SHAWORDS

is bahr-e-be-sadaa mein kuchh aur niche jaaein — Bashir Saifi

HomeBashir SaifiGhazal
"is bahr-e-be-sadaa mein kuchh aur niche jaaein aavaaz kaa khazina shaayad tahon mein paaein galiyon mein saD rahi hain biite dinon ki laashein kamre mein gunjti hain be-naam si sadaaein maazi ki ye imaarat mehmaan hai koi dam ki divaar-o-dar shikasta aur tez-tar havaaein lete hi haath mein kyuun akhbaar phaaD Daalaa kaisi khabar chhapi thi ham kis ko kyaa bataaein shab ki siyah nadi se 'saifi' ubhar ke socho suraj ki raushni mein saae kahaan chhupaaein"
Urdu

اس بحر بے صدا میں کچھ اور نیچے جائیں آواز کا خزینہ شاید تہوں میں پائیں گلیوں میں سڑ رہی ہیں بیتے دنوں کی لاشیں کمرے میں گونجتی ہیں بے نام سی صدائیں ماضی کی یہ عمارت مہماں ہے کوئی دم کی دیوار و در شکستہ اور تیز تر ہوائیں لیتے ہی ہاتھ میں کیوں اخبار پھاڑ ڈالا کیسی خبر چھپی تھی ہم کس کو کیا بتائیں شب کی سیہ ندی سے سیفیؔ ابھر کے سوچو سورج کی روشنی میں سائے کہاں چھپائیں

Hindi

इस बहर-ए-बे-सदा में कुछ और नीचे जाएँ आवाज़ का ख़ज़ीना शायद तहों में पाएँ गलियों में सड़ रही हैं बीते दिनों की लाशें कमरे में गूँजती हैं बे-नाम सी सदाएँ माज़ी की ये इमारत मेहमाँ है कोई दम की दीवार-ओ-दर शिकस्ता और तेज़-तर हवाएँ लेते ही हाथ में क्यूँ अख़बार फाड़ डाला कैसी ख़बर छपी थी हम किस को क्या बताएँ शब की सियह नदी से 'सैफ़ी' उभर के सोचो सूरज की रौशनी में साए कहाँ छुपाएँ

is bahr-e-be-sadā meñ kuchh aur nīche jaa.eñ
Bashir Saifi
Bashir Saifi
Bashir Saifi
poet11 quotes

More by Bashir Saifi

View all →
Quote
"khud apnaa eatibaar ganvaataa rahaa huun main zarre ko aaftaab bataataa rahaa huun main andhi havaa ko duun koi ilzaam kis liye apne diye ko aap bujhaataa rahaa huun main ik umr ke riyaaz kaa haasil na puchhiye reg-e-ravaan pe naqsh banaataa rahaa huun main har chand maslahat kaa taqaazaa kuchh aur thaa aaina har kisi ko dikhaataa rahaa huun main bachchon ke hanste-khelte chehron ki oT mein apne dukhon ki Tiis chhupaataa rahaa huun main ye aur baat khud mire paanv na uTh sake auron ko raasta to dikhaataa rahaa huun main 'saifi' fishaar-e-gham ki tamaazat ke baavajud hairat hai apni baat nibhaataa rahun main"
Bashir SaifiBashir Saifi
Quote
"habs ke dinon mein bhi ghar se kab nikalte hain daaere ke andar hi raaste badalte hain khuun jaltaa rahtaa hai gaanv ke javaanon kaa kaar-khaane shahron ke kab dhuaan ugalte hain tere naam kaa taaraa jaane kab dikhaai de ik jhalak ki khaatir ham raat bhar Tahalte hain ab safar koi bhi ho main kahaan akelaa huun tere chaand suraj bhi saath saath chalte hain ain dopahar mein bhi sar pe teraa saayaa hai tujh ko bhuul jaaein to chaandni mein jalte hain khul gae hain phir shaayad rahmaton ke darvaaze haadse kahaan varna Taalne se Talte hain niind ke nagar se to raabta nahin TuuTaa fikr-e-sher mein 'saifi' karvaTein badalte hain"
Bashir SaifiBashir Saifi
Quote
"aisaa lagtaa hai mukhaalif hai khudaai meri koi kartaa hi nahin khul ke buraai meri mujh mein madfun baDe shahr-e-maaani the magar duur tak kar na sakaa vaqt khudaai meri be-sadaa shahr thaa khaamosh the galiyon ke makin ek muddat mujhe aavaaz na aai meri khair-khvaahi kaa rahaa yuun to sabhi ko daavaa chaahtaa bhi to koi dil se bhalaai meri shab ki dahliz pe qazzaaq zarurat to nahin chhin letaa hai jo din-bhar ki kamaai meri kuchh mire ilm ne bhi mujh ko fazilat bakhshi fan se nisbat ne bhi tauqir baDhaai meri mujh ko mujh tak hi na mahdud samajhnaa 'saifi' laa-makaan se bhi pare tak hai rasaai meri"
Bashir SaifiBashir Saifi
Quote
"ik husn-e-be-misaal ke jo ru-ba-ru huun main mahsus ho rahaa hai khud apnaa 'adu huun main apni giraft-e-shauq se niklun to kis tarah phailaa huaa jahaan mein har ek su huun main mujh pe tiri hayaat kaa daar-o-madaar hai jazbon se jhaanktaa huaa zinda lahu huun main gunjungaa tere zehn ke gumbad mein raat-din jis ko na to bhulaa sake vo guftugu huun main har subh ek maa'rka-e-karbalaa sahi har shaam apne doston mein surkh-ru huun main puchhun main kis se 'aalam-e-imkaan mein kis liye apne hi naqsh-e-paa ki tarah ku-ba-ku huun main 'saifi' mein apne aap mein nilaam ho gayaa kis ko khabar thi shahr mein ik khub-ru huun main"
Bashir SaifiBashir Saifi

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari