SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAkhtar Usman(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"abhi to par bhi nahin taultaa uDaan ko main bilaa-javaaz khaTaktaa huun aasmaan ko main mufaahamat na sikhaa dushmanon se ai saalaar tiri taraf na kahin moD duun kamaan ko main miri talab ki koi chiiz shash-jihat mein nahin hazaar chhaan chukaa huun tiri dukaan ko main nahin qubul mujhe koi bhi nai hijrat kaTaaun kyuun kisi balve mein khaandaan ko main tujhe nakhil-e-falak se paTakh na duun aakhir tire samet giraa hi na duun machaan ko main ye kaaenaat mire saamne hai misl-e-bisaat kahin junun mein ulaT duun na is jahaan ko main jise pahunch nahin saktaa falaasfa kaa shuur yaqin ke saath milaataa huun us gumaan ko main"
Akhtar UsmanAkhtar Usman
Quote
"ik ranj ba-pairaaya-e-zar kyon nahin jaataa kashkol-e-havas hai to ye bhar kyon nahin jaataa vo aaina-ru hai to miraa ruup dikhaae main us ke muqaabil huun sanvar kyon nahin jaataa dariyaa kaa talaatum to bahut din ki kathaa hai lekin mire andar kaa bhanvar kyon nahin jaataa kahte ho ki ho usva-e-shabbir pe qaaem darbaar mein kyon jaate ho sar kyon nahin jaataa jab ruuh se kahte ho ki labbaik husainaa phir ji se yazidon kaa ye Dar kyon nahin jaataa tum saahib-e-maanaa ho to timsaal pe mat jaao ilzaam kabhi aaine par kyon nahin jaataa lo shaam gai raat hai kaabus hai main huun main subh kaa bhulaa huun to ghar kyon nahin jaataa har sang-e-duaa mujh ko lagaa phuul se baDh kar jab itni duaaein hain to mar kyon nahin jaataa 'akhtar' tiri guftaar-e-fusun-kaar mein kyaa hai jo bhi idhar aataa hai udhar kyon nahin jaataa"
Akhtar UsmanAkhtar Usman