Quote
"kahte ho ab mire mazlum pe bedaad na ho sitam-ijaad ho phir kyuun sitam ijaad na ho nahin paimaan-e-vafaa tum ne nahin baandhaa thaa vo fasaana hi ghalat hai jo tumhein yaad na ho tum ne dil ko mire kuchh aisaa kiyaa hai naashaad shaad karnaa bhi jo ab chaaho to ye shaad na ho jo giraftaar tumhaaraa hai vahi hai aazaad jis ko aazaad karo tum kabhi aazaad na ho meraa maqsad ki vo khush hon miri khaamoshi se un ko andesha ki ye bhi koi fariyaad na ho main na bhulun gham-e-ishq kaa ehsaan 'vahshat' un ko paimaan-e-mohabbat jo nahin yaad na ho"







