SHAWORDS

husn maghrur bhi hai maail bhi — Abdul Aziz Khalid

"husn maghrur bhi hai maail bhi ishq sardaar bhi hai saail bhi sarfaroshaan-e-shauq-o-masti ko naghma hai shorish-e-salaasil bhi jazb-e-kaamil jo dastgir huaa to qarib aa gai hai manzil bhi ek dil hai khulus-e-sar-taa-paa hai yahi zindagi kaa haasil bhi yahi mushkil to hai mohabbat mein ki ye aasaan bhi hai mushkil bhi haae us jalve ki khud-aaraai ki hai mastur bhi muqaabil bhi 'khaalid'-e-zamzama-saraa chup hai aur andohgin hai mahfil bhi"
Urdu

حسن مغرور بھی ہے مائل بھی عشق سردار بھی ہے سائل بھی سرفروشان شوق و مستی کو نغمہ ہے شورش سلاسل بھی جذب کامل جو دستگیر ہوا تو قریب آ گئی ہے منزل بھی ایک دل ہے خلوص سر تا پا ہے یہی زندگی کا حاصل بھی یہی مشکل تو ہے محبت میں کہ یہ آسان بھی ہے مشکل بھی ہائے اس جلوے کی خود آرائی کہ ہے مستور بھی مقابل بھی خالدؔ زمزمہ سرا چپ ہے اور اندوہگیں ہے محفل بھی

Hindi

हुस्न मग़रूर भी है माइल भी इश्क़ सरदार भी है साइल भी सरफ़रोशान-ए-शौक़-ओ-मस्ती को नग़्मा है शोरिश-ए-सलासिल भी जज़्ब-ए-कामिल जो दस्तगीर हुआ तो क़रीब आ गई है मंज़िल भी एक दिल है ख़ुलूस-ए-सर-ता-पा है यही ज़िंदगी का हासिल भी यही मुश्किल तो है मोहब्बत में कि ये आसान भी है मुश्किल भी हाए उस जल्वे की ख़ुद-आराई कि है मस्तूर भी मुक़ाबिल भी 'ख़ालिद'-ए-ज़मज़मा-सरा चुप है और अंदोहगीं है महफ़िल भी

husn maġhrūr bhī hai maa.il bhī
Abdul Aziz Khalid
Abdul Aziz Khalid
Abdul Aziz Khalid
poet37 quotes

More by Abdul Aziz Khalid

View all →
Quote
"fath kitni khub-surat hai magar kitni garaan baarhaa rad ki hai main ne daavat-e-vasl-e-butaan naghma-e-bulbul hai faryaad-e-vidaa-e-fasl-e-gul sai-e-haasil dar-haqiqat hai mataa-e-raaegaan zinda rahne ke hain imkaanaat kyaa aasaar kyaa kaun si qadrein hain baaqi kaun si sachchaaiyaan shaa'iron kaa kaam kyaa tansiq-e-ausaaf-o-lughut yaa sanaa shaahon ki yaa madh-e-saraapaa-e-butaan zahr hai fan ke liye darbaar-daari kaa mizaaj kam-tarin-e-shart-e-goyaai hai ikhlaas-e-bayaan tere haathon par lagaa hai be-gunaahon kaa lahu jaam-e-jam mein mai nahin khun-e-siyaadish hai mughaan main to piitaa huun faqat gulnaar honTon ki sharaab sabbeh-ism-e-rabbekal-aalaa rahe vird-e-zabaan khatm hain is shokh raaanaa par tarah-daari ke rang qadd-e-baalaa jis kaa hai rashk-e-qazib-e-khaizraan jhanjhanaa uThne ko hain betaab tan biinaa ke taar kaun laae taab husn-e-be-hijaab-e-mah-vashaan be-niyaaz-e-harf hai guftaar-e-chashm-e-pur-sukhan darmiyaan-e-mahramaan-e-jaan hai naa-mahram zabaan koi tanhaai kaa gosha koi kunj-e-aafiyat 'aashiq-o-maa'shuq yakjaa hon kahaan ai aasmaan ai muhibbo raah-e-ulfat mein har ik shai hai mubaah kis ne khinchaa hai khat-e-hijraan tumhaare darmiyaan titliyaan dekhi hain baiThi khushk phulon par kabhi haajatein apni karo tum khub-ruon se bayaan ham ne nindein de ke raaton se kharide ratjage ham se kam honge ukaaz-e-dahr mein baazaargaan raat-din sunte hain tasvilaat-e-arbaab-e-hasad ehtiyaaj-e-dushmanaan bhi hai hunar ko be-gumaan jaane kin auqaat mein likhtaa thaa qaanun-o-shifaa bu-ali-sinaa vo maqtul-e-mughaan sheva-butaan maut se vahshat hai logon ko mohabbat maal se baang-e-be-hangaam hai kus-e-rahil-e-kaarvaan hai qarib ai shab zaraa subh-e-qayaamat kaa tulua TuTne ko hai azal-taabaan tanaab-e-kahkashaan tum akele aae duniyaa mein akele jaaoge zindagi ik pal hai kyaa pul par banaate ho makaan khizr zinda hai magar zindaani-e-umr-e-abad ai ajal kis kaam ki aisi hayaat-e-jaavidaan main bhi huun maanind maamun ke amir-ul-kaafrin bas-ki huun vaarafta-e-fikr-o-fan-e-yunaaniyaan hai sulaimaan ki taraf vaaqif lisaan-uttair se shaair-e-zohra-nigaahaan khaalid-e-uqda-zabaan go harim-e-aagahi ki shakl bhi dekhi nahin hai ba-zom-e-khvesh daanaa-e-rumuz-e-kun-fakaan"
Abdul Aziz KhalidAbdul Aziz Khalid
Quote
"hon kyuun na munkashif asraar past-o-baalaa ke jame hain paanv zamin par sar aasmaan ko chhue jo sarnavisht mein hai us ko ho ke rahnaa hai to kis bharose pe insaan jidd-o-jahd kare ab aasmaan se sahife nahin utarte magar khulaa huaa hai dar-e-ijtihaad sab ke liye zabaan ataa kare sher un ki be-zabaani ko jo apne karb kaa izhaar kar nahin sakte bahaar-o-bahjat-o-izz-o-vaqaar us pe nisaar zabaan se maal se jaan se jo zaalimon se laDe hai aansuon mein shifaa kaisi kyaa khabar us ko bahaae makr se jo jhuT-muT ke Tasve hai bas-ki kaam ham aison kaa bhi masihaai ham aasmaan pe zinda uThaae jaaeinge"
Abdul Aziz KhalidAbdul Aziz Khalid
Quote
"nakhchir huun main kashmakash-e-fikr-o-nazar kaa haq mujh se adaa ho na dar-o-bast-e-hunar kaa maghrib mujhe khinche hai to roke mujhe mashriq dhobi kaa vo kuttaa huun ki jo ghaaT na ghar kaa dabtaa huun kisi se na dabaataa huun kisi ko qaael huun musaavaat-e-bani-nau-e-bashar kaa har chiiz ki hoti hai koi aakhiri had bhi kyaa koi bigaaDegaa kisi khaak-basar kaa dil-gir to be-shak huun pe naumid nahin huun raushan hai dil-e-shab mein diyaa nur-e-sahar kaa poshida nahin mujh se koi jazr-o-mad-e-shauq mahram huun sadaa dilbar-e-angekhta-bar kaa zindaan o salaasil se sadaaqat nahin dabti hai shaan-e-kai silsila bas raqs-e-sharar kaa tasvir koi banti dikhaai nahin deti kiyaa sarfa abas ham ne kiyaa khun-e-jigar kaa kyaa shughl-e-shajar kaar hai afkaar se behtar saudaa sar-e-shorida mein gar ho na samar kaa kyuun sar-khush-e-raftaar na ho ho qaafila-e-mauj rahzan kaa hai andesha na gham zaad-e-safar kaa Daali hai sitaaron pe kamand ahl-e-zamin ne zohra kaa vo afsun na fasaana vo qamar kaa har baat hai 'khaalid' ki zamaane se niraali baashinda hai shaayad kisi duniyaa-e-digar kaa"
Abdul Aziz KhalidAbdul Aziz Khalid
Quote
"taqaazaa-e-dil-o-jaan kaa kahin darmaan nahin miltaa dayaar-e-dard mein taskin kaa saamaan nahin miltaa khiraaminda hain maikhaane agarche teri aankhon mein yahaan se bhi mudaavaa-e-gham-e-pinhaan nahin miltaa tiri chashm-e-tamaashaa-mast mein ghaltaan hain afsaane magar tamhid-e-ulfat kaa koi unvaan nahin miltaa kisi shai ki kami hai tere jalvon ki navaazish mein ki ab vo vaalehaana-pan vo zauq-e-jaan nahin miltaa tire andaaz ki ghaarat-gari bhi kyaa qayaamat hai ki naqd-e-zindagi-o-gauhar-e-imaan nahin miltaa kamaal-e-iffat-e-qalb-o-nazar mafqud hai 'khaalid' ye rutba mil to jaataa hai magar aasaan nahin miltaa"
Abdul Aziz KhalidAbdul Aziz Khalid
Quote
"bhulon unhein kaise kaise kaise vo lamhe jo tere saath guzre hai raah-numaa jibillat un ki be-his nahin mausami parinde ai daanish-var mafar nahin hai iqraar-e-vajud-e-kibriyaa se jaanaa koi kaarsaaz bhi hai TuuTe ban ban ke jab iraade mehraab umuud burj qausein ras mein Duube bhare bhare se bahr-e-kaafur mein talaatum bhonraa baiThaa kanval ko chuse chaak-e-ufqi harim-e-zohra rah rah ke madan tarang jhalke jhilmil jhilmil badan kaa sonaa lahraaein laTein kamar se niche kyaa chaand si suratein banaain qurbaan ai niili chhatri vaale"
Abdul Aziz KhalidAbdul Aziz Khalid
Quote
"phir tire aastaan pe le aai khinch kar lazzat-e-jabin-saai pesh-o-pas ko bahaae jaataa hai teraa sailaab-e-rang-o-raanaai koi bekas duaaein detaa hai vo tiri pursish-o-paziraai phir se betaab hai dil-e-shaidaa kisi bhule hue ki yaad aai ek parda hai khud-farebi kaa ye miraa zauq-e-naghma-pairaai matlaa-e-subh-e-nau-bahaar bane us mujassam hayaa ki paidaai nazar ehsaas-e-husn se makhmur laal-e-khush-aab mein masihaai didani hai adaa-e-mahbubi saare andaaz hain zulekhaai aafat-e-aql-o-hosh hai 'khaalid' us pari-ru kaa husn-e-sahraai"
Abdul Aziz KhalidAbdul Aziz Khalid

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi