SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tumhaare paas ik vahshi ne ye paighaam bhejaa hai ki ab hijraan-nashibon ko bhulaa denaa hi achchhaa hai junun mein yuun to kuchh apni khabar milti nahin ham ko ki aisaa naam hai jis par abhi tak dil dhaDaktaa hai ye maanaa sakht hai ye vaadi-e-ghurbat ki tanhaai mujhe rahne de ai hamdam yahin ab ji bahaltaa hai dil-e-naadaan ko raas aai tumhaari kaj-adaai bhi tumhaari bevafaai mein bhi ik aalam nikaltaa hai yaqin aa kar dilaate hain mujhe ye qaafile vaale zaraa kuchh aur aage kucha-e-jaanaan kaa rastaa hai"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi
Quote
"jaltaa nahin aur jal rahaa huun kis aag mein main pighal rahaa huun mafluj hain haath paanv mere phir zehn mein kyuun ye chal rahaa huun ik buund nahin lahu ki baaqi kis baat pe main machal rahaa huun tum jhuuT ye kah rahe ho mujh se main bhi kabhi be-badal rahaa huun kyuun mujh se hue gunaah sarzad kahne ko to be-'amal rahaa huun raai kaa banaa ke ek parbat ab us pe yunhi phisal rahaa huun kis haath se haath main milaaun ab apne hi haath mal rahaa huun kyuun aaina baar baar dekhun main aaj nahin jo kal rahaa huun ab kaun saa dar rahaa hai baaqi is dar se main kyuun nikal rahaa huun qadmon ke tale to kuchh nahin hai kis chiiz ko main kuchal rahaa huun ab koi nahin rahaa sahaaraa main aaj phir se sanbhal rahaa huun main kyuun karun aasmaan ki khvaahish ab tak to zamin pe chal rahaa huun ye barf haTaao mere sar se main aaj kuchh aur jal rahaa huun mujh ko na pilaao koi paani pyaason ke main saath chal rahaa huun khaane ki nahin rahi talab kuchh ab bhuuk ke bal pe pal rahaa huun"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi
Quote
"soi hai kali dil ki us ko bhi jagaa jaanaa is raah se bhi ho kar ai baad-e-sabaa jaanaa ham bhulte jaate hain us chehra-e-zebaa ko ai khvaab zaraa us ki surat to dikhaa jaanaa jab mausam-e-gul aae ai nikhat-e-aavaara aa kar dar-e-zindaan ki zanjir hilaa jaanaa phir haath chhuDaati hai mujh se miri tanhaai phir dil ke sanbhalne ke andaaz bataa jaanaa kis naaz se paalaa hai ham ne gham-e-hijraan ko us gham ko zaraa aa kar siine se lagaa jaanaa auron ke liye yuun to ik sang-e-garaan ham hain haan tum jo kabhi chaaho miTTi mein milaa jaanaa aankhon se bhi ab dil ki rudaad nahin kahte ab ham se koi sikhe har bhed chhupaa jaanaa apne hi kharaabe mein ham 'umr guzaareinge jab tum ko mile fursat ye ghar bhi basaa jaanaa"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi
Quote
"jab kabhi aayaa to zikr-e-mai-e-gulfaam aayaa kufr aayaa tire rindon ko na islaam aayaa phir kahaan bhaag ke jaaeinge ye tere vahshi gar tiri zulf ke saae mein na aaraam aayaa ham to barbaad the barbaad hi honaa thaa hamein kyon tiri chashm-e-'inaayat pe ye ilzaam aayaa si liye honTh ki andesha-e-rusvaai thaa phir bhi har saans mein chhup-chhup ke tiraa naam aayaa baat to jab hai bane aaj koi meraa harif 'ishq mein jaan ganvaa dene kaa hangaam aayaa mai-kade se jo chale daar-o-rasan tak pahunche aaj ye pi ke bahaknaa bhi bahut kaam aayaa"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi
Quote
"vo ham-safir the to qafas bhi chaman hi thaa ab jaise aashiyaan bhi miraa aashiyaan nahin mere junun pe un ko khalish si zarur hai ye aur baat hai ki vo kuchh mehrbaan nahin sab naa-umid ho ke zamaane se jaa mile ahl-e-vafaa kaa aaj koi raaz-daan nahin kaisi bahaar kaisaa chaman kaisaa mai-kada meraa lahu bhi pi ke ye duniyaa javaan nahin ham ahl-e-gham ke paas dil-e-khun-chakaan to hai tum ko sunaaein haal vo tarz-e-bayaan nahin naaseh ki zid pe charkh ko laanaa thaa raah par kaise kahein ki sai-e-junun raaegaan nahin"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi
Quote
"hai 'ajib chiiz ma-e-junun kabhi dil ki pyaas nahin bujhi magar ab milaa ke to dekh luun zaraa ek qatra-e-aagahi miri khaamushi miri be-hisi yahi meraa raaz-e-fasurdagi kabhi so gayaa huun to jaag uThi hai ye dil ki choT dabi dabi hai ye kaisi sohbat mai-kashaan ki har ek jaam lahu lahu yahi dosti hai to ai khudaa mujhe raas aae na dosti hai malul mujh se duaa-e-maut ki saath us kaa na de sakaa mire raaste mein jo aa gai yahi zindagi yahi zindagi zaraa aa ke saamne baiTh jaa miri chashm-e-tar ke qarib aa mire aaine mein bhi dekh le kabhi apni zulf ki barhami yahi saath saath mire rahaa main isi kaa paa na sakaa pataa kabhi har qadam pe mujhe milaa yahi aadmi yahi aadmi mire saath saath chale the sab miraa saath koi na de sakaa mire ham-safar mire ham-nazar miri khud-sari miri sar-kashi miri samt aur bhi saaqiyaa vo jo buund buund mein zahr thaa jise aur koi na pi sakaa vo sharaab mere hi munh lagi main shahid-e-zulmat-e-shab sahi miri khaak ko yahi justuju koi raushni koi raushni koi raushni koi raushni"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi
Quote
"har zarra gul-fishaan hai nazar chuur chuur hai nikle hain mai-kade se to chehre pe nuur hai haan tu kahe to jaan ki parvaa nahin mujhe yuun zindagi se mujh ko mohabbat zarur hai ab ai havaa-e-charkh-e-kuhan teri khair ho uThne ko is zamin se shor-e-nushur hai apnaa jo bas chale to tujhe tujh se maang lein par kyaa karein ki ishq ki fitrat ghayur hai naazuk thaa aab-gina-e-dil TuuT hi gayaa tu ab na ho malul tiraa kyaa qusur hai aariz pe tere meri mohabbat ki surkhiyaan meri jabin pe teri vafaa kaa ghurur hai"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi
Quote
"kyaa qayaamat hai ki ham khud hi kahein khud hi sunein ek se ek abu-jehl hai kis kis se laDein aur to koi bataataa nahin is shahr kaa haal ishtihaaraat hi divaar ke paDh kar dekhein yaan to sab log hain dastaar-e-fazilat baandhe koi ham saa jo ho mahfil mein to ham bhi baiThein jitne saathi the vo is bhiiD mein sab khoe gae ab to sab ek se lagte hain kise ham DhunDhein ghar ki viraani talab karti hai din bhar kaa hisaab ham ko ye fikr zaraa shaam ko baahar niklein khvaab dekhe nahin khvaabon ki tamanna ki hai raat kis tarh se kaaTi hai ye kyaa 'arz karein haasil-e-'umr bas ik kaasa-e-khaali kyon ho aur kuchh bas na chale zahr se is ko bhar lein ham se kyon puchhte hain vaqt ki raftaar kaa haal aap kyon khud hi na masnad se utar kar dekhein dil pe ik bojh saa rakkhaa hai kisi taur haTe varaq-e-saada mayassar ho to ham bhi likkhein"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi
Quote
"ye maanaa ham ne ye duniyaa anokhi hai niraali hai chalegi chaal kyaa ham se hamaari dekhi-bhaali hai 'azizo tum ko meri chashm-e-tar se kitnaa shikva thaa chalo ab khush raho apnaa ye paimaana bhi khaali hai har ik gham kaa mudaavaa ek be-maa'ni tabassum hai mire dil kaa bharosa kyaa bahut hi laa-ubaali hai kahin mahfil jamaaein ham bhi ab pine-pilaane ki ye kyaa kam hai hamaare paas jo jaam-e-sifaali hai jo kuchh ahvaal hai apnaa bayaan karne se kyaa haasil zabaan-e-khaamushi saahab-dilon kaa tarz-e-'aali hai"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi
Quote
"har khaar-o-khas se vaza nibhaate rahe hain ham yuun zindagi ki aag jalaate rahe hain ham shiriniyon ko zahr ke daamon mein biich kar naghme hayaat-e-nau ke sunaate rahe hain ham is ki to daad degaa hamaaraa koi raqib jab sang uThaa to sar bhi uThaate rahe hain ham taa dil pe zakhm aur na koi nayaa lage apno se apnaa haal chhupaate rahe hain ham tere liye hi raat bhar ai mahr-e-zar-nigaar taarikiyon ke naaz uThaate rahe hain ham ab koi taaza phuul khilaa khaak-e-paaemaal! apnaa lahu zamin ko pilaate rahe hain ham"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi
Quote
"apni basti chhoD kar pardes mein jaaeinge kyaa yaan to hai naan-e-javin bhi vaan magar khaaeinge kyaa har taraf ik sang-baari ghar se niklein kis tarah sar salaamat hi na ho to sar ko sahlaaeinge kyaa apni apni fikr sab ko apne apne sab ko gham koi mil jaae bhi to ab dil ko bahlaaeinge kyaa kaise pichhli raat guzri kaise niind aai tumhein subh kaa suraj jo puchhegaa to batlaaeinge kyaa ham bhi the ‘aali-dimaagh aur ham bhi the ‘aali-nasab gar kahein apni zabaan se log farmaaeinge kyaa"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi
Quote
"pahle bhi sahe hain ranj bahut par aisi ghaDi kab aai hai kitni kaali kaali raatein kitni kaDi tanhaai hai mere man ke saagar mein Duubo to shaayad jaan sako jo jo aansu main ne piye hain un mein kyaa gahraai hai mujh ko mere haal pe chhoDo jo biiti so biit gai duniyaa-bhar se kaun kahe ye gham ki baDi rusvaai hai kis kis taur zamaane-bhar ke ham ne kachoke khaae hain tum bhi sun kar rone lage yaan hans hans 'umr bitaai hai ham be-parvaa 'aashiq tere ham gham-e-dauraan ko kyaa jaanein jis ke kaaran tujh ko chhoDaa haan us gham ki duhaai hai jal jal kar ham khaak hue tab jaa ke nigaahein Thahri hain haae vo jism-e-naaz ki jis mein aaine ki safaai hai jin galiyon mein 'aazmi' saahab aap bahut badnaam hue phir bhi aap vahin jaate hain is mein kyaa daanaai hai"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi
Quote
"luT gayaa ghar to hai ab subh kahin shaam kahin dekhiye ab hamein miltaa bhi hai aaraam kahin kahin aisaa na ho fitna koi barpaa ho jaae ab kabhi bhuul ke liije na miraa naam kahin ham sitam-khurda hain kuchh duur hi haT kar rahiye dekhiye aap pe aa jaae na ilzaam kahin jab paDaa gham to badalti hi nahin ye duniyaa jaa ke ab baiTh rahi gardish-e-ayyaam kahin mere ahbaab ke ikhlaas kaa parda rah jaae mujh ko pahle hi Dubo de dil-e-naakaam kahin koh-o-sahraa ki taraf chal to paDe hain vahshi phir unhein rok na lein tere dar-o-baam kahin mai-kada chhoD ke ham rind bahut pachhtaae ham pe sajtaa hi nahin jaama-e-ehraam kahin"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi
Quote
"nashaat-e-zindagi mein Duub kar aansu nikalte hain sunaa hai ab tire gham ke nae pahlu nikalte hain mohabbat kaa chaman hai aao sair-e-sarsari kar lein yahaan se le ke sab TuuTe hue baazu nikalte hain junun le ke chalaa hai paa-ba-jaulaan us ke kuche se liye aaghosh mein ham nikhat-e-gesu nikalte hain tiri basti mein divaanon ko rusvaai hi raas aai ye apnaa chaak daaman le ke ab har su nikalte hain vahi aariz vahi kaakul vahi kaafir-adaa aankhein magar har lamha phir bhi kuchh nae jaadu nikalte hain"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi
Quote
"bas ki paabandi-e-aain-e-vafaa ham se hui ye agar koi khataa hai to khataa ham se hui zindagi tere liye sab ko khafaa ham ne kiyaa apni qismat hai ki ab tu bhi khafaa ham se hui raat bhar chain se sone nahin deti ham ko itni maayus tiri zulf-e-rasaa ham se hui sar uThaane kaa bhalaa aur kise yaaraa thaa bas tire shahr mein ye rasm adaa ham se hui baar-haa dast-e-sitam-gar ko qalam ham ne kiyaa baar-haa chaak andhere ki qabaa ham se hui ham ne utne hi sar-e-raah jalaae hain charaag jitni bargashta zamaane ki havaa ham se hui baar-e-hasti to uThaa uTh na sakaa dast-e-savaal marte marte na kabhi koi duaa ham se hui kuchh dinon saath lagi thi hamein tanhaa paa kar kitni sharminda magar mauj-e-balaa ham se hui"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi
Quote
"abhi ji-bhar ke pi lo phir na ye mausam badal jaae na jaane ye pari phir kaun se shishe mein Dhal jaae bahut samjhaa-bujhaa kar raah par laae hain is dil ko kahin zaalim na phir koi niraali chaal chal jaae du'aaon se mile bhi kuchh to shaayad maut milti hai ye vo jaadu nahin jo zindagi ke sar pe chal jaae junun le kar chalaa hai mujh ko phir ku-e-harifaan mein jo baaqi rah gayaa hai ab vo kaanTaa bhi nikal jaae vo rasman hi sahi lekin khabar lete raho us ki dil aakhir dil hai kyaa jaane kahaan jaa kar bahal jaae"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi
Quote
"har ghaDi umr-e-faromaaya ki qimat maange mujh se aaina miraa meri hi surat maange duur rah kar hi jo aankhon ko bhale lagte hain dil-e-divaana magar un ki hi qurbat maange puchhte kyaa ho in aankhon ki udaasi kaa sabab khvaab jo dekhe vo khvaabon ki haqiqat maange apne daaman mein chhupaa le mire ashkon ke charaagh aur kyaa tujh se koi ai shab-e-furqat maange vo nigah kahti hai baiThe raho mahfil mein abhi dil ki aashuftagi uThne ki ijaazat maange zahr pi kar bhi jiyun main ye alag baat magar zindagi us lab-e-rangin ki halaavat maange zeb dete nahin ye turra-o-dastaar mujhe meri shorida-sari sang-e-malaamat maange"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi
Quote
"ghar mein baiThe sochaa karte ham se baDh kar kaun dukhi hai ik din ghar ki chhat pe chaDhe to dekhaa ghar ghar aag lagi hai jaane ham pe kyaa kyaa biiti tan kaa lahu sab sarf huaa rukh ki zardi bhi hai ghanimat ab to apni yahi punji hai apne-aap ko samjhaate hain raat Dhali ab tu bhi so jaa ham hi akele kaise soein dil ki dhaDkan jaag rahi hai har dam fikr ke moti rolein par do miThe bol na bolein bhed yahaan ke kis pe kholein duniyaa hi kangaal hui hai sayyad-nagri nai-niraali bhor-phaTe sab raddi vaale roz pukaarein raddi becho aakhir kitni raddi hai"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi
Quote
"ye alag baat ki har samt se patthar aayaa sar-bulandi kaa bhi ilzaam mire sar aayaa zindagi chhoD ne aai mujhe darvaaze tak raat ke pichhle pahar main jo kabhi ghar aayaa bas duaa hai ki ilaahi ye koi khvaab na ho koi saaya mire saae ke baraabar aayaa baarhaa sochaa ki ai kaash na aankhein hotin baarhaa saamne aankhon ke vo manzar aayaa kyaa kahein ab to ye aadat nahin jaati ham se jhuuT bhi bole to sach ban ke zabaan par aayaa main nahin haq mein zamaane ko buraa kahne ke ab ke main khaa ke zamaane ki jo Thokar aayaa surkhi-e-mai bhi Thaharti nahin har chehre par bul-havas bhi usi mai-khaane se ho kar aayaa"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi