Quote
"gard jam jaae to shisha nahin dekhaa jaataa yaani tasvir ko dhundlaa nahin dekhaa jaataa tishnagi aa tujhe dariyaa ke havaale kar duun tujh ko is haal mein pyaasaa nahin dekhaa jaataa tum miraa naam-o-nasab puchh rahe ho sab se ishq ho jaae to shajara nahin dekhaa jaataa lauT aane ki tasalli tiri jhuTi hi sahi ab to muD-muD ke yuun rasta nahin dekhaa jaataa sher achchhe jo bure lagte hain duniyaa ko mire ho ghazal mein tiraa charchaa nahin dekhaa jaataa log milte hain bichhaDte hain magar kyon mujh se yuun tiraa chhoD ke jaanaa nahin dekhaa jaataa izz-o-tauqir kaa ye haal hasad mein ham se qad kisi kaa bhi ho unchaa nahin dekhaa jaataa"







