"mire liye to ye bekaar hone vaalaa hai ye dil ki dard se bezaar hone vaalaa hai main us se khvaab ke raste pe milne aayaa huun magar vo niind se bedaar hone vaalaa hai jo faisla sar-e-darbaar hone vaalaa thaa vo faisla pas-e-divaar hone vaalaa hai sunaa hai yusuf-e-saani vahaan nahin aayaa sunaa hai khatm vo baazaar hone vaalaa hai vo jis ke haath se qisse ne maut paai hai sunaa hai saahab-e-kirdaar hone vaalaa hai"
raaegaani kaa aariza hai mujhe — Ishaq Virdag
"raaegaani kaa aariza hai mujhe zindagi ek haadisa hai mujhe is kharaabe se kab gila hai mujhe apnaa honaa hi masala hai mujhe zimni kirdaar huun kahaani kaa apni taqdir kaa pata hai mujhe mujh ko andar ki kuchh khabar hi nahin aur baahar kaa sab pata hai mujhe dasht mein shahr yaad aataa hai ishq kaa pahlaa tajraba hai mujhe vaqt kaa raaz jaanne se miyaan jaane ye kaun roktaa hai mujhe ek lamhe ko ruk ke sun le use a zamin tujh se jo gila hai mujhe meri hi aankh ke vasile se khvaab andar se dekhtaa hai mujhe kitne chehre uThaae phirtaa huun aaina phir bhi jaantaa hai mujhe ik khushi suud par mili thi kahin us kaa qarza utaarnaa hai mujhe yuun hi khaamosh main nahin baiThaa shor andar kaa Toktaa hai mujhe"
رائیگانی کا عارضہ ہے مجھے زندگی ایک حادثہ ہے مجھے اس خرابے سے کب گلہ ہے مجھے اپنا ہونا ہی مسئلہ ہے مجھے ضمنی کردار ہوں کہانی کا اپنی تقدیر کا پتہ ہے مجھے مجھ کو اندر کی کچھ خبر ہی نہیں اور باہر کا سب پتہ ہے مجھے دشت میں شہر یاد آتا ہے عشق کا پہلا تجربہ ہے مجھے وقت کا راز جاننے سے میاں جانے یہ کون روکتا ہے مجھے ایک لمحے کو رک کے سن لے اسے اے زمیں تجھ سے جو گلہ ہے مجھے میری ہی آنکھ کے وسیلے سے خواب اندر سے دیکھتا ہے مجھے کتنے چہرے اٹھائے پھرتا ہوں آئینہ پھر بھی جانتا ہے مجھے اک خوشی سود پر ملی تھی کہیں اس کا قرضہ اتارنا ہے مجھے یوں ہی خاموش میں نہیں بیٹھا شور اندر کا ٹوکتا ہے مجھے
राएगानी का आरिज़ा है मुझे ज़िंदगी एक हादिसा है मुझे इस ख़राबे से कब गिला है मुझे अपना होना ही मसअला है मुझे ज़िमनी किरदार हूँ कहानी का अपनी तक़दीर का पता है मुझे मुझ को अंदर की कुछ ख़बर ही नहीं और बाहर का सब पता है मुझे दश्त में शहर याद आता है इश्क़ का पहला तजरबा है मुझे वक़्त का राज़ जानने से मियाँ जाने ये कौन रोकता है मुझे एक लम्हे को रुक के सुन ले उसे ए ज़मीं तुझ से जो गिला है मुझे मेरी ही आँख के वसीले से ख़्वाब अंदर से देखता है मुझे कितने चेहरे उठाए फिरता हूँ आईना फिर भी जानता है मुझे इक ख़ुशी सूद पर मिली थी कहीं उस का क़र्ज़ा उतारना है मुझे यूँ ही ख़ामोश मैं नहीं बैठा शोर अंदर का टोकता है मुझे

More by Ishaq Virdag
View all →"nahin jaati agar ye aasmaan tak to phir is chikh ki had hai kahaan tak chalo paani se vo shoala nikaalein uThaae jo zamin ko aasmaan tak ab agle moD par paataal hogaa yaqin se aa gayaa huun main gumaan tak zamaane ko samajh paayaa nahin huun main samjhaataa rahun khud ko kahaan tak ajab ik khel khelaa jaa rahaa hai na thaa jis kaa hamein koi gumaan tak bahut hi khubsurat raasta hai jo sidhaa jaa rahaa hai raaegaan tak zamin ke baab mein kuchh mashvare hain zaraa main jaa rahaa huun aasmaan tak"
"ham khaak-ba-sar gard-e-safar DhunD rahe hain aur log samajhte hain ki ghar DhunD rahe hain divaanon ke maanind mare shahr ke sab log dastaar ke qaabil koi sar DhunD rahe hain ab shaam hai to shahr mein gaanv ke parinde rahne ke liye koi shajar DhunD rahe hain jo dil ke nihaan-khaanon mein rahtaa hai hamesha ye log use aaj kidhar DhunD rahe hain galiyon mein jo phirte hain ye maanus se chehre Dhalti hui tahzib ke ghar DhunD rahe hain afsurda se chehron pe baDi der se ham log ik khoyaa huaa dast-e-hunar DhunD rahe hain"
"main vo majnun ki ik sahraa hai mujh mein vo sahraa bhi bahut simTaa hai mujh mein mujhe khud se nikaalegaa vo aakhir ba-naam-e-ishq jo aayaa hai mujh mein tumhaari yaad ko kaise nikaalun ki baaqi kuchh nahin bachtaa hai mujh mein kisi ke barf se lahje ke haathon ajab shoala saa ik bhaDkaa hai mujh mein koi taaviz kaa paani pilaa do koi jaadugari kartaa hai mujh mein kamini ko khabar is ki nahin hai ki sar se paanv tak dhokaa hai mujh mein tumhaare baad ye dekhaa nahin hai na-jaane kaun ab rahtaa hai mujh mein tumhein meri zarurat bhi paDegi puraane shahr kaa naqsha hai mujh mein tumhaari samt hijrat kar chukaa hai kahaan 'ishaaq' ab rahtaa hai mujh mein"
"khvaab ne rakh liyaa fasaane mein tum ne taakhir ki jagaane mein is zamin ko falak banaane mein main bhi shaamil thaa ik zamaane mein tere kirdaar ko uThaane mein mujh ko marnaa paDaa fasaane mein kaam karte hain roz-o-shab saahab ham mohabbat ke kaar-khaane mein baam-o-dar dushmanon ke saathi the mujh ko divaar se lagaane mein ishq mein thoDi si suhulat thi hazrat-e-qais ke zamaane mein din-o-duniyaa se jaanaa paDtaa hai dil ko divaangi banaane mein vaqt hi har taraf rukaavaT hai laa-makaan se makaan banaane mein aag ke darmiyaan baiThe hain qissa-khvaani ke chaae-khaane mein maktab-e-ishq mein sabaq paDhne log aaeinge har zamaane mein"
"hone kaa e'tibaar nahin kar rahe hain log ab khud ko ikhtiyaar nahin kar rahe hain log ab ishq aur dasht khasaare mein hain miyaan ab dil kaa kaarobaar nahin kar rahe hain log tayyaar hai tamaashaa dikhaane ko ek shakhs maahaul saazgaar nahin kar rahe hain log ab hai nizaam-e-ishq mein tarmim kaa chalan taaron kaa bhi shumaar nahin kar rahe hain log hairaan huun ki itni riyaazat ke baavajud kyuun vaqt ko ghubaar nahin kar rahe hain log khush huun ki aasmaan se hai qaaem zamin kaa rabt dukh hai ki paaedaar nahin kar rahe hain log shaayad ki meri maut kaa elaan ho chukaa ab mujh pe koi vaar nahin kar rahe hain log aage ki dauD mein hue mahdud is tarah maazi pe eqtidaar nahin kar rahe hain log ai yaar apne husn pe kuchh khaak Daal de ab ishq ikhtiyaar nahin kar rahe hain log ab nisf shab nikalte hain be-khauf kaam par suraj kaa intizaar nahin kar rahe hain log"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"