraa dil lagaaiye talvaar jagah jafaa ki sivaa ho agar numu aae"
ہٹے یہ آئنہ محفل سے اور تو آئے کوئی تو ہو جو کبھی دل کے روبرو آئے مرے لہو سے اگر ہو کے سرخ رو آئے ملو تو برگ حنا میں وفا کی بو آئے وہ آنسوؤں کی صفائی سے بد گماں ہیں عبث دل و جگر میں رہا کیا ہے جو لہو آئے شب وصال بھی تا صبح مطمئن نہ رہا ابھی تھی رات کہ پیغام آرزو آئے بیان برق تجلی چھڑا ہے اب سر طور عجب نہیں مرے دل کی بھی گفتگو آئے وصال و ہجر میں چھپتا ہے دل کا حال کہیں بجھے تو پیاس سوا ہو جلے تو بو آئے جو مے کے دینے میں پیر مغاں کو تھا انکار دلوں کو توڑنے کیوں شیشہ و سبو آئے عجب ہے اترے دم ذبح ان کی آنکھ میں خون کٹیں کہاں کی رگیں اور کہاں لہو آئے کیا سوال تو اس در سے یہ صدا آئی اسے جواب ہے جو لے کے آرزو آئے جہان میں ہیں سبکبار کب شگفتہ مزاج چمن کے پھول لئے بار رنگ و بو آئے مری زبان کو کانٹا سمجھتا ہے صیاد نکال لے کہ نہ یہ ہو نہ گفتگو آئے جھٹک رہی ہے مرا خون اپنے دامن سے تمہاری تیغ ہے پھر کیا وفا کی بو آئے مدد دے اتنی تڑپنے میں انقلاب جہاں جو میرے دل میں نہاں ہے وہ روبرو آئے بڑھا بڑھا کے مرا دل لگائیے تلوار جگہ جفا کی سوا ہو اگر نمو آئے
हटे ये आइना महफ़िल से और तू आए कोई तो हो जो कभी दिल के रू-ब-रू आए मिरे लहू से अगर हो के सुर्ख़-रू आए मलो तो बर्ग-ए-हिना में वफ़ा की बू आए वो आँसुओं की सफ़ाई से बद-गुमाँ हैं अबस दिल-ओ-जिगर में रहा क्या है जो लहू आए शब-ए-विसाल भी ता-सुब्ह मुतमइन न रहा अभी थी रात कि पैग़ाम-ए-आरज़ू आए बयान-ए-बर्क़-ए-तजल्ली छुड़ा है अब सर-ए-तूर अजब नहीं मिरे दिल की भी गुफ़्तुगू आए विसाल-ओ-हिज्र में छुपता है दिल का हाल कहीं बुझे तो प्यास सिवा हो जले तो बू आए जो मय के देने में पीर-ए-मुग़ाँ को था इंकार दिलों को तोड़ने क्यूँ शीशा-ओ-सुबू आए अजब है उतरे दम-ए-ज़ब्ह उन की आँख में ख़ून कटीं कहाँ की रगें और कहाँ लहू आए किया सवाल तो उस दर से ये सदा आई उसे जवाब है जो ले के आरज़ू आए जहान में हैं सुबुक-बार कब शगुफ़्ता-मिज़ाज चमन के फूल लिए बार-ए-रंग-ओ-बू आए मिरी ज़बान को काँटा समझता है सय्याद निकाल ले कि न ये हो न गुफ़्तुगू आए झटक रही है मिरा ख़ून अपने दामन से तुम्हारी तेग़ है फिर क्या वफ़ा की बू आए मदद दे इतनी तड़पने में इंक़िलाब-ए-जहाँ जो मेरे दिल में निहाँ है वो रू-ब-रू आए बढ़ा बढ़ा के मिरा दिल लगाइए तलवार जगह जफ़ा की सिवा हो अगर नुमू आए

More by Saqib Lakhnavi
View all →"dil ke hote bhi kahin dard judaa hotaa hai ik faqat maut ke aa jaane se kyaa hotaa hai zulm se zikr-e-vafaa aur sivaa hotaa hai un ki har ek buraai mein bhalaa hotaa hai shohdaa nemat-e-duniyaa ki talab bhuul gae khuun ke ghunT mein aisaa hi mazaa hotaa hai khud-faraamoshi-e-ulfat hai ilaaj-e-gham-e-dahr be-khabar hosh mein aanaa hi buraa hotaa hai imtihaan-gaah tiri mahfil-e-dilkash hai magar main bhi dekhun ki koi dil ke sivaa hotaa hai tum se kahtaa huun miraa khuun mire dil pe sahi rasm-e-duniyaa hai ki apnon se gilaa hotaa hai bazm se uTh to chalaa main ki mahal thaa lekin rone vaalon se bhalaa koi khafaa hotaa hai dekh hi lete hain sab naaz-o-adaa ki surat aaina aap kaa naqsh-e-kaf-e-paa hotaa hai naala-e-dil ke asar kaa na karo mujh se gila mujh ko kyaa ilm ki kis tarah rasaa hotaa hai tauba tauba hai yahi ishq ki baatil nazari sang but-khaane mein aate hi khudaa hotaa hai kyaa sabab kuchh tujhe maalum hai ai abr-e-bahaar dil ke murjhaane se kyuun zakhm haraa hotaa hai vo kahein yaa na kahein main huun asar se vaaqif bol uThtaa hai vo naala jo rasaa hotaa hai raushni din ki abhi hai ki hain khoe hue hosh dekhnaa hai shab-e-taarik mein kyaa hotaa hai hijr ke dard ko baDhne de ki hai muzhda-e-vasl vahi ghaTtaa hai jahaan mein jo sivaa hotaa hai bad-nasibi ho to har khuub ki khubi hai fuzul subh kaa vaqt sitaaron ko buraa hotaa hai dil to dil sar bhi kabhi hotaa hai mamnun-e-firaaq jis mein hai ishq ye saudaa vo judaa hotaa hai mire raazi ba-razaa hone se sab raazi hain varna jo hai vo shikaayat se khafaa hotaa hai avvalin marhala-e-ishq hai jab hasrat-o-maut koi batlaae ki phir baad mein kyaa hotaa hai bim-o-ummid se kis tarah nikal jaaun ki dil na Thahartaa hai jahaan mein na fanaa hotaa hai muntazir nazaa mein chup hai to use chup na samajh dam kaa ruk ruk ke nikalnaa bhi gilaa hotaa hai shab-e-taarik mein niklaa to hai dekhun 'saaqib' naa-rasaa rahtaa hai naala ki rasaa hotaa hai"
"tamaam-umr ki ghaflat ke baad khvaab aayaa uThaa jo parda-e-hasti mujhe hijaab aayaa ajal-nasib thaa shaam-e-visaal khvaab aayaa vo be-hijaab hue to mujhe hijaab aayaa balaa hai ahd-e-javaani se khush na ho ai dil sambhal ki umr ki duniyaa mein inqalaab aayaa baDhaae hausle dariyaa-dili ne saaqi ki zaraa se jaam mein sau baar aaftaab aayaa koi sadaa nahin aati ki kaun hai kyaa hai kahaan bhaTak ke dil-e-khaanumaan-kharaab aayaa ummid-o-bim mein rakkhaa tamaam raat mujhe kabhi naqaab uThaai kabhi hijaab aayaa zamaane vaalon ko pahchaanne diyaa na kabhi badal badal ke libaas apne inqalaab aayaa sivaae yaas na kuchh gumbad-e-falak se milaa sadaa bhi di to palaT kar vahi javaab aayaa uDaa ke hosh huaa ho gai tajalli-e-tur sabhon se aankh churaataa huaa hijaab aayaa harif-e-mai nahin samjhaa to kyuun miri jaanib lahu ke ghunT piye saaghar-e-sharaab aayaa haTe na apni tabiat se husn-o-ishq kabhi hazaar baar zamaane mein inqalaab aayaa sunaain kyaa tumhein nairang-e-ishq kaa qissa tamaam-umr na aankhein khulin na khvaab aayaa khaTak vo dil mein hi paidaa jo aaj tak na hui samajh rahaa huun ki tifli gai shabaab aayaa kafan pinhaa diyaa 'saaqib' sanam-parasti ne khudaa ke saamne jaate hue hijaab aayaa"
"main vo huun jis kaa zamaane ne sabaq yaad kiyaa gham ne shaagird kiyaa phir mujhe ustaad kiyaa husn-e-jaan-soz ne vahdat mein mujhe yaad kiyaa main ye samjhaa ki mujhe ishq ne barbaad kiyaa nahin maalum vo main huun ki koi aur asiir sun rahaa huun ki giraftaar ko aazaad kiyaa jis jagah khaai thi Thokar vahin turbat thi miri bhulne vaale ne mushkil se mujhe yaad kiyaa meri aahon ki havaaon mein na aa jaanaa tum ye vahi hain ki jinhon ne mujhe barbaad kiyaa khaana-e-qabr ajab chiiz hai lekin main ne itne TukDe ko bhi ik umr mein aabaad kiyaa yaas-o-ummid ke maabain hui khatm hayaat ek ne shaad kiyaa ek ne naashaad kiyaa tujh ko sab dete hain aavaaz vo apne hon ki ghair is taraf main ne moazzin ne udhar yaad kiyaa main thaa ik khaak ki chuTki to uDaa jaataa huun khaak kaa vo bhi hai zarra jise sayyaad kiyaa kis se luun daad-e-vafaa kis ko dikhaaun ye jafaa vo to parde mein hai jis ne mujhe ijaad kiyaa ishq mein apne hi haathon se huaa do TukDe dil-e-naakaam ne kaar-e-sar-e-farhaad kiyaa naa-tavaani mein gire the jo lahu ke qatre main to bhulaa huaa thaa dil ne bahut yaad kiyaa ashk aankhon se gire khuun ragon mein jo na thaa main ne aakhir adab-e-nashtar-e-fassaad kiyaa zarre zarre se miri khaak ye deti hai sadaa rahe aabaad vo jis ne mujhe barbaad kiyaa ek sannaaTaa saa aalam mein thaa lekin main ne fath baab-e-asar-e-naala-o-faryaad kiyaa jitne shikve hain tujhi se hain ki is aalam mein mujh ko bulbul kiyaa sayyaad ko sayyaad kiyaa raasta chalne ke qaabil na rahaa ai hamdam main ne manzil pe nayaa marhala ijaad kiyaa main to chyunTi ke kuchalne se hazar rakhtaa thaa phir mujhe kis ne tah-e-zaanu-e-jallaad kiyaa itnaa zinda rahe ham jis se khulin maani-e-maut subh-e-ijaad mein qasd-e-adam aabaad kiyaa bu nikalne lagi ghunchon se to phir Dar kis kaa ye khabar sach hai to sayyaad ne aazaad kiyaa qabl-az-vaqt phansaa daam mein aur phanste hi jo tamannaa yahaan laai thi use yaad kiyaa aalam-e-husn hai vo naqsh-e-maaani 'saaqib' jo miri tab-e-khudaa-daad ne ijaad kiyaa"
"main ro rahaa huun jo dil ko to bekasi ke liye vagar na maut to duniyaa mein hai sabhi ke liye shab-e-firaaq ki rozaana aafatein tauba ye imtihaan to hotaa kabhi kabhi ke liye bahut si umr miTaa kar jise banaayaa thaa makaan vo jal gayaa thoDi si raushni ke liye vasia bazm-e-jahaan hai to ho mujhe kyaa kaam jagah mili na miri hasrat-dili ke liye ye aur daaman-e-qaatil hai chhuT jaaegaa lahu mein josh to barson se thaa isi ke liye na aankh band karun main to kyaa karun yaarab vo aa rahe hain tamaashaa-e-jaan-kani ke liye bulaa ke mujh ko nikaalaa hai apni mahfil se vo nekiyaan nahin achchhi hain jo ho badi ke liye qafas mein aaj tamaashaa-e-gham hai qaabil-e-did taDap rahaa huun main sayyaad ki khushi ke liye tamaam ho gae ham ik nigaah-e-qaatil se ragein gale ki taDapti rahin chhuri ke liye farogh-e-husn baDhaa dil ki be-navaai se faqir ho gayaa shaan-e-tavangari ke liye qafas mein chup na hon to kyaa karun ki ye qaidi na dosti ke liye hai na dushmani ke liye tamaam bazm mein chhaayaa huaa hai sannaaTaa chhuDaa thaa qissa-e-dil un ki dil-lagi ke liye shikaayat-e-chaman-e-dahr kyaa karun 'saaqib' havaa khilaaf hai lekin kisi kisi ke liye"
"ek ek ghaDi us ki qayaamat ki ghaDi hai jo hijr mein taDpaae vahi raat baDi hai ye zoaf kaa aalam hai ki taqdir kaa likhaa bistar pe huun main yaa koi tasvir paDi hai betaabi-e-dil kaa hai vo dilchasp tamaashaa jab dekho shab-e-hijr mire dar pe khaDi hai dekhaa to zamaana gila-e-hijr se kam thaa samjhaa thaa ki furqat se shab-e-vasl baDi hai rone se hayaa shama ki zaahir ho to kyuun kar uryaan hai magar beach mein mahfil ke khaDi hai ab tak mujhe kuchh aur dikhaai nahin detaa kyaa jaaniye kis aankh se ye aankh laDi hai mar jaaun jo main vaadi-e-ulfat mein ajab kyaa maqsad hai miraa sakht to manzil bhi kaDi hai kab aaoge vaqt aa gayaa duniyaa se safar kaa vaqfa hai koi dam kaa na saaat na ghaDi hai kad hai vo mujhe kuuch mein aane nahin dete apnaa hai khayaal un ko mujhe dil ki paDi hai himmat ko nazar paa nahin sakti kisi surat dil koi baDaa hai jo koi aankh baDi hai ai hashr numaainda-e-raftaar Thahar jaa us zulf ke sadqe jo tiri paanv paDi hai taDpaa diyaa dil gundh ke gesu shab-e-vaslat main jaantaa thaa piiTh pe phulon ki chhaDi hai baalaa-e-jabin khuun jab aayaa to araq kyaa ai jalva-gah-e-husn tiri dhuup kaDi hai aadhi se ziyaada shab-e-gham kaaT chukaa huun ab bhi agar aa jaao to ye raat baDi hai aaraaish-e-gesu ko hasin maang rahe hain 'saaqib' ki ghazal kyaa koi moti ki laDi hai"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"