SHAWORDS

pi pi ke jagmagaae zamaane guzar gae — Khumar Barabankavi

"pi pi ke jagmagaae zamaane guzar gae raaton ko din banaae zamaane guzar gae jaan-e-bahaar phuul nahin aadmi huun main aa jaa ki muskuraae zamaane guzar gae kyaa laaiq-e-sitam bhi nahin ab main dosto patthar bhi ghar mein aae zamaane guzar gae o jaane vaale aa ki tire intizaar mein raste ko ghar banaae zamaane guzar gae gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas sab se najaat paae zamaane guzar gae marne se vo Darein jo ba-qaid-e-hayaat hain mujh ko to maut aae zamaane guzar gae kyaa kyaa tavaqquaat thiin aahon se ai 'khumaar' ye tiir bhi chalaae zamaane guzar gae"
Urdu

پی پی کے جگمگائے زمانے گزر گئے راتوں کو دن بنائے زمانے گزر گئے جان بہار پھول نہیں آدمی ہوں میں آ جا کہ مسکرائے زمانے گزر گئے کیا لائق ستم بھی نہیں اب میں دوستو پتھر بھی گھر میں آئے زمانے گزر گئے او جانے والے آ کہ ترے انتظار میں رستے کو گھر بنائے زمانے گزر گئے غم ہے نہ اب خوشی ہے نہ امید ہے نہ یاس سب سے نجات پائے زمانے گزر گئے مرنے سے وہ ڈریں جو بقید حیات ہیں مجھ کو تو موت آئے زمانے گزر گئے کیا کیا توقعات تھیں آہوں سے اے خمارؔ یہ تیر بھی چلائے زمانے گزر گئے

Hindi

पी पी के जगमगाए ज़माने गुज़र गए रातों को दिन बनाए ज़माने गुज़र गए जान-ए-बहार फूल नहीं आदमी हूँ मैं आ जा कि मुस्कुराए ज़माने गुज़र गए क्या लाइक़-ए-सितम भी नहीं अब मैं दोस्तो पत्थर भी घर में आए ज़माने गुज़र गए ओ जाने वाले आ कि तिरे इंतिज़ार में रस्ते को घर बनाए ज़माने गुज़र गए ग़म है न अब ख़ुशी है न उम्मीद है न यास सब से नजात पाए ज़माने गुज़र गए मरने से वो डरें जो ब-क़ैद-ए-हयात हैं मुझ को तो मौत आए ज़माने गुज़र गए क्या क्या तवक़्क़ुआत थीं आहों से ऐ 'ख़ुमार' ये तीर भी चलाए ज़माने गुज़र गए

pī pī ke jagmagā.e zamāne guzar ga.e
Khumar Barabankavi
Khumar Barabankavi
Khumar Barabankavi
poet92 quotes

More by Khumar Barabankavi

View all →
Quote
"mujh ko ye jaan-o-dil qubul naghme ko naghma hi samajh saaz ye bitti hai kyaa ye bhi kabhi kabhi samajh ishq hai tishnagi kaa naam toD de gar mile bhi jaam shiddat-e-tishnagi na dekh lazzat-e-tishnagi samajh husn ki mehrbaaniyaan ishq ke haq mein zahr hain husn ke ijtinaab tak ishq ki zindagi samajh tark-e-taalluqaat bhi ain-e-taalluqaat hai aag bujhi hui na jaan aag dabi hui samajh aql ke kaarobaar mein dil ko bhi rakh sharik-e-kaar dil ke muaamalaat mein aql ko ajnabi samajh ghuncha-o-gul ke saath saath dil ki taraf bhi ik nazar shefta-e-shaguftagi vajh-e-shaguftagi samajh aise bhi raaz hain 'khumaar' hote nahin jo aashkaar apni hi mushkilein na dekh un ki bhi bebasi samajh"
Khumar BarabankaviKhumar Barabankavi
Quote
"kabhi sher-o-naghma ban ke kabhi aansuon mein Dhal ke vo mujhe mile to lekin mile suratein badal ke ye vafaa ki sakht raahein ye tumhaare paa-e-naazuk na lo intiqaam mujh se mire saath saath chal ke vahi aankh be-bahaa hai jo gham-e-jahaan mein Duube vahi jaam jaam-e-jam hai jo baghair farq chhalke na to hosh se taaaruf na junun se aashnaai ye kahaan pahunch gae ham tiri bazm se nikal ke ye charaagh-e-anjuman to hain bas ek shab ke mehmaan tu jalaa vo shama ai dil jo bujhe kabhi na jal ke koi ai 'khumaar' un ko mire sher nazr kar de jo mukhaalifin mukhlis nahin mo'tarif ghazal ke"
Khumar BarabankaviKhumar Barabankavi

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud