SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kisht-e-ehsaas mein thoDaa saa milaa leinge tujhe phir nai paud ki surat mein ugaa leinge tujhe kyaa khabar kaam kaa lamha koi haath aa jaae kaasa-e-vaqt kisi roz khangaaleinge tujhe ik faqat teri tavajjoh se tire pyaar talak rafta rafta hi sahi apnaa banaa leinge tujhe sarhad-e-vaqt ke us paar tu jaane de mujhe ai gham-e-yaar! vahaan par bhi bulaa leinge tujhe na machaa shor umanDte hue dariyaa mere varna ifrit samundar ke ye khaa leinge tujhe zindagi ham se tiri aankh-micholi kab tak ik na ik roz kisi moD pe aa leinge tujhe kaam aa hi gai 'saarim' tiri aashufta-sari qaafile ishq ke ab raah-numaa leinge tujhe"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"pyaas har zarra-e-sahraa ki bujhaai gai hai tab kahin jaa ke miri aabla-paai gai hai qaid mein rakkhi gai hai kahin titli koi koi khushbu kahin baazaar mein laai gai hai kyaa bhalaa apni samaaat mein ghule koi miThaas vaqt ke honTon se kab talkh-navaai gai hai kis ki tanvir se jal uTThe basirat ke charaagh kis ki tasvir ye aankhon se lagaai gai hai ho gai jaa ke shafaq-rangi-e-aafaaq mein zam kaf-e-doshiza-e-dil se jo hinaai gai hai uTh ai barbaad-e-tamannaa ki nai khvaab--kaniz haram-e-chashm mein phir raqs ko laai gai hai vaqt aisaa bhi to aayaa hai junun par 'saarim' nok-e-mizhgaan se talvaar uThaai gai hai"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"iztiraab aisaa huaa dil kaa sahaaraa mujh ko koi Thahraav nahin khud mein gavaaraa mujh ko sar uThaati hai vo tajdid ki khvaahish mujh mein naqsh-gar sochne lagtaa hai dobaara mujh ko main tahi-dast khaDaa thaa sar-e-sahraa-e-hayaat aarzu ne tiri yak-lakht pukaaraa mujh ko jaa pahunchnaa kisi rifat ko nahin hai dushvaar haan! Thaharne kaa vahaan chaahiye yaaraa mujh ko dekh ai meri zabun-haali pe hansne vaale vaqt ki dhuup ne kis darja nikhaaraa mujh ko ek kankar saa mozaahim mein rahungaa kab tak le hi jaaegaa bahaa kar koi dhaaraa mujh ko vaqt ne jaane banaanaa hai mujhe kyaa 'saarim' gardish-e-chaak se ab tak na utaaraa mujh ko"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"juDe hue hain pari-khaane mere kaaghaz se jo uTh rahe hain ye afsaane mere kaaghaz se katartaa rahtaa hai miqraaz-e-chashm se mujh ko banaanaa kyaa hai use jaane mere kaaghaz se qalam ne nok-e-alam kyaa rakhi ba-chashm-e-dil chhalakne lag gae paimaane mere kaaghaz se raqam karun bhi to kaise main daastaan-e-vafaa huruf phirte hain begaane mere kaaghaz se abhi rakhi bhi nahin lau charaagh par main ne lipaT gae kai parvaane mere kaaghaz se kudaal-e-khaama se botaa huun main junun 'saarim' so ugte rahte hain divaane mere kaaghaz se"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"do-chaar sitaare hi miri aankh mein dhar jaa kuchh der to ai saaat-e-shab mujh mein Thahar jaa ab aur sambhaali nahin jaati tiri hurmat yuun kar gham-e-jaanaan meri nazron se utar jaa taa-umr tiraa naqsh-e-farozaan rahe mujh mein ik zakhm ki surat mire maathe pe ubhar jaa chhoD aanaa vahin par zaraa aavaara-mizaaji sahraa ki taraf ai dil-e-naadaan agar jaa yaa ho jaa tu dariyaa ki nigaahon mein taraazu yaa tishna-labi saath liye jaan se guzar jaa jab zehn ko sunni hi nahin baat tumhaari dil tu bhi rusumaat-e-tafahum se mukar jaa"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"kyaa kahun kitni aziyyat se nikaali gai shab haan yahi shab ye miri hijr banaa li gai shab pahle zulmat kaa parastaar banaayaa gayaa main aur phir meri nigaahon se uThaa li gai shab raat bhar fath vo karti rahi ujiyaaron ko subh-dam apne andheron se bhi khaali gai shab taa sadaa mujh mein rahein chaand sitaare raushan meri miTTi mein tabi'at se milaa li gai shab khatm hotaa hi nahin silsila tanhaai kaa jaane kis darja masaafat mein hai Dhaali gai shab fasl maqsud thi 'saarim' hamein suraj ki jahaan haif hai un hi zaminon pe ugaa li gai shab"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"nit-nae naqsh se baatin ko sajaataa huaa main apne zaahir ke khad-o-khaal miTaataa huaa main lahza lahza ye fidaa hoti hui mujh pe hayaat aur har aan nazar us se churaataa huaa main jaane kis rut mein khileinge yahaan taabir ke phuul sochtaa rahtaa huun ab khvaab ugaataa huaa main har ghaDi baDhti hui tishna-labi ishq tiri! dil ke riste hue zakhmon se bujhaataa huaa main roz hotaa huaa mujh mein kisi khvaahish kaa janam roz hi qabr nai khud mein banaataa huaa main rahrav-e-shauq! karo yuun! mire pichhe aao aao chaltaa huun tumhein raah dikhaataa huaa main ab kahaan vaise hain idraak ke lamhaat nasib yaad mein kho ke tiri khud ko vo paataa huaa main aaj bhi yaad hain 'saarim' ko manaazir saare har adaa par vo tiri jaan se jaataa huaa main"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"dikhaati hai jo ye duniyaa vo baiThaa dekhtaa huun main hai tuf mujh par tamaasha-bin ho kar rah gayaa huun main bas itnaa rabt kaafi hai mujhe ai bhulne vaale tiri soi hui aankhon mein aksar jaagtaa huun main na kyuun hogi miri baar-aavri phir dekhne laaeq mohabbat ki mahakti khaak mein boyaa gayaa huun main miri aabaadiyon mein chaar-su bikhraa hai sannaaTaa hisaar-e-khauf se chaaron taraf baandhaa gayaa huun main rulaati hain miri yaadein hamesha khuun ke aansu kisi naadaar pe guzraa huaa ik haadsa huun main musalsal hi baDhaai hain kisi ki dhaDkanein main ne musalsal hi kisi ke zehn se sochaa gayaa huun main viraasat huun main ik Dhalti hui tahzib ki 'saarim' kahin khoyaa gayaa huun main kahin paayaa gayaa huun main"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"kyaa kahun kitnaa fuzun hai tere divaane kaa dukh ik taraf jaane kaa gham hai ik taraf aane kaa dukh hai ajab be-rangi-e-ahvaal mujh mein maujzan ne hi jiine ki talab hai ne hi mar jaane kaa dukh toD Daalaa thaa sabhi ko dard ke aazaar ne sah na paayaa thaa koi kirdaar afsaane kaa dukh khuun ro uThti hain sab aankhein nigaar-e-subh ki baanTti hai shab kabhi jo aaina-khaane kaa dukh shama bhi to ho rahi hoti hai har pal raaegaan kyuun faqat ham ko nazar aataa hai parvaane kaa dukh sar paTakti thiin musalsal mauj-haa-e-tishnagi honT ke saahil pe khema-zan thaa paimaane kaa dukh loTtaa hai jab bhi siine par shanaasaai kaa saanp lahr uThtaa hai badan mein ek anjaane kaa dukh vaar detaa huun main 'saarim' apni sab aabaadiyaan mujh se dekhaa hi nahin jaataa hai viraane kaa dukh"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"kahaan kahaan se sunaaun tumhein fasaana-e-shab tavil guzraa hai mujh par bahut zamaana-e-shab mahak rahaa hai hamin se harim-e-gulshan-e-roz hamin se nur-fazaa hai nigaar-khaana-e-shab huaa hai hukm ye min-jaanib-e-shah-e-zulmaat hudud-e-shahr-e-siyah chhoD de divaan-e-shab khamosh hote hain din ke tamaam-tar sikke khanaktaa rahtaa hai kashkol-e-dil mein aana-e-shab har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab tamaam yaadein to aa baiThti hain shaam-Dhale udaas rahtaa hai phir kis liye sirhaana-e-shab umiid khaak rakhi jaae ab ujaalon ki charaagh aundhe paDe hain ba-aastaana-e-shab halaal rizq mayassar ho kyaa unhein 'saarim' ki jin parindon ko chugnaa hai sirf daana-e-shab"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"be-amaan huun in dinon main dar-ba-dar phirtaa huun main main mavaddat huun vafaa huun khair kaa jazba huun main dil ki maujon mein bapaa kar ke talaatum-khezyaan apne andar ki zaminein kaaTtaa rahtaa huun main khel hai sarkash havaaon ke liye meraa vajud kam-tanaabi jis ki qismat hai vo ik khema huun main hai mukammal vaqt ke suraj pe meraa inhisaar zindagi ke paanv se lipTaa huaa saaya huun main aisi hi be-chehragi chhaai hui hai shahr mein aap-apnaa aks huun main aap aaina huun main kab milegi mujh ko 'saarim' is aziyyat se najaat zehn-o-dil ki kashmakash mein raat din uljhaa huun main"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"ye khaaki pairahan ik ism ki bandish mein rahtaa hai zamaana har ghaDi varna nai saazish mein rahtaa hai isi baais main apnaa nisf rakhtaa huun andhere mein mire atraaf bhi suraj koi gardish mein rahtaa hai main ik parkaar saa sayyaar bhi huun aur saabit bhi jahaan saaraa mire qadmon ki paimaaish mein rahtaa hai miri aankhon mein ab hai maujzan bas ret vahshat ki samundar ab kahaan palkon ki har jumbish mein rahtaa hai supurd-e-aab yuun hi to nahin kartaa huun khaak apni ajab miTTi ke ghulne kaa mazaa baarish mein rahtaa hai tasallut hai kisi kaa jab se apni zaat par 'saarim' hamaaraa dil bahut aaraam-o-aasaaish mein rahtaa hai"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim