"ulTe vo shikve karte hain aur kis adaa ke saath be-taaqati ke taane hain uzr-e-jafaa ke saath bahr-ayaadat aae vo lekin qazaa ke saath dam hi nikal gayaa miraa aavaaz-e-paa ke saath be-parda ghair paas use baiThaa na dekhte uTh jaate kaash ham bhi jahaan se hayaa ke saath vo laala-ru gayaa na ho gulgasht-e-baagh ko kuchh rang bu-e-gul ke evaz hai sabaa ke saath us ki gali kahaan ye to kuchh baagh-e-khuld hai kis jaae mujh ko chhoD gai maut laa ke saath aati hai bu-e-daagh-e-shab-e-taar hijr mein siina bhi chaak ho na gayaa ho qabaa ke saath gulbaang kis kaa mashvara-e-qatl ho gayaa kuchh aaj bu-e-khun hai vahaan ki havaa ke saath the vaade se phir aane ke khush ye khabar na thi hai apni zindagaani usi bevafaa ke saath kuche se apne ghair kaa munh hai miTaa sake aashiq kaa sar lagaa hai tire naqsh-e-paa ke saath allaah re gumrahi but o but-khaana chhoD kar 'momin' chalaa hai kaabe ko ik paarsaa ke saath"
saudaa thaa balaa-e-josh par raat — Momin Khan Momin
"saudaa thaa balaa-e-josh par raat bistar pe bichhaae neshtar raat bigDe the yahaan vo aan kar raat be-taur bani thi jaan par raat ham taa-sahar aap mein nahin the kyaa jaane rahe vo kis ke ghar raat afsaana samajh ke so gae vo kaam aai fughaan-e-be-asar raat aaine mein ho na mom jaadu sote nahin ab vo taa-sahar raat taare aankhein jhapak rahe the thaa baam pe kaun jalva-gar raat andher paDaa zamaane mein haae ne din ko hai mehr ne qamar raat is lail-o-nahaar-e-gham ne maaraa hai roz se siyaah-tar raat kyaa puchho ho munkar-o-nakir aah bigDe jo vo taan-e-ghair par raat ye baat baDhi ki mar gae ham maut aai thi qissa mukhtasar raat is ghar mein hai aish-e-khuld 'momin' kyaa jaane kahaan hai din kidhar raat"
سودا تھا بلائے جوش پر رات بستر پہ بچھائے نیشتر رات بگڑے تھے یہاں وہ آن کر رات بے طور بنی تھی جان پر رات ہم تا سحر آپ میں نہیں تھے کیا جانے رہے وہ کس کے گھر رات افسانہ سمجھ کے سو گئے وہ کام آئی فغان بے اثر رات آئینے میں ہو نہ موم جادو سوتے نہیں اب وہ تا سحر رات تارے آنکھیں جھپک رہے تھے تھا بام پہ کون جلوہ گر رات اندھیر پڑا زمانے میں ہائے نے دن کو ہے مہر نے قمر رات اس لیل و نہار غم نے مارا ہے روز سے سیاہ تر رات کیا پوچھو ہو منکر و نکیر آہ بگڑے جو وہ طعن غیر پر رات یہ بات بڑھی کہ مر گئے ہم موت آئی تھی قصہ مختصر رات اس گھر میں ہے عیش خلد مومنؔ کیا جانے کہاں ہے دن کدھر رات
सौदा था बला-ए-जोश पर रात बिस्तर पे बिछाए नेश्तर रात बिगड़े थे यहाँ वो आन कर रात बे-तौर बनी थी जान पर रात हम ता-सहर आप में नहीं थे क्या जाने रहे वो किस के घर रात अफ़्साना समझ के सो गए वो काम आई फ़ुग़ान-ए-बे-असर रात आईने में हो न मोम जादू सोते नहीं अब वो ता-सहर रात तारे आँखें झपक रहे थे था बाम पे कौन जल्वा-गर रात अंधेर पड़ा ज़माने में हाए ने दिन को है मेहर ने क़मर रात इस लैल-ओ-नहार-ए-ग़म ने मारा है रोज़ से सियाह-तर रात क्या पूछो हो मुनकर-ओ-नकीर आह बिगड़े जो वो तान-ए-ग़ैर पर रात ये बात बढ़ी कि मर गए हम मौत आई थी क़िस्सा मुख़्तसर रात इस घर में है ऐश-ए-ख़ुल्द 'मोमिन' क्या जाने कहाँ है दिन किधर रात

More by Momin Khan Momin
View all →"vaade ki jo saaat dam-e-kushtan hai hamaaraa jo dost hamaaraa hai so dushman hai hamaaraa ye kaah-e-rubaa se bhi hain kam ai kashish-e-dil mazkur kuchh aisaa pas-e-chilman hai hamaaraa afsos mu-e-sham-e-shab-e-vasl ki maanind jo qahqaha shaadi hai so shevan hai hamaaraa mahtaab kaa kyaa rang kiyaa dud-e-fughaan ne ahvaal shab-e-taar se raushan hai hamaaraa detaa nahin us zof pe bhi josh-e-junun chain har reg-e-ravaan dasht mein tausan hai hamaaraa tafrih na kyunkar ho havaa aa nahin sakti goyaa dar o divaar nasheman hai hamaaraa gar paas hai logon kaa to aa jaa ki qalaq se hai laash kahin aur kahin madfan hai hamaaraa jazb-e-dil use khinch ke laae to kahaan laae jo ghair kaa ghar hai vahi maskan hai hamaaraa but-khaane se kaabe ko chale rashk ke maare 'momin' khizr-e-raah barhaman hai hamaaraa"
"jo tere munh se na ho sharmsaar aaina to rukh kare su-e-aaina-daar aaina kahe hai dekh ke rukhsaar-e-yaar aaina ki is safaai pe sadqe nisaar aaina siyaah-ru na kare tark-e-ulfat-e-gulfaam main bul-havas ko dikhaaun hazaar aaina safaa-e-dil ki kahaan qadr-e-tira-rozi mein charaagh-e-subh hai shab-haa-e-taar aaina samajh liyaa magar is sabz rang ko tuuti ki hai nazaare kaa ummid-vaar aaina vo sakht-jaan huun ki dikhlaaein gar dam-e-murdan to toD de kamar-e-kohsaar aaina muqaabil us rukh-e-raushan ke khul gai qali na Thahraa aag pe simaab-vaar aaina samaa rahe hain magar tere nau-ba-nau jalve ki ban gayaa hai tilism-e-bahaar aaina shikast-e-rang pe masti mein hanste hain ham bhi dikhaaeinge unhein vaqt-e-khumaar aaina mujhe to kahte ho mat dekh meri jaanib tu aur aap dekhte ho baar baar aaina balaa hai man-e-vafaa nuur uD gayaa naaseh tu le ke dekh to rang-e-azaar aaina samajh tu 'momin' agar naaravaa ho khud-bini to dekhein kaahe ko parhez-gaar aaina"
"ghussa begaana-vaar honaa thaa bas yahi tujh se yaar honaa thaa kyaa shab-e-intizaar honaa thaa naahaq ummid-vaar honaa thaa kyuun na hote aziiz ghair tumhein meri qismat mein khvaar honaa thaa mujh se jannat mein vo sanam na milaa hashr aur ek baar honaa thaa gar na thi ai dil us ke ranj ki taab kyuun shikaayat-guzaar honaa thaa khaak hotaa na main to kyaa kartaa us ke dar kaa ghubaar honaa thaa harza-gardi se ham zalil hue charkh kaa e'tibaar honaa thaa marg-e-shaam-e-visaal-e-hirmaan hai subh-dam jaan-nisaar honaa thaa aur se ham-kanaar hai dushman aaj to ham-kanaar honaa thaa shikva-e-dahr par kahaa tum ko aafat-e-rozgaar honaa thaa chashm-e-be-ikhtiyaar-e-jaanaan mein kyaa miraa ikhtiyaar honaa thaa sabr kar sabr ho chukaa jo kuchh ai dil-e-be-qaraar honaa thaa ku-e-dushman mein jaa pakaDtaa kyuun kyaa mujhe sharmsaar honaa thaa vo namak-paash bhi nahin hote yuun hi dil ko figaar honaa thaa khaak mein haif ye sharaab mile mohtasib baada-khvaar honaa thaa na gayaa tir-e-naala su-e-raqib murgh-e-arshi shikaar honaa thaa raat din baada o sanam 'momin' kuchh to parhez-gaar honaa thaa"
"agar ghaflat se baaz aayaa jafaa ki talaafi ki bhi zaalim ne to kyaa ki mare aaghaaz-e-ulfat mein ham afsos use bhi rah gai hasrat jafaa ki kabhi insaaf hi dekhaa na didaar qayaamat aksar us ku mein rahaa ki falak ke haath se main jaa chhupun gar khabar laa de koi tahtus-saraa ki shab-e-vasl-e-adu kyaa kyaa jalaa huun haqiqat khul gai roz-e-jazaa ki chaman mein koi us ku se na aayaa gai barbaad sab mehnat sabaa ki kushaad-e-dil pe baandhi hai kamar aaj nahin hai khairiyat band-e-qabaa ki kiyaa jab iltifaat us ne zaraa saa paDi ham ko husul-e-muddaaa ki kahaa hai ghair ne tum se miraa haal kahe deti hai bebaaki adaa ki tumhein shor-e-fughaan se mere kyaa kaam khabar lo apni chashm-e-surma-saa ki diyaa ilm o hunar hasrat-kashi ko falak ne mujh se ye kaisi daghaa ki gham-e-maqsad-rasi taa nazaa aur ham ab aai maut bakht-e-naa-rasaa ki mujhe ai dil tiri jaldi ne maaraa nahin taqsir us der-aashnaa ki jafaa se thak gae to bhi na puchhaa ki tu ne kis tavaqqo par vafaa ki kahaa us but se martaa huun to 'momin' kahaa main kyaa karun marzi khudaa ki"
"ye uzr-e-imtihaan-e-jazb-e-dil kaisaa nikal aayaa main ilzaam us ko detaa thaa qusur apnaa nikal aayaa na shaadi-marg huun kyunkar hai muzhda qatl-e-dushman kaa ki ghar mein se liye shamshir vo rotaa nikal aayaa sitam ai garmi-e-zabt-e-fughaan-o-aah chhaati par kabhu bas paD gayaa chhaalaa kabhu phoDaa nikal aayaa kiyaa zanjir mujh ko chaara-gar ne kin dinon mein jab adu ki qaid se vo shokh-e-be-parvaa nikal aayaa nikal aayaa agar aansu to zaalim mat nikaal aankhein sunaa maazur hai muztar nikal aayaa nikal aayaa hamaare khun-bahaa kaa ghair se daavaa hai qaatil ko ye baad-e-infisaal ab aur hi jhagDaa nikal aayaa hui bulbul sanaa-khvaan-e-dahaan-e-tang kis gul ki ki farvardi mein ghunche kaa munh itnaa saa nikal aayaa koi tiir us kaa dil mein rah gayaa thaa kyaa ki aankhon se abhi rone mein ik paikaan kaa TukDaa nikal aayaa dam-e-bismil ye kis ke khauf se ham pi gae aansu ki har zakhm-e-badan se khuun kaa dariyaa nikal aayaa khadang-e-yaar ke hamraah nikli jaan siine se yahi armaan ik muddat se ji mein thaa nikal aayaa bahut naazaan hai tu ai qais par vahshat dikhaaungaa kitaabon mein kabhu qissa jo 'momin' kaa nikal aayaa"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"kyaa manzil-e-gham simaT gai hai ik aah mein raah kaT gai hai phir saamne hai pahaaD si raat phir shaam se niind uchaT gai hai pahlu mein ye kaisaa dard uThaa hai ye kaun si raah kaT gai hai aap aae nahin to maut kambakht aa aa ke palaT palaT gai hai uTh uTh ke mariz-e-gham ne puchhaa kyaa hijr ki raat kaT gai hai phir 'saif' havaa-e-yaad-e-rafta har gham ki naqaab ulaT gai hai"