SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals bySalim Saleem(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"khud apne vaaste kyaa kyaa sukhan banaate hain kisi ki zulf ko jab pur-shikan banaate hain ghazaal-e-shaam-o-sahar yunhi ram kiye jaaein ham apne siine ko dasht-e-khutan banaate hain usi ki khaak ke ham bhi bane hue hain miyaan ye chaak hai chalo us kaa badan banaate hain ye log bhaage hue hain tire visaal se kyaa jo tere hijr ko apnaa vatan banaate hain hamin pe paDti hain un aainon ki bauchhaarein to ham bhi un ke liye baankpan banaate hain tamaam 'umr ki aashuftagi-e-jaan ke 'evaz kisi ke lams ko apnaa kafan banaate hain"
Salim SaleemSalim Saleem
Quote
"is tarah mat apni tanhaai ko zaae' kijiye apne 'aashiq ko zaraa ghar par bulaayaa kijiye chhu ke kar diije hamein ghaaeb jahaan-e-khaak se jo haqiqat hai use ik din kinaaya kijiye qatl kiije shauq se ham ko sar-e-baazaar aap aur hamaari naa'sh galiyon mein phiraayaa kijiye aap ki dahliz par baiThaa huaa raahi huun main ik zaraa ghar se nikaliye aur saayaa kijiye lafz aur izhaar ke saare vasaail aap ke ab hamaare paas jo kuchh hai paraayaa kijiye aap ke aane se ham aate hain apne aap mein ik karam kiije hamaare paas aayaa kijiye dhuup ki shiddat mein saaraa husn kumhlaa jaaegaa kholiye zulfon ko aur chehre pe saayaa kijiye"
Salim SaleemSalim Saleem
Quote
"kisi ke 'ishq mein ye kaam karnaa chaahte hain ham aasmaan pe ab paanv dharnaa chaahte hain simaTnaa chaahti hai raat meri aankhon mein sitaare mere badan mein utarnaa chaahte hain hamein to raas na aayaa ye intishaar apnaa zaraa sameT lein khud ko to marnaa chaahte hain nikal ke dekh zaraa hujra-e-taghaaful se tiri gali se musaafir guzarnaa chaahte hain jinhein kisi ki nigaahon ne baandh rakkhaa thaa ab us tilism ke lamhe bikharnaa chaahte hain bhaTak rahe hain in aankhon ke shahr mein kab se saraa-e-khvaab mein ik din Thaharnaa chaahte hain"
Salim SaleemSalim Saleem
Quote
"daalaan mein kabhi kabhi chhat par khaDaa huun main saayon ke intizaar mein shab bhar khaDaa huun main kyaa ho gayaa ki baiTh gai khaak bhi miri kyaa baat hai ki apne hi uupar khaDaa huun main phailaa huaa hai saamne sahraa-e-be-kanaar aankhon mein apni le ke samundar khaDaa huun main sannaaTaa mere chaaron taraf hai bichhaa huaa bas dil ki dhaDkanon ko pakaD kar khaDaa huun main soyaa huaa hai mujh mein koi shakhs aaj raat lagtaa hai apne jism se baahar khaDaa huun main ik haath mein hai aaina-e-zaat-o-kaaenaat ik haath mein liye hue patthar khaDaa huun main"
Salim SaleemSalim Saleem
Quote
"kanaar-e-aab tire pairahan badalne kaa miri nigaah mein manzar hai shaam Dhalne kaa ye kaisi aag hai mujh mein ki ek muddat se tamaasha dekh rahaa huun main apne jalne kaa sunaa hai ghar pe miraa muntazir nahin koi so ab ke baar main hargiz nahin sambhalne kaa khud apni zaat pe markuz ho gayaa huun main ki hausla hi nahin tere saath chalne kaa ab aa gae ho to phir umr bhar yahin Thahro badan se koi bhi rasta nahin nikalne kaa 'salim' sham-e-vajud aa gai hai bujhne par bas intizaar karo mom ke pighalne kaa"
Salim SaleemSalim Saleem