SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAradhana Prasad(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"mere hamdam mujhe meri khushi aur gham se kyaa matlab tu aisaa tiir hai jis ko kisi marham se kyaa matlab dikhaataa hai mujhe tu is liye ye sab ki tasvirein mujhe bas tujh se matlab hai kisi album se kyaa matlab bikharte hain jo raaton ko hare patton pe kuchh moti uDaati hai sahar un ko use shabnam se kyaa matlab tumhaare chaahne vaale hain laakhon log duniyaa mein tumhein bas un se matlab hai tumhein ab ham se kyaa matlab mujhe kyaa farq paDtaa hai december biit jaane se udaasi meri fitrat hai ise mausam se kyaa matlab"
Aradhana PrasadAradhana Prasad
Quote
"khilte khilte gul murjhaanaa main bhi dekhun tu bhi dekh hanste hanste aansu aana main bhi dekhun tu bhi dekh mauqa bhi hai fursat bhi hai aur gulon par rangat bhi mausam kaa andaaz suhaanaa main bhi dekhun tu bhi dekh kis ne ye zulfein kholi hain bhigaa bhigaa mausam hai baadal kaa ye aag lagaanaa main bhi dekhun tu bhi dekh sunte hain ye baagh-e-khushi hai duur yahaan gham hotaa hai is ko kahte hain mai-khaana main bhi dekhun tu bhi dekh duur gham-e-duniyaa se rah kar pyaar ke naghme ham gaaein nazmon kaa dil par chhaa jaanaa main bhi dekhun tu bhi dekh andar andar main bikhri huun baahar baahar tu bikhraa ulfat kaa aisaa nazraana main bhi dekhun tu bhi dekh"
Aradhana PrasadAradhana Prasad
Quote
"aaj ki taarikh mein insaan mukammal kaun hai ye pata kaise chale ki kis kaa maqtal kaun hai paas hi rahtaa vo har dam sehr ho yaa ho nashaa khushbu jaisaa hai havaaon mein musalsal kaun hai saadgi ki apsaraa vo yaa hai koi saahiri hai ghazal yaa hai vo sandal shokh chanchal kaun hai us chhalakte se samundar mein nasha hai aaj tak jhuum kar barsaa hai paagal uf ye baadal kaun hai bhaai bhaai laD rahe hain is siyaasi khel mein saaf likkhaa hai ye quraan mein ki afzal kaun hai be-khabar hain panchhi nadiyaan sarhadon ki rok se be-sabab hi mulk mein kartaa ye danggal kaun hai jugnuon ko jalte dekhaa to samajh aayaa mujhe kaisaa sannaaTaa hai jangal kartaa mangal kaun hai"
Aradhana PrasadAradhana Prasad
Quote
"kisi parinde ne uDne kaa man banaayaa hai vo koi aur nahin meraa hi to saaya hai zamin ki muTThi mein jaise ho aasmaan koi ghazab kaa reshmi ehsaas koi laayaa hai gulon mein shokh gulaabi tumhin ne rang bhare chale bhi aao ke gulshan ne ab bulaayaa hai ye meraa gaanv har ik roz yuun damakne lagaa ke jugnuon ne yahaan aashiyaan banaayaa hai nae se khvaab churaa luun hasin lamhon se yuun shabnami si kisi raat ne sulaayaa hai bharaa bharaa saa hi rahtaa hai ye miraa man ab mizaaj vaqt ne tujh se ye khuub paaya hai milo kabhi bhi jo fursat mein to ye puchheinge yuun mere chaand ko mujh se hi kyuun churaayaa hai"
Aradhana PrasadAradhana Prasad