SHAWORDS

main agar rone lagun rutba-e-vaalaa baDh jaae — Mirza Raza Barq

"main agar rone lagun rutba-e-vaalaa baDh jaae paani dene se nihaal-e-qad-e-baala baDh jaae josh-e-vahshat yahi kahtaa hai nihaayat kam hai do jahaan se bhi agar vusat-e-sahraa baDh jaae qumriyaan dekh ke gulzaar mein dhoka khaaein tauq minnat kaa jo ai sarv-e-tamannaa baDh jaae haath par haath agar maar ke dauDun baaham raah-e-ulfat mein qadam qais se meraa baDh jaae daagh par daagh se ai 'barq' mujhe raahat hai dard kam ho to shab-e-hijr mein iizaa baDh jaae"
Urdu

میں اگر رونے لگوں رتبۂ والا بڑھ جائے پانی دینے سے نہال قد بالا بڑھ جائے جوش وحشت یہی کہتا ہے نہایت کم ہے دو جہاں سے بھی اگر وسعت صحرا بڑھ جائے قمریاں دیکھ کے گلزار میں دھوکہ کھائیں طوق منت کا جو اے سرو تمنا بڑھ جائے ہاتھ پر ہاتھ اگر مار کے دوڑوں باہم راہ الفت میں قدم قیس سے میرا بڑھ جائے داغ پر داغ سے اے برقؔ مجھے راحت ہے درد کم ہو تو شب ہجر میں ایذا بڑھ جائے

Hindi

मैं अगर रोने लगूँ रुतबा-ए-वाला बढ़ जाए पानी देने से निहाल-ए-क़द-ए-बाला बढ़ जाए जोश-ए-वहशत यही कहता है निहायत कम है दो जहाँ से भी अगर वुसअत-ए-सहरा बढ़ जाए क़ुमरियाँ देख के गुलज़ार में धोका खाएँ तौक़ मिन्नत का जो ऐ सर्व-ए-तमन्ना बढ़ जाए हाथ पर हाथ अगर मार के दौड़ूँ बाहम राह-ए-उल्फ़त में क़दम क़ैस से मेरा बढ़ जाए दाग़ पर दाग़ से ऐ 'बर्क़' मुझे राहत है दर्द कम हो तो शब-ए-हिज्र में ईज़ा बढ़ जाए

maiñ agar rone lagūñ rutba-e-vālā baḌh jaa.e
Mirza Raza Barq
Mirza Raza Barq
Mirza Raza Barq
poet42 quotes

More by Mirza Raza Barq

View all →
Quote
"dekhi jo zulf-e-yaar tabiat sambhal gai aai hui balaa mire sar par se Tal gai puchhaa agar kisi ne miraa aa ke haal-e-dil be-ikhtiyaar aah labon se nikal gai uryaan haraarat-e-tap-e-furqat se main rahaa har baar mere jism ki poshaak jal gai kaifiyat-e-bahaar jo yaad aai zer-e-khaak daagh-e-junun se apni tabiat bahal gai us ke dahaan-e-tang ki tangi na puchhiye ejaaz samjhe baat jo munh se nikal gai furqat mein ham-baghal jo huaa 'barq' gor se hasrat visaal-e-yaar ki dil se nikal gai"
Mirza Raza BarqMirza Raza Barq
Quote
"chaand saa chehra jo us kaa aashkaaraa ho gayaa tan pe har qatra pasine kaa sharaaraa ho gayaa chhup sakaa dam bhar na raaz-e-dil firaaq-e-yaar mein vo nihaan jis dam huaa sab aashkaaraa ho gayaa jis ko dekhaa chashm-e-vehdat se vahi maashuq hai paD gai jis par nazar us kaa nazaaraa ho gayaa ham-kinaari ki havas ai gauhar-e-yaktaa ye hai aab ho kar gham se dil dariyaa hamaaraa ho gayaa khalq mein gard-e-yatimi se guhar ki qadr hai khaaksaari se fuzun rutba hamaaraa ho gayaa dil mein hai ai 'barq' us but ke dar-e-dandaan ki yaad ye guhar arsh-e-barin kaa goshvaara ho gayaa"
Mirza Raza BarqMirza Raza Barq
Quote
"zer-e-zamin huun tishna-e-didaar-e-yaar kaa aalam vahi hai aaj talak intizaar kaa guzraa sharaab piine se le kaun dard-e-sar saaqi dimaagh kis ko hai ranj-e-khumaar kaa mahshar ke roz bhi na khulegi hamaari aankh sadma uThaa chuke hain shab-e-intizaar kaa ibrat ki jaa hai aalam-e-duniyaa na kar ghurur sar kaasa-e-gadaa hai kisi taajdaar kaa baad-e-fanaa bhi hai maraz-e-ishq kaa asar dekho ki rang zard hai mere ghubaar kaa ulfat na kuchh pari se na kuchh huur se hai ishq mushtaaq 'barq' roz-e-azal se hai yaar kaa"
Mirza Raza BarqMirza Raza Barq
Quote
"be-bulaae hue jaanaa mujhe manzur nahin un kaa vo taur nahin meraa ye dastur nahin lan-taraani ke ye maani hain bajaa hai daavaa dekhe be-parda tujhe koi ye maqdur nahin vo kahaan taaj kahaan takht kahaan maal o manaal qaabil ab bhiik ke bhi kaasa-e-faghfur nahin be-ibaadat na khudaa bakhshegaa subhaan-allaah aisi firdaus se ham guzre ki mazdur nahin main vo mai-kash huun na rakkhun kabhi bhule se qadam koi kah de ye agar khuld mein angur nahin dam-ba-dam uThte hain tufaan jo 'barq' ashkon ke nuuh kaa vaqt nahin aankh hai tannur nahin"
Mirza Raza BarqMirza Raza Barq
Quote
"matlab na kaabe se na iraada kanisht kaa paaband ye faqir nahin sang-o-khisht kaa sarsabz huun jo aap dikhaa diije khat-e-sabz kushton ko khet mein abhi aalam ho kisht kaa us huur ki jo gulshan-e-aariz ki yaad thi dekhaa kiyaa firaaq mein aalam bahisht kaa kyaa munshi-e-azal ki ye sanat hai dekhnaa maahir nahin kisi ki koi sarnavisht kaa naadaan e'tiraaz hai saane pe ghaur kar bejaa hai imtiyaaz yahaan khuub o zisht kaa ai 'barq' sair karte hain ham to jahaan ki har kucha-e-sanam hai namuna bahisht kaa"
Mirza Raza BarqMirza Raza Barq

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat