SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byQayem Chaandpuri(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"maalum kuchh huaa hi na dil kaa asar kahin aisaa gayaa ki pher na paai khabar kahin aalam mein hain asiir mohabbat ke har kahin lekin sitam kisu pe nahin is qadar kahin kholi thi chashm-did ko teri pa juun hubaab apne taiin main aap na aayaa nazar kahin juun ghuncha fikr jama na kar Tuk tu gul ko dekh qismat ki kho sake hai pareshaani zar kahin rahne do meri naash ko ho jaae taa-ghubaar le jaaegi uDaa ke nasim-e-sahar kahin masraf hai sab ye baalish-e-sayyaad kaa tire bismil na bhariyo khuun se tu baal-o-par kahin roti hai kyaa gulon ko tu shabnam idhar to dekh TukDe hai is tarah se kisi kaa jigar kahin kartaa thaa kal gali mein vo apni khiraam-e-naaz is mein jo aa ke paDti hai mujh par nazar kahin kahne lagaa ye dekh ke ahvaal ko mire bad-naam tu kisi ke taiin yaan na kar kahin kyaa hattiyaa tujhe yahin deni hai ai aziiz itnaa paDaa hai mulk-e-khudaa jaa ke mar kahin 'qaaem' ye faiz-e-sohbat-e-'saudaa' hai varna main tarhi ghazal se 'mir' ki aataa thaa bar kahin"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"dil paa ke us ki zulf mein aaraam rah gayaa darvesh jis jagah ki hui shaam rah gayaa jhagDe mein ham mabaadi ke yaan tak phanse ki aah maqsud thaa jo apne taiin kaam rah gayaa naa-pokhtagi kaa apni sabab us samar se puchh jaldi se baaghbaan ki vo jo khaam rah gayaa sayyaad tu to jaa, hai par us ki bhi kuchh khabar jo murgh-e-naa-tavaan ki tah-e-daam rah gayaa qismat to dekh TuuTi hai jaa kar kahaan kamand kuchh duur apne haath se jab baam rah gayaa maarein hain ham nagin-e-sulaimaan ko pusht-e-dast jab miT gayaa nishaan to go naam rah gayaa ne tujh pe vo bahaar rahi aur na yaan vo dil kahne ko nek-o-bad ke ik ilzaam rah gayaa mauquf kuchh kamaal pe yaan kaam-e-dil nahin mujh ko hi dekh lenaa ki naakaam rah gayaa 'qaaem' gae sab us ki zabaan se jo the rafiq ik be-hayaa main khaane ko dushnaam rah gayaa"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"chhoD maavaa-e-zaqan zulf-e-pareshaan mein phansaa misl-e-yusuf main nikal chaah se zindaan mein phansaa sail-e-ashk aaj ruki aankh se girte hi magar phir kai lakht-e-jigar dida-e-giryaan mein phansaa kuchh bhi vaqfa ho to gulshan se le aaein sayyaad rah gayaa hai dil-e-gham-kash gul o raihaan mein phansaa khinch daaman rakhein ham yaar ko kis tarah ki haath ek to dil pe hai aur ek garebaan mein phansaa ai ki chaahe hai tu divaan ko 'qaaem' ke to dekh kahin hogaa kisi khummaar ki dukkaan mein phansaa"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"taa-chand sukhan-saazi-e-nairang-e-kharaabaat yaan qasd-e-kharaabi hai na aahang-e-kharaabaat aa dil mein ki is dar pe jo baiThaa hai phir un ne farsakh gine kaaba ke na farsang-e-kharaabaat dekhein to tiri dhuum Tuk ai shorish-e-masti phir aaj sar o siina hai aur sang-e-kharaabaat tashbih main jis dil ko na di kaaba se so dil ab ishq-e-mai-o-mugh se hai ham-rang-e-kharaabaat ai ghuncha-dahan bas lab-e-mai-gun ko tanik muund dil tang kahaan tak ho dil-e-tang-e-kharaabaat sau sar kaa jo ho aae to maqbul nahin yaan khaai nahin jis rind ne sarchang-e-kharaabaat kis naam se 'qaaem' main tujhe kah tu pukaarun ai aar-e-dar-e-masjid o ai nang-e-kharaabaat"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"juun ibrat-e-kor jalva-gar huun albatta kuchh huun main par kidhar huun juun shisha bharaa huun mai se lekin masti se main apni be-khabar huun jo kahiye so yaan se hai farautar kyaa jaane main kis maqaam par huun ai sabr tanik tu rah ki tujh se do-chaar qadam main peshtar huun chal daaman o aastin tujhe kyaa lab-khushk huun yaa main chashm-tar huun ai bakht-e-said teri daulat ik yumn-e-qadam se huun jidhar huun parvaane ki shab ki shaam huun main yaa roz ki shama ki sahar huun ji maange hai khush-dili ko 'qaaem' tu baiTh ke ro main nauhagar huun"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"khat ke aate hi vo mukhDe ki safaai kyaa hui vo manush kidhar gae vo mirzaai kyaa hui ham na kahte the ki pyaare jaan ahl-e-dil ki qadr ab vo dil kidhar gae vo dilrubaai kyaa hui zor kartaa hai ik aalam naa-tavaanon par tire ai sipahr-e-dun tiri zor-aazmaai kyaa hui shaikh-ji aayaa na masjid mein vo kaafir varna ham puchhte tum se ki ab vo paarsaai kyaa hui roiye is gham-kade mein aah kis kis ko ki yaan dekhte nazron ke apni ik khudaai kyaa hui ai vafaa-begaana thaa tu bhi to ham se aashnaa vo vafaa kidhar gai vo aashnaai kyaa hui go kisi haalat mein ho 'qaaem' main samjhun huun tujhe hai to tu vo hi pa teri kibriyaai kyaa hui"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"ek jaagah pe nahin hai mujhe aaraam kahin hai ajab haal miraa subh kahin shaam kahin chashm ne jo yamani lakht jigar ke kho de un nagin kaa to nahin sunte ham ab naam kahin apni qismat mein mai-e-saaf to saaqi maalum kaash pheinke tu idhar durd-e-tah-e-jaam kahin ai falak tarah se makDi ki tu jaalon ko na puur vo jo shahbaaz hain aate hain tah-e-daam kahin us kamar se nigah-e-shauq lipaTti to hai lek ji ye dhaDke hai ki aa jaae na ilzaam kahin tum ne ki dil ki talab ham bhi kahaaveinge va-lek yuun ye farmaaishein hoti hain sar-anjaam kahin paa-e-divaar se phir meri tarah vo na uThaa jin ne dekhaa tujhe yakbaar sar-e-baam kahin uzr-e-taqsir bhi chaahungaa main us se ai dil Tuk tu khaamosh ho dene se vo dushnaam kahin azm kaaba kaa tu 'qaaem' to kiyaa hai lekin rahn-e-mai kiijo na vaan jaama-e-ehraam kahin"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"durd pi lete hain aur daagh pachaa jaate hain yaan balaa-nosh hain jo aae chaDhaa jaate hain dekh kar tum ko kahin duur gae ham lekin Tuk Thahar jaao to phir aap mein aa jaate hain jab talak paanv mein chalne ki hai taaqat baaqi haal-e-dil aa ke kabhu tujh ko dikhaa jaate hain ishq kaa kyunki butaan se kare ikhfaa koi Dhab se nazron mein ye kaafir vahin paa jaate hain tarah sozan ki jo hain rishta-e-ulfat mein phanse jis taraf sair karein ru-ba-qazaa jaate hain kaun ho ghuncha-sifat apne sabaa kaa marhun jaise tang aae the vaise hi khafaa jaate hain rahiyo hushiyaar tu lap-jhap se butaan ki 'qaaem' baat ki baat mein vaan dil ko uDaa jaate hain"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"be-shaghl na zindagi basar kar gar ashk nahin to aah sar kar de tul-e-amal na vaqt-e-piri hui subh fasaana mukhtasar kar kuchh turfa maraz hai zindagi bhi is se jo koi chhuTaa so mar kar kaa'ba ke safar mein kyaa hai zaahid ban jaae to aap se safar kar kyaa dekhe hai aaine ko pyaare idhar bhi to ek dam nazar kar vo baais-e-zist shaayad aa jaae ai jaan tu jaaiyo Thahar kar fursat hai ghanimat aaj ghaafil jo ho sake naf' yaa zarar kar ye dahr hai kaargaah-e-minaa jo paanv rakkhe tu yaan so Dar kar taa'mir pe ghar ki mar na ai dil 'qaaem' ki tarah dilon mein ghar kar"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"jo koi dar pe tire baiThe hain donon aalam se phire baiThe hain juun nam-e-ashk tu kis se hai khafaa yaan koi pal mein gire baiThe hain dard-e-dil kyun-ki kahun main us se har taraf log ghire baiThe hain koi aayaa hi na bhulaa ham to kab se raste ke sire baiThe hain garm kar de tu Tuk aaghosh mein aa maare jaaDe ke Thire baiThe hain qulzum-e-ishq kaa ulTaa hai tariq yaan jo Duube so tire baiThe hain kis ko duun dosh tiri majlis mein apne mushfiq hi nire baiThe hain ham to 'qaaem' na Thaharte yak-dam lek yaan dil ke ghire baiThe hain"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"laaeq vafaa ke khalq o sazaa-e-jafaa huun main jitne hain yaan so nek hain jo kuchh buraa huun main jaa hai ki hon ye log tire paas us jagah kab qaabil-e-inaayat-o-mehr-o-vafaa huun main mujh ko butaan ki diid se mat mana kar ki shaikh kyaa jaane is libaas mein kyaa dekhtaa huun main aage mire na ghair se go tum ne baat ki sarkaar ki nazar ko to pahchaantaa huun main begaana jin se mil ke tu pyaare huaa hai yaan un sab mein ik baDaa to tiraa aashnaa huun main puchho ho mujh se tum ki piyegaa bhi tu sharaab aisaa kahaan kaa shaikh huun yaa paarsaa huun main jaur-e-sipahr o duri-e-yaaraan o ru-e-ghair jo kuchh na dekhnaa thaa so ab dekhtaa huun main aaina o ghubaar mein juun yak-digar hai rabt jo pur-kadar hain un se ziyaada safaa huun main 'qaaem' hayaat-o-marg-e-buz-o-gaav mein hain nafa is mardumi ke shor pe kis kaam kaa huun main"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"har ik surat mein tujh ko jaante hain ham is bahrup ko pahchaante hain hai qaadir to khudaa lekin butaan bhi vo kar chukte hain jo kuchh Thaante hain tu naaseh maan yaa mat maan lekin tiri baatein koi ham jaante hain gae gauhar ke taajir jis taraf se ham un raston ki maaTi chhaante hain na sambhlaa aasmaan se ishq kaa bojh hamin hain jo ye magdar bhaante hain murid-e-khaandaan-e-ishq jo hai ham apnaa piir use gardaante hain kali maarein hain do rakaat pe zaahid na DanD pelein na magdar bhaante hain bahut jaage ham us mahfil mein 'qaaem' koi dam ab to chaadar taante hain"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"kal ai aashob-e-naala aaj nahin aaj hangaama par mizaaj nahin ghair us ke ki khuub roiye aur gham-e-dil kaa koi ilaaj nahin ab bhi qimat hai dil ki gosha-e-chashm itni ye jins be-rivaaj nahin shah ko bhi chaahiye hai gor-o-kafan kaun hai jis ko ehtiyaaj nahin dil se bas haath uThaa tu ab ai ishq deh-e-viraan par khiraaj nahin do-jahaan bhi milein to bas hai hamein yaan kuchh itni to ehtiyaaj nahin kar na jurat tu ai tabib ki ye dil kaa dhaDkaa hai ikhtilaaj nahin main to 'qaaem' kahe thaa tujh se aah dil-e-naazuk hai ye zujaaj nahin"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"hai be-asar aisi hi jo apni kashish-e-dil ji le hi ke chhoDegi ye ik din khalish-e-dil thaa mu mujhe aamad mein koi us ki ki naagaah le jaae na ghar se kahin baahar tapish-e-dil zahraab o halaahil se jo kuchh kaam na niklaa de kar ke main ki khun-e-jigar parvarish-e-dil kis tarah koi guzre tiri rah se ki pyaare har gaam pe is kuche mein hai chapqalish-e-dil kyaa naqsh ki khaatir se hue mujh ko magar ek har naqsh tiraa aaTh pahar muntaqish-e-dil haathon se dil o diida ke aayaa huun nipaT tang aankhon ko rouun yaa main karun sarzanish-e-dil diijo na ise us but-e-bebaak ko 'qaaem' zinhaar ki naazuk hai nihaayat tapish-e-dil"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"na puchho ki 'qaaem' kaa kyaa haal hai kuchh ik Dher haDDiyon kaa yaa khaal hai jo baiThe to hai ru-e-qaalin kaa naqsh khaDaa ho to kaaghaz ki timsaal hai khaTaktaa hai pahlu mein yuun ham-nashin kahe to ye dil tiir ki bhaal hai giraftaar hai jo tiri zulf kaa vo har qaid se faarigh-ul-baal hai uThaa raund Daale ik aalim ke dil bhalaa shokh ye bhi koi chaal hai ulajhtaa hai ji shaikh ki riish dekh vo sach hai misl baal janjaal hai dhaDakne kaa dil par hai gaahe hujum gahe chashm girya ki paamaal hai ye goyaa dar-e-daulat-e-ishq par dil o diida saamaan ghaDiyaal hai khush aai hai 'qaaem' yahi gar zamin to phir kah na mazmun kaa kyaa kaal hai"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"kidhar abru ki us ke dhaak nahin kaun is tegh kaa halaak nahin misl-e-aaina aabru hai to dekh varna ghar mein to apne khaak nahin de hai ham-chashmi us se phir khurshid kyaa bhalaa us ke munh pe naak nahin chaahein tauba ki chhaanv ham zaahid kyaa kahein daar-bast-e-taak nahin khabar-e-ghaib khatra-e-dil hai varna taa-arsh apni Daak nahin jis musalle pe chhiDkiye na sharaab apne aaiin mein vo paak nahin yuun to taaib hain mai se ham bhi pa shaikh gar pilaave koi to baak nahin yaan vo malbus khaas naiin juun gul jo qabaa das jagah se chaak nahin 'qaaem' us kuche mein phire hai magar abhi kuchh baat Thik-Thaak nahin"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"ji mein chuhlein thiin jo kuchh so to gaiin yaar ke saath sar paTaknaa hi paDaa ab dar-o-divaar ke saath ik hamin khaar the aankhon mein sabhon ki so chale bulbulo khush raho ab tum gul-o-gulzaar ke saath khaar-e-mardud-e-chaman mujh ko kiyaa roz-e-azal jin ne bhejaa hai tujhe guna-e-gulzaar ke saath main divaanaa huun sadaa kaa mujhe mat qaid karo ji nikal jaaegaa zanjir ki jhankaar ke saath yaaro kahte the jo tum laala-o-gul hai so kahaan sar paTakne to na aayaa thaa mein kohsaar ke saath haae sayyaad ye insaaf se tere hai baiid yaan talak kiije sitam apne giraftaar ke saath garche bulbul huun main 'qaaem' vale is baagh ke biich farq koi na kare gul ko jahaan khaar ke saath"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"na puchh ''girya-e-khun kaa tire hai kyaa baais'' sabab to aur nahin kuchh magar tiraa baais agarche shaikh hai piinaa sharaab fel-e-shania pa kyaa karun ki kai din se thi huaa baais do-chand girya ki tabrid se hui tab ishq ziyaadti kaa maraz ki hai yaan davaa baais na jurm us kaa hai saabit na kuchh miri taqsir khudaa hi jaane ki ranjish kaa kyaa huaa baais rahaa main us se girafta ik umr tak lekin kiyaa jo khuub taammul to kuchh na thaa baais tarah us aab ki jo pairne se ho dirham hue hain mere tashattut ke aashnaa baais kabhu khilaa na dam-e-sard se ye dil 'qaaem' agarche khilne kaa ghuncha ke hai sabaa baais"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"aage kuchh us ke zikr-e-dil-e-zaar mat karo sab khairiyat hai us se kuchh izhaar mat karo jaane do jo nasib mein honaa thaa so huaa yaaro khudaa ke vaaste takraar mat karo aaina le ke pahle tanik saj to dekh lo milne kaa ghair ke abhi inkaar mat karo sar chaDh rahaa hai kaal yunhi aashiqon ke yaan paTTi se tum ye baal numudaar mat karo ai aah-o-naala chhup ke main aayaa huun is jagah aalam ko shor kar ke khabar-daar mat karo apni bisaat mein to yahi jins-e-dil hai yaan go ab pasand is ko kharidaar mat karo pyaare kamar kahaan hai tumhaare yunhi ba-zan sun kar kisi se jhuuT par israar mat karo 'qaaem' vo tab kahe thaa shab ahvaal-e-khalq dekh mujh saa to haq kisi ko trahdaar mat karo"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"yunhi ranjish ho aur gilaa bhi yunhi ho je har baat par khafaa bhi yunhi kuchh na ham ko hi bhaa gayaa ye taur vaaqai ye ki hai mazaa bhi yunhi said-e-kanjashk se na haath uThaa aa ke phans jaae hai humaa bhi yunhi juun ujaaDaa tu ghar miraa ai ishq khaana viraan ho tiraa bhi yunhi kyuun na rouun main dekh khanda-e-gul ki hanse thaa vo bevafaa bhi yunhi ab talak meri ziist ne ki vafaa bas main dekhi tiri jafaa bhi yunhi mas-e-dil ko diyaa kar apne gudaaz haath chaDh jaa hai kimiyaa bhi yunhi ye kahaan aur vo gul kidhar 'qaaem' ik havaa baandhe hai sabaa bhi yunhi"
Q
Qayem Chaandpuri