SHAWORDS

lau de uThaa charaagh-e-tamannaa bujhaa huaa — Mahesh Chandra Naqsh

"lau de uThaa charaagh-e-tamannaa bujhaa huaa guzraa ye aaj kaun idhar dekhtaa huaa ye haadsaat bhi to guzarne zarur the ai ishq kyuun udaas hai jo kuchh huaa huaa vo rang kyaa hue vo bahaarein kidhar gaiin ai ham-safir saaraa chaman hai luTaa huaa yuun aaj be-qaraar hai duniyaa-e-aarzu jis tarah tilmilaae koi dil dukhaa huaa kyuun aaj bazm-e-zist mein be-kaifiyaan si hain ai husn teri mast-nigaahi ko kyaa huaa girdaab-e-gham hai aur miri kashti-e-umid phir bahr-e-zindagi mein hai tufaan uThaa huaa apnaa pataa na jaada-e-manzil ki kuchh khabar khud miT gayaa huun 'naqsh' unhein DhunDhtaa huaa"
Urdu

لو دے اٹھا چراغ تمنا بجھا ہوا گزرا یہ آج کون ادھر دیکھتا ہوا یہ حادثات بھی تو گزرنے ضرور تھے اے عشق کیوں اداس ہے جو کچھ ہوا ہوا وہ رنگ کیا ہوئے وہ بہاریں کدھر گئیں اے ہم صفیر سارا چمن ہے لٹا ہوا یوں آج بے قرار ہے دنیائے آرزو جس طرح تلملائے کوئی دل دکھا ہوا کیوں آج بزم زیست میں بے کیفیاں سی ہیں اے حسن تیری مست نگاہی کو کیا ہوا گرداب غم ہے اور مری کشتئ امید پھر بحر زندگی میں ہے طوفاں اٹھا ہوا اپنا پتا نہ جادۂ منزل کی کچھ خبر خود مٹ گیا ہوں نقشؔ انہیں ڈھونڈھتا ہوا

Hindi

लौ दे उठा चराग़-ए-तमन्ना बुझा हुआ गुज़रा ये आज कौन इधर देखता हुआ ये हादसात भी तो गुज़रने ज़रूर थे ऐ इश्क़ क्यूँ उदास है जो कुछ हुआ हुआ वो रंग क्या हुए वो बहारें किधर गईं ऐ हम-सफ़ीर सारा चमन है लुटा हुआ यूँ आज बे-क़रार है दुनिया-ए-आरज़ू जिस तरह तिलमिलाए कोई दिल दुखा हुआ क्यूँ आज बज़्म-ए-ज़ीस्त में बे-कैफ़ियाँ सी हैं ऐ हुस्न तेरी मस्त-निगाही को क्या हुआ गिर्दाब-ए-ग़म है और मिरी कश्ती-ए-उमीद फिर बहर-ए-ज़िंदगी में है तूफ़ाँ उठा हुआ अपना पता न जादा-ए-मंज़िल की कुछ ख़बर ख़ुद मिट गया हूँ 'नक़्श' उन्हें ढूँढता हुआ

lau de uThā charāġh-e-tamannā bujhā huā
Mahesh Chandra Naqsh
Mahesh Chandra Naqsh
Mahesh Chandra Naqsh
poet49 quotes

More by Mahesh Chandra Naqsh

View all →
Quote
"fareb-e-raah se ghaafil nahin hai junun gum-karda-e-manzil nahin hai miri naakaamiyon par hansne vaale tire pahlu mein shaayad dil nahin hai khudaa ko naa-khudaa kahne lagaa huun safina taalib-e-saahil nahin hai tiri bazm-e-tarab mein aa gayaa huun magar dil ko sukun haasil nahin hai are us ki nigaah-e-be-khabar bhi mire anjaam se ghaafil nahin hai mire zauq-e-safar kaa puchhnaa kyaa nigaahon mein miri manzil nahin hai ba-faiz-e-ishq karb-e-marg se 'naqsh' guzar jaanaa koi mushkil nahin hai"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh
Quote
"ab kyaa kahein kisi se ye apni zabaan se ham be-zaar ho chuke hain fareb-e-jahaan se ham nazzaara-e-jamaal kaa 'aalam ajiib thaa madhosh o be-khabar the vahaan be-zabaan se ham ab haal-e-iztiraab-e-tabiat na puchhiye taDpe hain 'umr bhar tire dard-e-nihaan se ham ye zor-e-barq-o-baad ye tufaan al-amaan mahrum ho na jaaein kahin aashiyaan se ham jin ki mahak se ruuh pe taari hai be-khudi vo phuul chun rahe hain tire gulsitaan se ham taamir-e-nau hai parda-e-takhrib mein nihaan samjhe hain raaz-e-dahr ye daur-e-jahaan se ham manzil pe ho rahi hain qayaamat ki shorishein ghaafil paDe hue hain magar kaarvaan se ham naaseh! khayaal-e-tark-e-mohabbat se faaeda vaaqif nahin hain kyaa alam-e-jaavedaan se ham ai 'naqsh' mukhtasar ye haqiqat hai maut ki phir aa gae vahin pe chale the jahaan se ham"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh
Quote
"hai aafat-e-jaan husn ki shokhi bhi adaa bhi honTon pe tabassum bhi hai nazron mein hayaa bhi shaamil tiri aavaaz mein taaron ki navaa bhi sharminda tire nuur se kirnon ki ziyaa bhi mahfil hai ki mutrib ke ishaaron pe miTi hai suntaa hai koi saaz-e-shikasta ki sadaa bhi rakhtaa hai baghaavat ke sharaare bhi nazar mein ye 'ishq jo hai paikar-e-taslim-o-razaa bhi rukh pher diyaa tund havaaon kaa kisi ne haalaat se apne koi majbur rahaa bhi bach kar hi chale ham to zamaane ki ravish se aazaad-ravi kaa hamein ehsaas huaa bhi aksar lab-e-laalin ke tabassum ki kiran ne ummid ke khaakon mein nayaa rang bharaa bhi ai 'naqsh' karein soz-e-tamannaa kaa bayaan kyaa sau baar diyaa dil kaa jalaa bhi hai bujhaa bhi"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh
Quote
"sach to ye hai ki tamannaaon ki jaan hoti hai vahi ik baat jo hairat mein nihaan hoti hai haal kah dete hain naazuk se ishaare aksar kitni khaamosh nigaahon ki zabaan hoti hai mere ehsaas o tafakkur mein sulagti hai jo aag vahi mazlum ke ashkon mein nihaan hoti hai haae vo vaqt ki jab un ki hasin aankhon se ek pur-kaif tajalli si ayaan hoti hai log kahte hain jise husn-e-adaa ki shokhi yahi rangin ishaaron kaa bayaan hoti hai kitni pyaari hai vo maasum tamannaa ai dost jo tazabzub ki fazaaon mein javaan hoti hai"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb