SHAWORDS

raqs-e-junun ki garmi-e-taasir dekhnaa — Anjum Irfani

HomeAnjum IrfaniGhazal
"raqs-e-junun ki garmi-e-taasir dekhnaa khultaa hai kaise halqa-e-zanjir dekhnaa ghis ghis ke pattharon ko banaayaa hai aaina dekhein vo khvaab ham ko hai taabir dekhnaa harbe sab un ke un ko hi lauTaa diye gae hairat se ban gae hain vo tasvir dekhnaa likh di zabaan-e-zakhm mein rudaad-e-zindagi jismon pe us ki shokhi-e-tahrir dekhnaa ab to vajud-e-maqtal-o-zindaan pe aa bani ab beDiyaan na tauq na zanjir dekhnaa dekhe hain baiThe baiThe muqaddar ke tum ne khel uTh kar zaraa karishma-e-tadbir dekhnaa qasr-e-hayaat-e-nau ki hai baarud par binaa 'anjum' ye paaedaari-e-taamir dekhnaa"
Urdu

رقص جنوں کی گرمئ تاثیر دیکھنا کھلتا ہے کیسے حلقۂ زنجیر دیکھنا گھس گھس کے پتھروں کو بنایا ہے آئنہ دیکھیں وہ خواب ہم کو ہے تعبیر دیکھنا حربے سب ان کے ان کو ہی لوٹا دئے گئے حیرت سے بن گئے ہیں وہ تصویر دیکھنا لکھ دی زبان زخم میں روداد زندگی جسموں پہ اس کی شوخیٔ تحریر دیکھنا اب تو وجود مقتل و زنداں پہ آ بنی اب بیڑیاں نہ طوق نہ زنجیر دیکھنا دیکھے ہیں بیٹھے بیٹھے مقدر کے تم نے کھیل اٹھ کر ذرا کرشمۂ تدبیر دیکھنا قصر حیات نو کی ہے بارود پر بنا انجمؔ یہ پائیدارئ تعمیر دیکھنا

Hindi

रक़्स-ए-जुनूँ की गर्मी-ए-तासीर देखना खुलता है कैसे हल्क़ा-ए-ज़ंजीर देखना घिस घिस के पत्थरों को बनाया है आइना देखें वो ख़्वाब हम को है ता'बीर देखना हरबे सब उन के उन को ही लौटा दिए गए हैरत से बन गए हैं वो तस्वीर देखना लिख दी ज़बान-ए-ज़ख़्म में रूदाद-ए-ज़िंदगी जिस्मों पे उस की शोख़ी-ए-तहरीर देखना अब तो वजूद-ए-मक़्तल-ओ-ज़िंदाँ पे आ बनी अब बेड़ियाँ न तौक़ न ज़ंजीर देखना देखे हैं बैठे बैठे मुक़द्दर के तुम ने खेल उठ कर ज़रा करिश्मा-ए-तदबीर देखना क़स्र-ए-हयात-ए-नौ की है बारूद पर बिना 'अंजुम' ये पाएदारी-ए-तामीर देखना

raqs-e-junūñ kī garmī-e-tāsīr dekhnā
Anjum Irfani
Anjum Irfani
Anjum Irfani
poet37 quotes

More by Anjum Irfani

View all →
Quote
"ab is saada kahaani ko nayaa ik moD denaa thaa zaraa si baat par ahd-e-vafaa hi toD denaa thaa mahaktaa thaa badan har vaqt jis ke lams-e-khush-bu se vahi gul-dasta dahliz-e-khizaan par chhoD denaa thaa shikast-e-saaz-e-dil kaa umr bhar maatam bhi kyaa karte ki ik din hanste hanste saaz-e-jaan hi toD denaa thaa safar mein har qadam rah rah ke ye taklif hi dete bahar-surat hamein in aablon ko phoD denaa thaa ghalat-fahmi ke jhonkon se bikhar kar rah gae aakhir lahu ki aanch mein TuuTe dilon ko joD denaa thaa vo jis pe zikr hai qaul-o-qasam aur ahd-o-paimaan kaa kitaab-e-zindagi ke is varaq ko moD denaa thaa banaayaa hi nahin ham ne kabhi ye soch kar 'anjum' ki gautam ki tarah ik din hamein ghar chhoD denaa thaa"
Anjum IrfaniAnjum Irfani
Quote
"tesha-ba-kaf ko aaina-gar kah diyaa gayaa jo aib thaa use bhi hunar kah diyaa gayaa saaya hai pyaar kaa na mohabbat ki dhuup hai divaar ke hisaar ko ghar kah diyaa gayaa in ke har ek goshe mein sadiyaan muqim hain TuuTi imaaraton ko khanDar kah diyaa gayaa khuddaari-e-anaa hai na pindaar-e-zist hai shaanon ke saare bojh ko sar kah diyaa gayaa aangan mein har makaan ke andheron kaa raaj hai mahlon ki raushni ko sahar kah diyaa gayaa kuchh khauf-e-jaan hai aur na kuchh fikr-e-hijr-e-yaar khush-gaamiyon ko ranj-e-safar kah diyaa gayaa hairat darogh maslahat-aamez par ho kyaa be-barg jhaaDiyon ko shajar kah diyaa gayaa dekhaa kahaan hai aag ke dariyaaon kaa safar jugnu uDe to raqs-e-sharar kah diyaa gayaa kuchh ehtiraam-o-husn-e-aqidat ke josh mein har naqsh aab-e-naqsh-e-hajar kah diyaa gayaa khul jaaegaa bharam tiri mizaan-e-adl kaa do ek harf-e-jurm agar kah diyaa gayaa naa-aashnaa-e-naqsh-e-kaf-e-paa-e-aam hai vo raasta bhi raahguzar kah diyaa gayaa yuun khush hain jaise vaaqiatan ho gae khudaa majburiyon ke zer-e-asar kah diyaa gayaa 'anjum' yahaan tak aane mein kyaa kyaa guzar gai mohr-e-sar-e-mizha bhi guhar kah diyaa gayaa"
Anjum IrfaniAnjum Irfani
Quote
"is ne dekhaa hai sar-e-bazm sitamgar ki tarah phuul pheinkaa bhi miri samt to patthar ki tarah us ke lab ko mire lab rah gae chhute chhute main bhi naakaam chalaa aayaa sikandar ki tarah rang suraj kaa sar-e-shaam huaa jaataa hai zard us kaa bhi ghar na ho viraan mire ghar ki tarah dard us ahd ki miraas hai Darnaa kaisaa dard ko oDh liyaa karte hain chaadar ki tarah log har lamha badalte hain nazariye apne zehn-e-insaan bhi tavaaif ke hai bistar ki tarah ab ki yurish mein kahin gir hi na jaae ye fasil shor rahtaa hai mire dil mein samundar ki tarah kaisaa is ahd mein paimaan-e-vafaa log ab to dost har saal badalte hain calender ki tarah lafz aate hi mire lab pe laraz jaate hain haal-e-dil sunte hain ab vo kisi afsar ki tarah vahi paabandi-e-auqaat vahi maamulaat zindagi ghar mein basar hoti hai daftar ki tarah ho gayaa khaak-nashin par ye jhukaae na jhukaa kisi sar mein bhi na saudaa ho mire sar ki tarah 'anjum' is ahd mein TuuTe hue dil ke rishte joDne par bhi hain udhDe hue collar ki tarah"
Anjum IrfaniAnjum Irfani
Quote
"ab kisi andhe safar ke liye tayyaar huaa chaahtaa hai ik zaraa der mein rukhsat tiraa bimaar huaa chaahtaa hai aakhiri qist bhi saanson ki chukaa degaa chukaane vaalaa zindagi qarz se tere vo subuk-baar huaa chaahtaa hai raaz-e-sar-basta samajhte rahe ab tak jise ahl-e-daanish munkashif aaj vahi raaz sar-e-daar huaa chaahtaa hai dil-e-vahshi ke bahalne kaa nahin ek bhi saamaan yahaan mahfil-e-zohd-e-mizaajaan se ye bezaar huaa chaahtaa hai dekh leni thi tujhe sina-e-aafat-zadagaan ki sakhti teraa har tir-e-hadaf-kaar hi bekaar huaa chaahtaa hai phailte shahron ke jangal mein ye ghaaron ki tarah tang makaan khuun mein vahshi-e-khvaabida bhi bedaar huaa chaahtaa hai dard-e-dil baanTtaa aayaa hai zamaane ko jo ab tak 'anjum' kuchh huaa yuun ki vahi dard se do-chaar huaa chaahtaa hai"
Anjum IrfaniAnjum Irfani
Quote
"fasil-e-jism pe shab-khun sharaartein teri zaraa si bhi nahin badli hain aadatein teri ye zakhm zakhm badan aur lahu lahu ye khvaab kitaab-e-jism pe utri hain aayatein teri hisaar-e-aatish-e-namrud mein ghiraa huun main ab itni sust qadam kyuun hain rahmatein teri charaag chaand shafaq shaam phuul jhiil sabaa churaain sab ne hi kuchh kuchh shabaahatein teri ye mauj mauj lahu mein tire badan kaa nasha talaash kartaa hai har lamha qurbatein teri ai rashk-e-sarv-o-sanobar-qadaan khiraam-e-naaz ki raah dekh rahi hain qayaamatein teri miri havas ke samundar mein madd-o-jazr nahin pe-zavaal na hon chaand-chaahatein teri ukhaDne vaali thi jis dam tanaab saanson ki dar aaiin khema-e-dil mein bashaaratein teri ise sambhaal, huaa jaa rahaa hai zer-o-zabar ki dil pe laai hui sab hain aafatein teri adaa huaa na kabhi mujh se ek sajda-e-shukr main kis zabaan se karungaa shikaayatein teri vo aankhon aankhon mein raaton kaa kaaTnaa teraa vo baaton baaton mein 'anjum' ibaadatein teri"
Anjum IrfaniAnjum Irfani
Quote
"aur kuchh yaad nahin ab se na tab se puchho meri aankhon se lahu bahtaa hai kab se puchho lamhe lamhe mein huaa jaataa huun reza reza vajh kuchh mujh se na puchho mire rab se puchho vo to suraj hai har ik baat kaa shoala hai javaab ru-ba-ru aa ke kaho yaa ki aqab se puchho yaad hai qissa-e-gham kaa mujhe har lafz abhi haal jis dard kaa jis ranj kaa jab se puchho tai havaa kaise andheron ke samundar kaa safar ghaaza-e-subh se kyaa chaadar-e-shab se puchho zakhm dekho mire talvon ke na chehre kaa ghubaar mujh pe kyaa guzri hai ye raah-e-talab se puchho kitne sahraa ki simaT aae hain siine mein mire tishnagi meri na sukhe hue lab se puchho yuun na har chehre pe ab Daalo savaali nazrein us ke kuche kaa pata tum to na sab se puchho mujh se kyaa puchhte ho saare hi lamhon kaa hisaab mil ke jis moD se ham bichhDe hain tab se puchho harf-e-haq kahne mein kyaa kyaa na hue ham pe sitam puchhnaa hi hai to bu-jahl o lahb se puchho jumbish-e-lab ki tumhein bhi hai ijaazat 'anjum' baat jo puchho bahar-haal adab se puchho"
Anjum IrfaniAnjum Irfani

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb