"charaaghon kaa kaleja bhun rahi hain havaaein dard kis kaa sun rahi hain bahut masruf hain saansein hamaari abhi jiine ki chaadar bun rahi hain ye uDti rang-birangi titliyaan kyaa shagufta phuul dil kaa chun rahi hain pahaaDi raag jab nadiyon ne chheDe uchhalti lahrein khud sar dhun rahi hain chamakti bijliyon pe ghaur karnaa hamaare hosh kaa naakhun rahi hain"
unche peDon ke niche hansi rah gai — Ashhad Karim Ulfat
"unche peDon ke niche hansi rah gai kaali parchhaain mein chaandni rah gai surkh gaalon pe aansu ke qatre gire phuul se honT par tishnagi rah gai ai khudaa teri duniyaa mein sab kuchh to hai dil dhaDaktaa hai kyon kyaa kami rah gai kis ne tasvir khinchi hai aavaaz ki duur se bolti zindagi rah gai sar-e-shaam tezi se rukhsat hui raat ke haath mein raushni rah gai gahri khaamoshiyon mein shikan thi bahut niind aankhon tale jaagti rah gai sard raaton ki peshaaniyaan chuum kar barf si subhon mein kapkapi rah gai saare auraaq dimak-zada the magar vaqt ke saaz par shaairi rah gai harf aayaa nahin meri 'ulfat' pe kyon jaan-ba-haq ho gae jaan-kani rah gai"
اونچے پیڑوں کے نیچے ہنسی رہ گئی کالی پرچھائیں میں چاندنی رہ گئی سرخ گالوں پہ آنسو کے قطرے گرے پھول سے ہونٹ پر تشنگی رہ گئی اے خدا تیری دنیا میں سب کچھ تو ہے دل دھڑکتا ہے کیوں کیا کمی رہ گئی کس نے تصویر کھینچی ہے آواز کی دور سے بولتی زندگی رہ گئی سر شام تیزی سے رخصت ہوئی رات کے ہاتھ میں روشنی رہ گئی گہری خاموشیوں میں شکن تھی بہت نیند آنکھوں تلے جاگتی رہ گئی سرد راتوں کی پیشانیاں چوم کر برف سی صبحوں میں کپکپی رہ گئی سارے اوراق دیمک زدہ تھے مگر وقت کے ساز پر شاعری رہ گئی حرف آیا نہیں میری الفتؔ پہ کیوں جاں بحق ہو گئے جاں کنی رہ گئی
ऊँचे पेड़ों के नीचे हँसी रह गई काली परछाईं में चाँदनी रह गई सुर्ख़ गालों पे आँसू के क़तरे गिरे फूल से होंट पर तिश्नगी रह गई ऐ ख़ुदा तेरी दुनिया में सब कुछ तो है दिल धड़कता है क्यों क्या कमी रह गई किस ने तस्वीर खींची है आवाज़ की दूर से बोलती ज़िंदगी रह गई सर-ए-शाम तेज़ी से रुख़्सत हुई रात के हाथ में रौशनी रह गई गहरी ख़ामोशियों में शिकन थी बहुत नींद आँखों तले जागती रह गई सर्द रातों की पेशानियाँ चूम कर बर्फ़ सी सुब्हों में कपकपी रह गई सारे औराक़ दीमक-ज़दा थे मगर वक़्त के साज़ पर शाइ'री रह गई हर्फ़ आया नहीं मेरी 'उल्फ़त' पे क्यों जाँ-ब-हक़ हो गए जाँ-कनी रह गई

More by Ashhad Karim Ulfat
View all →"ajiib shakhs hai tevar hai baaghiyaana saa banaae rakhtaa hai suuli pe aashiyaana saa ajiib shauq hai shauq-e-visaal bhi us kaa gulaal chehra tabassum hai faatehaana saa nigaah-e-naaz liye khvaab khvaab surat hai har aadmi hai yahaan gum-shuda fasaana saa tasavvuraat ke but TuTte bikharte hain har ik jumud pe lagtaa hai taaziyaana saa taDapti machhli ki aankhein phaDak gai si hain ghazab kaa saadh rahaa hai koi nishaana saa zamaana-saaz qalandar hai kis khayaal mein gum aur us ke zer-e-qadam hai paDaa zamaana saa jhukaae rakhti hai us ke kalaam ki quvvat libaas Daal rakhaa hai phaTaa-puraanaa saa kisi ne maut ki parchi pe likh diyaa 'ulfat' ye zindagi se taaaruf hai ghaaebaana saa"
"ik diyaa jal rahaa hai havaa tez hai dil magar kaanptaa hai havaa tez hai 'aarizon ke par pankh kyaa ho gae shauq mahv-e-duaa hai havaa tez hai ek jhonke mein khushbu kahaan uD gai kaun saa gul khilaa hai havaa tez hai dasht-dar-dasht uDti hui khaak mein zindagi laapata hai havaa tez hai kah rahi hain samundar ki khaamoshiyaan mere siine mein kyaa hai havaa tez hai mast haathi se baadal kahaan kho gae chiyunTiyon si ghaTaa hai havaa tez hai kaun rotaa hai vaqt-e-sahar dil dukhaa ik sisakti sadaa hai havaa tez hai kyaa vo aayaa ki zanjir hilne lagi yaa miraa vaahima hai havaa tez hai is bulandi se guzre to aisaa lagaa kyaa khuli si fazaa hai havaa tez hai ham kahaan jaa rahe hain zamin chhoD kar ye safar kaun saa hai havaa tez hai"
"du'aa-e-dast-e-fazilat se sar ki raunaq hai hamaare ghar ke buzurgon se ghar ki raunaq hai dar-o-divaar se kilkaariyaan nikalti huiin abhi bhi sahn mein buDhe shajar ki raunaq hai hari-bhari hai ye chaukhaT kisi ke qadmon se hamaari nim-shabi bhi sahar ki raunaq hai zamaana dekh chukaa hai jalaal suraj kaa ye shaam surma-e-nur-e-nazar ki raunaq hai vo apne lutf se miTTi mein jaan Daaltaa hai ye chaak-e-husn-e-jahaan kuza-gar ki raunaq hai sukut-e-shab bhi abhi tak muraaqabe mein hai hamaari chhat kisi gard-e-safar ki raunaq hai ye bistare ki haraarat ye Dolti zanjir kivaaD tohfa-e-baab-e-asar ki raunaq hai"
"saans chaDhti hui utarti hui zindagi TuTti bikharti hui har taraf maut hi ki dastak hai dil ki aavaaz kyon hai marti hui gahri taarikiyon mein jugnu si aankh khulti hai apni Darti hui kalima-e-haq labon pe jaari rakh raushni si ho kuchh ubharti hui kyaa qayaamat kaa din nikal aayaa jalte suraj se garm dharti hui sabr surat bhi phuul jaisi hai dekhiye aag mein nikharti hui ik tajalli zarur aaegi dhund ke phaile par katarti hui pyaari pyaari si baat ulfat ki fikr ke saare zakhm bharti hui"
"apne aap mein aksar khush huun ro kar khush huun hans kar khush huun jhiil ke jaisi aankhein bolein chaand kaa chummaa le kar khush huun hare dupaTTe khet ne oDhe baadal bijli tujh par khush huun khol ke copy saade varaq par naam tumhaaraa likh kar khush huun sunday ko kuchh mauj kareinge soch ke ghar kaa manzar khush huun"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"