SHAWORDS

khayaal-e-yaar sadaa chashm-e-nam ke saath rahaa — Nazeer Akbarabadi

"khayaal-e-yaar sadaa chashm-e-nam ke saath rahaa miraa jo chaah mein dam thaa vo dam ke saath rahaa gayaa sahar vo pari-ru jidhar jidhar yaaro main us ke saaya-sifat har qadam ke saath rahaa phiraa jo bhaagtaa mujh se vo shokh aahu-chashm to main bhi thak na rahaa go vo ram ke saath rahaa akelaa us ko na chhoDaa jo ghar se niklaa vo har ik bahaane se main us sanam ke saath rahaa 'nazir' piir huaa to bhi baar-e-naaz-e-butaan kuchh us ke dosh ke kuchh pusht-e-kham ke saath rahaa"
Urdu

خیال یار سدا چشم نم کے ساتھ رہا مرا جو چاہ میں دم تھا وہ دم کے ساتھ رہا گیا سحر وہ پری رو جدھر جدھر یارو میں اس کے سایہ صفت ہر قدم کے ساتھ رہا پھرا جو بھاگتا مجھ سے وہ شوخ آہو چشم تو میں بھی تھک نہ رہا گو وہ رم کے ساتھ رہا اکیلا اس کو نہ چھوڑا جو گھر سے نکلا وہ ہر اک بہانے سے میں اس صنم کے ساتھ رہا نظیرؔ پیر ہوا تو بھی بار ناز بتاں کچھ اس کے دوش کے کچھ پشت خم کے ساتھ رہا

Hindi

ख़याल-ए-यार सदा चश्म-ए-नम के साथ रहा मिरा जो चाह में दम था वो दम के साथ रहा गया सहर वो परी-रू जिधर जिधर यारो मैं उस के साया-सिफ़त हर क़दम के साथ रहा फिरा जो भागता मुझ से वो शोख़ आहू-चश्म तो मैं भी थक न रहा गो वो रम के साथ रहा अकेला उस को न छोड़ा जो घर से निकला वो हर इक बहाने से मैं उस सनम के साथ रहा 'नज़ीर' पीर हुआ तो भी बार-ए-नाज़-ए-बुताँ कुछ उस के दोश के कुछ पुश्त-ए-ख़म के साथ रहा

ḳhayāl-e-yār sadā chashm-e-nam ke saath rahā
Nazeer Akbarabadi
Nazeer Akbarabadi
Nazeer Akbarabadi
poet195 quotes

More by Nazeer Akbarabadi

View all →
Quote
"saaqi ye pilaa us ko jo ho jaam se vaaqif ham aaj talak mai ke nahin naam se vaaqif masti ke sivaa daur mein us chashm-e-siyah ke kaafir ho jo ho gardish-e-ayyaam se vaaqif mar kar bhi tah-e-khaak na aasuda hue aah ai ishq na the ham tire anjaam se vaaqif sayyaad ki ulfat se phanse aan ke varna the kaahe ko ham is qafas o daam se vaaqif milne kaa payaam us se kaho jaa ke azizo jo us ke na ho vasl ke paighaam se vaaqif auron se qasam khaaiye aur ham to miri jaan hain khuub tumhaari qasam-aqsaam se vaaqif koi nahin kartaa jo kiyaa tu ne 'nazir' aah dil us ko diyaa jis ke nahin naam se vaaqif"
Nazeer AkbarabadiNazeer Akbarabadi
Quote
"miraa dil hai mushtaaq us gul-badan kaa ki ye baagh ik gul hai jis ke chaman kaa vahi zulf hai jis ki nikhat se ab tak paDaa khuun sukhe hai mushk-e-khutan kaa vahi laal-e-lab hai ki hasrat se jis ke jigar aaj tak khuun hai laal-e-yaman kaa ajab sair dekhi 'nazir' us chaman ki abhi vasl thaa nargis-o-tastaran kaa abhi yak-digar jama the sumbul-o-gul abhi thaa baham josh sarv-o-saman kaa abhi chahchahe bulbulon ke ayaan the abhi shor thaa qumri-e-naara-zan kaa ghaDi bhar ke hi baad dekhaa ye aalam ki naam-o-nishaan bhi na vaan thaa chaman kaa"
Nazeer AkbarabadiNazeer Akbarabadi
Quote
"chitvan durust sean bajaa baatein Thik-Thik naaz-o-adaa ki us mein hain sab baatein Thik-Thik kyaa dil ko achchhi lagti hain in khush-qadon ki aah ye pyaari pyaari boliyaan ye gaatein Thik-Thik munh mein tamaanche chhaati mein ghunsa kamar mein laat kyaa kyaa huiin ye mujh pe inaayaatein Thik-Thik mauqaa se bosa mauqaa se gaali bhi ham ko di ki shokh ne ye donon madaaraatein Thik-Thik jab dosti mein qaul ke puure hon donon shakhs hoti hain phir to kyaa hi mulaaqaatein Thik-Thik jab ban paDi to shaikh-ji shaikhi na maarein kyaa ham se bhi phir to hovein karaamaatein Thik-Thik sach hai ba-qaul-e-hazrat-e-sayyad 'nazir' aah ban aati hain to hoti hain sab baatein Thik-Thik"
Nazeer AkbarabadiNazeer Akbarabadi
Quote
"vo sanam jo mehr-ezaar hai use ham se milne mein aar hai vale apnaa jo dil-e-zaar hai vo hazaar jaan se nisaar hai mile jab se kuche mein us ke jaa ye surur-e-aish hai barmalaa lab-e-dil hai aur vo naqsh-e-paa bar-e-jaan hai aur dar-e-yaar hai vo nigah jo us ki hai fitna-gar use mashq-e-said hai pesh-tar hai jo dil kaa taair-e-tez-par usi baaz kaa ye shikaar hai vo mizha lagaa ke jo ek sinaan gai phir to kar na dil ab fughaan kai aise hoveinge imtihaan ye abhi to pahlaa hi vaar hai jo bahaar gul pe rahi hai tul hamein kyaa jo husn ki pi hai mul jinhein chaahiye hai vo rashk-e-gul unhein gul se kyaa sarokaar hai jo buton ko devein dil aur diin rakhein us ko ye ba-alam qarin bhalaa kahiye kyaa use ham-nashin ye ajab kuchh un kaa shiaar hai kai din hue hain 'nazir' ab ki khafaa hai ham se vo ghuncha-lab use kyaa vale hamein roz-o-shab na to sabr hai na qaraar hai"
Nazeer AkbarabadiNazeer Akbarabadi

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari