"har shai jahaan ki gard-o-ghubaar-e-khayaal hai aashob-gaah-e-dahr mein jiinaa muhaal hai ye gulshan-e-yaqin bhi ba-juz vahm kuchh nahin aalam jise kahein vo tilism-e-khayaal hai nairagi-e-nazar ke sivaa aur kuchh nahin dud-e-firaaq jalva-e-shaam-e-visaal hai ye naghma-e-vajud kisi raagni ki raakh ik chikh saaz-e-umr-e-abad kaa maaal hai har mauj hai ki haath se chhuTti hui inaan vo jast-o-khez hai ki sambhalnaa muhaal hai tapte dinon ki aag mein jiine ki aarzu shabnam ba-ru-e-gul araq-e-infiaal hai tanhaaiyon mein baiTh ke khud ko shikaar kar ye dasht-e-dil bhi dasht-e-khutan ki misaal hai"
ye tamannaa thi ki ham itne sukhanvar hote — Jafar Tahir
"ye tamannaa thi ki ham itne sukhanvar hote ik ghazal kahte to aabaad kai ghar hote duriyaan itni dilon mein to na hotin yaarab phail jaate ye jazire to samundar hote apne haathon pe muqaddar ke navishte bhi paDh na sahi maa'ni zaraa lafz to behtar hote dil pe ik vahy aur ilhaam kaa rahtaa hai samaan ham agar rind na hote to payambar hote ham agar dil na jalaate to na jalte ye charaagh ham na rote jo lahu aaine mein patthar hote ham agar jaam-ba-kaf raqs na karte rahte teri raahon mein sitaare na gul-e-tar hote ghar banaa baiThe bayaabaan mein divaane varna paanv uTh jaate to jibril kaa shahpar hote suratein yuun to na yaaron ki rulaati rahtin ai gham-e-marg ye sadme to na dil par hote ham rahe garche tahi-dast hi jaafar-'taahir' bas mein ye baat bhi kab thi ki abuzar hote"
یہ تمنا تھی کہ ہم اتنے سخنور ہوتے اک غزل کہتے تو آباد کئی گھر ہوتے دوریاں اتنی دلوں میں تو نہ ہوتیں یا رب پھیل جاتے یہ جزیرے تو سمندر ہوتے اپنے ہاتھوں پہ مقدر کے نوشتے بھی پڑھ نہ سہی معنی ذرا لفظ تو بہتر ہوتے دل پہ اک وحی اور الہام کا رہتا ہے سماں ہم اگر رند نہ ہوتے تو پیمبر ہوتے ہم اگر دل نہ جلاتے تو نہ جلتے یہ چراغ ہم نہ روتے جو لہو آئنے میں پتھر ہوتے ہم اگر جام بکف رقص نہ کرتے رہتے تیری راہوں میں ستارے نہ گل تر ہوتے گھر بنا بیٹھے بیاباں میں دوانے ورنہ پاؤں اٹھ جاتے تو جبریل کا شہ پر ہوتے صورتیں یوں تو نہ یاروں کی رلاتی رہتیں اے غم مرگ یہ صدمے تو نہ دل پر ہوتے ہم رہے گرچہ تہی دست ہی جعفر طاہرؔ بس میں یہ بات بھی کب تھی کہ ابوذر ہوتے
ये तमन्ना थी कि हम इतने सुख़नवर होते इक ग़ज़ल कहते तो आबाद कई घर होते दूरियाँ इतनी दिलों में तो न होतीं यारब फैल जाते ये जज़ीरे तो समुंदर होते अपने हाथों पे मुक़द्दर के नविश्ते भी पढ़ न सही मा'नी ज़रा लफ़्ज़ तो बेहतर होते दिल पे इक वही और इल्हाम का रहता है समाँ हम अगर रिंद न होते तो पयम्बर होते हम अगर दिल न जलाते तो न जलते ये चराग़ हम न रोते जो लहू आइने में पत्थर होते हम अगर जाम-ब-कफ़ रक़्स न करते रहते तेरी राहों में सितारे न गुल-ए-तर होते घर बना बैठे बयाबाँ में दिवाने वर्ना पाँव उठ जाते तो जिबरील का शहपर होते सूरतें यूँ तो न यारों की रुलाती रहतीं ऐ ग़म-ए-मर्ग ये सदमे तो न दिल पर होते हम रहे गरचे तही-दस्त ही जाफ़र-'ताहिर' बस में ये बात भी कब थी कि अबूज़र होते

More by Jafar Tahir
View all →"pilaa ai giroh-e-sukhanvaraan koi sher-e-tar gul-e-taaza ras ye bahaar mein bhi khamoshiyaan na sar-e-junun na pae havas ye hai mai-kada jo baDhaa ke haath uThaa le jaam usi kaa hai na yahaan pe kaavish-e-besh-o-kam na yahaan pe tohmat-e-pesh-o-pas sharar-e-tabiat-e-aashiqaan sabab-e-tajalli-e-gulsitaan ye hinaa-e-shauq shafaq shafaq ye mai-e-nashaat nafas nafas hai siyaah-posh nazar nazar hai nafas nafas nae naala-gar vahi tira-bakhti-e-ahl-e-dil vahi zulmat-e-shab-e-taar-o-bas tah-e-taar-e-kisvat-e-ankabut ye taairaan-e-tarab-navaa sar takht-e-farq-e-humaa humaa ba-sad 'aafiyat hai magas magas ye kamaan-kashaan-e-zah-e-ghurur phirein hain kis ki talaash mein vo jo baagh-e-jaan ki bahaar the vo basaa chuke hain qafas qafas ye fazaa-e-dasht shuur-e-baagh-e-nishaat-o-khuld-e-surur hai na sukhan ki harza-kharoshiyaan na lab-e-sadaa na dam-e-jaras abhi phuul phuul hai jaan-ba-lab ye tap-e-balaa tapish ghazab abhi khul ke abr-e-karam baras abhi aur khul ke baras baras kabhi is taraf bhi guzar karo kabhi is taraf bhi nazar karo main faqir-e-gul-kada-e-vafaa mire barg-e-saaz ye khaar-o-khas"
"nashshe mein chashm-e-naaz jo hansti nazar paDi tasvir-e-hoshiyaari-o-masti nazar paDi lahraai ek baar vo zulf-e-khirad-shikaar koi na phir bulandi-o-pasti nazar paDi uTThi thi pahli baar jidhar chashm-e-aarzu vo log phir mile na vo basti nazar paDi husn-e-butaan to aaina-e-husn-e-zaat hai zaahid ko us mein kufr-parasti nazar paDi yaarab kabhi tu bul-havason ko bhi de sazaa maanaa hamaari jaan to sasti nazar paDi su-e-chaman gae the bahaaraan samajh ke ham dekhaa to ek aag-parasti nazar paDi kaisi sabaa kahaan ki nasim-e-chaman na puchh naagin si phuul phuul ko Dasti nazar paDi muddat ke baad apni taraf phir gayaa khayaal tum kyaa mile ki surat-e-hasti nazar paDi shabnam ki buund buund ne hans hans ke jaan di 'taahir' kiran kiran bhi tarasti nazar paDi"
"kahne ko yuun to abr-e-karam qatra-zan huaa vo gul khile nadim ki khun-e-chaman huaa ye daagh-e-dil ki jin se rivaaj-e-sahar chalaa nok-e-mizha pe ashk jo ubhraa kiran huaa patthar ki muratein nazar aati hain chaar-su yaarab tire jahaan ko ye kyaa dafatan huaa donon mein gunjti hain bahaaron ki dhaDkanein meri ghazal hui ki tumhaaraa badan huaa donon se ho rahaa hai nai subh kaa zuhur teri qabaa hui ki hamaaraa kafan huaa 'taahir' siyaah-faam hue ham to gham nahin raushan hamaare naam se naam-e-sukhan huaa"
"gham-e-dauraan gham-e-jaanaan gham-e-jaan hai ki nahin dil-sitaan silsila-e-gham-zadagaan hai ki nahin har nafas bazm-e-gulistaan mein ghazal-khvaan thaa kabhi har nafas naala-kashaan nauha-kunaan hai ki nahin har nazar naghma-saraa anjuman-aaraa thi kabhi har nazar hairati-e-rang-e-jahaan hai ki nahin har zabaan par thaa kabhi tazkira-e-daur-e-bahaar har zabaan shikva-gar-e-jaur-e-khizaan hai ki nahin mai-chakaan baada-nishaan the lab-e-gul-rang kabhi lab-e-gul-rang pe zakhmon kaa gumaan hai ki nahin surma-e-chashm-e-inaayat ki hikaayat chhoDo aaj har aankh mein aahon kaa dhuaan hai ki nahin qaafile jaane ghaTaaon ke kahaan utreinge har kham-e-zulf ba-hasrat-nigaraan hai ki nahin dasht-e-vahshat se nahin kam ye jahaan-e-gul-o-bu surat-e-reg-e-ravaan umr-e-ravaan hai ki nahin naghma-e-baad-e-bahaari jise tum kahte ho jaras-e-qaafila-e-gul ki fughaan hai ki nahin na to bulbul ki navaa hai na sadaa-e-taaus sehn-e-gulzaar mein ab amn-o-amaan hai ki nahin mujh se kyaa puchhte ho kaun yahaan tak pahunchaa surkhi-e-khaar-e-bayaabaan se ayaan hai ki nahin zindagi kuchh bhi sahi phir bhi baDi daulat hai maut si shai bhi yahaan jins-e-giraan hai ki nahin surat-e-lutf-o-karam ye ho to dil kyuun na jale aag patthar ke bhi siine mein nihaan hai ki nahin zulm chup-chaap sahe jaaoge aakhir kab tak ai asiraan-e-qafas munh mein zabaan hai ki nahin ye adab-gaah-e-mohabbat hai jo chup huun 'taahir' varna yaan kaun saa andaaz-e-bayaan hai ki nahin"
"ku-e-haram se nikli hai ku-e-butaan ki raah haae kahaan pe aa ke mili hai kahaan ki raah sad-aasmaan ba-daaman o sad-kahkashaan-ba-dosh baam-e-buland-e-yaar tire aastaan ki raah mulk-e-adam mein qaafila-e-ruh jaa basaa ham dekhte hi rah gae us bad-gumaan ki raah luTtaa rahaa hai zauq-e-nazar gaam gaam par ab kyaa rahaa hai paas jo ham lein vahaan ki raah ai zulf-e-kham-ba-kham tujhe apnaa hi vaasta hamvaar hone paae na umr-e-ravaan ki raah gul-haa-e-rang-rang hain afkaar-e-nau-ba-nau ye rahguzaar-e-sher hai kis gulsitaan ki raah 'taahir' ye manzilein ye maqaamaat ye haram allaah re ye raah ye ku-e-butaan ki raah"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"