SHAWORDS

puchhte ho ishq kyaa hai — Ankit Maurya

HomeAnkit MauryaGhazal
"puchhte ho ishq kyaa hai ik zaruri haadisa hai hai duaa bas lab pe sab ke aur dil mein badduaa hai bin tumhaare meraa jivan ek adhuraa vaaqia hai ye mili to jashn kaisaa zindagi to ik sazaa hai kuchh nahin badlaa hai is mein saal ye bhi gham-zada hai aaTh sau din baad us ko ishq dhokaa lag rahaa hai hansne vaale ro rahe hain jaane vaalaa jaa chukaa hai haath mein rakkhi hai cigarette jalne ko to dil jalaa hai"
Urdu

پوچھتے ہو عشق کیا ہے اک ضروری حادثہ ہے ہے دعا بس لب پے سب کے اور دل میں بد دعا ہے بن تمہارے میرا جیون ایک ادھورا واقعہ ہے یہ ملی تو جشن کیسا زندگی تو اک سزا ہے کچھ نہیں بدلا ہے اس میں سال یہ بھی غم زدہ ہے آٹھ سو دن بعد اس کو عشق دھوکا لگ رہا ہے ہنسنے والے رو رہے ہیں جانے والا جا چکا ہے ہاتھ میں رکھی ہے سگریٹ جلنے کو تو دل جلا ہے

Hindi

पूछते हो इश्क़ क्या है इक ज़रूरी हादिसा है है दुआ बस लब पे सब के और दिल में बद-दुआ' है बिन तुम्हारे मेरा जीवन एक अधूरा वाक़िआ' है ये मिली तो जश्न कैसा ज़िंदगी तो इक सज़ा है कुछ नहीं बदला है इस में साल ये भी ग़म-ज़दा है आठ सौ दिन बाद उस को इश्क़ धोका लग रहा है हँसने वाले रो रहे हैं जाने वाला जा चुका है हाथ में रक्खी है सिगरेट जलने को तो दिल जला है

pūchhte ho ishq kyā hai
Ankit Maurya
Ankit Maurya
Ankit Maurya
poet48 quotes

More by Ankit Maurya

View all →
Quote
"sadaaein detaa rahtaa hai ki ai maulaa dikhaai de tu yaani chaahtaa hai ki vo hai kaisaa dikhaai de nikal baahar tu in dair-o-haram ke masalon se phir mohabbat hi mohabbat ki tujhe duniyaa dikhaai de main mandir mein bhi jaataa huun main masjid mein bhi jaaungaa khudaa har samt hi mujh ko bas ik jaisaa dikhaai de na jaane rabt ye kaisaa hai us insaan se meraa kabhi jo muund luun aankhein vahi chehra dikhaai de ye jo hai ishq kaa rasta ye aisaa ek rasta hai jahaan koi nahin manzil faqat rasta dikhaai de"
Ankit MauryaAnkit Maurya

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi