"asar zulf kaa barmalaa ho gayaa balaaon se mil kar balaa ho gayaa junun le ke hamraah aai bahaar nae sir se phir valvalaa ho gayaa diyaa ghair ne bhi dil aakhir use mujhe dekh kar man-chalaa ho gayaa samaai dil-e-tang ki dekhiye ki aalam mein saabit khalaa ho gayaa taalli zamin se jo naalon ne ki falak par ayaan zalzala ho gayaa huaa qatl be-jurm main jaa ke 'barq' vo kucha mujhe karbalaa ho gayaa"
misaal-e-taar-e-nazar kyaa nazar nahin aataa — Mirza Raza Barq
"misaal-e-taar-e-nazar kyaa nazar nahin aataa kabhi khayaal mein mu-e-kamar nahin aataa hamaare aib ne be-aib kar diyaa ham ko yahi hunar hai ki koi hunar nahin aataa muhaal hai ki mire ghar vo raat ko aae ki shab ko mehr-e-darakhshaan nazar nahin aataa tamaam khalq mein rahti hai dhuup raaton ko vo mehr baam se jab tak utar nahin aataa muhaal hai ki jahannam mein khuld se jaaein jo dar par aap ke jaataa hai ghar nahin aataa hamaari ziist mein the saath kaun kaun ai 'barq' ab ek faatiha ko qabr par nahin aataa"
مثال تار نظر کیا نظر نہیں آتا کبھی خیال میں موئے کمر نہیں آتا ہمارے عیب نے بے عیب کر دیا ہم کو یہی ہنر ہے کہ کوئی ہنر نہیں آتا محال ہے کہ مرے گھر وہ رات کو آئے کہ شب کو مہر درخشاں نظر نہیں آتا تمام خلق میں رہتی ہے دھوپ راتوں کو وہ مہر بام سے جب تک اتر نہیں آتا محال ہے کہ جہنم میں خلد سے جائیں جو در پر آپ کے جاتا ہے گھر نہیں آتا ہماری زیست میں تھے ساتھ کون کون اے برقؔ اب ایک فاتحہ کو قبر پر نہیں آتا
मिसाल-ए-तार-ए-नज़र क्या नज़र नहीं आता कभी ख़याल में मू-ए-कमर नहीं आता हमारे ऐब ने बे-ऐब कर दिया हम को यही हुनर है कि कोई हुनर नहीं आता मुहाल है कि मिरे घर वो रात को आए कि शब को मेहर-ए-दरख़्शाँ नज़र नहीं आता तमाम ख़ल्क़ में रहती है धूप रातों को वो मेहर बाम से जब तक उतर नहीं आता मुहाल है कि जहन्नम में ख़ुल्द से जाएँ जो दर पर आप के जाता है घर नहीं आता हमारी ज़ीस्त में थे साथ कौन कौन ऐ 'बर्क़' अब एक फ़ातिहा को क़ब्र पर नहीं आता

More by Mirza Raza Barq
View all →"dekhi jo zulf-e-yaar tabiat sambhal gai aai hui balaa mire sar par se Tal gai puchhaa agar kisi ne miraa aa ke haal-e-dil be-ikhtiyaar aah labon se nikal gai uryaan haraarat-e-tap-e-furqat se main rahaa har baar mere jism ki poshaak jal gai kaifiyat-e-bahaar jo yaad aai zer-e-khaak daagh-e-junun se apni tabiat bahal gai us ke dahaan-e-tang ki tangi na puchhiye ejaaz samjhe baat jo munh se nikal gai furqat mein ham-baghal jo huaa 'barq' gor se hasrat visaal-e-yaar ki dil se nikal gai"
"chaand saa chehra jo us kaa aashkaaraa ho gayaa tan pe har qatra pasine kaa sharaaraa ho gayaa chhup sakaa dam bhar na raaz-e-dil firaaq-e-yaar mein vo nihaan jis dam huaa sab aashkaaraa ho gayaa jis ko dekhaa chashm-e-vehdat se vahi maashuq hai paD gai jis par nazar us kaa nazaaraa ho gayaa ham-kinaari ki havas ai gauhar-e-yaktaa ye hai aab ho kar gham se dil dariyaa hamaaraa ho gayaa khalq mein gard-e-yatimi se guhar ki qadr hai khaaksaari se fuzun rutba hamaaraa ho gayaa dil mein hai ai 'barq' us but ke dar-e-dandaan ki yaad ye guhar arsh-e-barin kaa goshvaara ho gayaa"
"zer-e-zamin huun tishna-e-didaar-e-yaar kaa aalam vahi hai aaj talak intizaar kaa guzraa sharaab piine se le kaun dard-e-sar saaqi dimaagh kis ko hai ranj-e-khumaar kaa mahshar ke roz bhi na khulegi hamaari aankh sadma uThaa chuke hain shab-e-intizaar kaa ibrat ki jaa hai aalam-e-duniyaa na kar ghurur sar kaasa-e-gadaa hai kisi taajdaar kaa baad-e-fanaa bhi hai maraz-e-ishq kaa asar dekho ki rang zard hai mere ghubaar kaa ulfat na kuchh pari se na kuchh huur se hai ishq mushtaaq 'barq' roz-e-azal se hai yaar kaa"
"be-bulaae hue jaanaa mujhe manzur nahin un kaa vo taur nahin meraa ye dastur nahin lan-taraani ke ye maani hain bajaa hai daavaa dekhe be-parda tujhe koi ye maqdur nahin vo kahaan taaj kahaan takht kahaan maal o manaal qaabil ab bhiik ke bhi kaasa-e-faghfur nahin be-ibaadat na khudaa bakhshegaa subhaan-allaah aisi firdaus se ham guzre ki mazdur nahin main vo mai-kash huun na rakkhun kabhi bhule se qadam koi kah de ye agar khuld mein angur nahin dam-ba-dam uThte hain tufaan jo 'barq' ashkon ke nuuh kaa vaqt nahin aankh hai tannur nahin"
"matlab na kaabe se na iraada kanisht kaa paaband ye faqir nahin sang-o-khisht kaa sarsabz huun jo aap dikhaa diije khat-e-sabz kushton ko khet mein abhi aalam ho kisht kaa us huur ki jo gulshan-e-aariz ki yaad thi dekhaa kiyaa firaaq mein aalam bahisht kaa kyaa munshi-e-azal ki ye sanat hai dekhnaa maahir nahin kisi ki koi sarnavisht kaa naadaan e'tiraaz hai saane pe ghaur kar bejaa hai imtiyaaz yahaan khuub o zisht kaa ai 'barq' sair karte hain ham to jahaan ki har kucha-e-sanam hai namuna bahisht kaa"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"sharik-e-aalam-e-kaif-o-surur main bhi thaa ki raat jashn mein tere huzur main bhi thaa ajiib vaqt thaa duniyaa qarib thi mere ghazab ye thaa tire daaman se duur main bhi thaa ghamon ke ghere mein jab raqs kar rahi thi hayaat tamaash-bin ki tarah be-shuur main bhi thaa na ruknaa raah mein shart-e-safar mein shaamil thaa thakan se varna bahut chuur chuur main bhi thaa utar rahaa thaa lahu kis balaa kaa aankhon mein tire khayaal mein us dam zarur main bhi thaa guzarte vaqt ne pahre baiThaa diye 'aabid' khataaein un ki na thiin be-qusur main bhi thaa"