SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAshhad Bilal Ibn(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"dil maantaa nahin hai manaane ke baad bhi kartaa hai un ko yaad bhulaane ke baad bhi paimaan ki nazr ho gae chain o sukun, qaraar lekin nibhaa nahin hai nibhaane ke baad bhi ik lafz yaad thaa mujhe tark-e-vafaa magar bhulaa huaa huun Thokarein khaane ke baad bhi taskin-e-dil nasib nahin hai to kyaa huaa honaa yahi hai pyaar jataane ke baad bhi bujhti nahin hai tishnagi didaar-e-yaar ki nazron se un ke laakh pilaane ke baad bhi ab bhi hai ham ko ahl-e-chaman bas unhin se pyaar is dil ko baar baar dukhaane ke baad bhi"
Ashhad Bilal IbnAshhad Bilal Ibn
Quote
"ham ne dekhaa hai itne khanDar khvaab mein ab to lagtaa nahin ham ko Dar khvaab mein apni barson se hai ik vahi aarzu roz aa jaae hai jo nazar khvaab mein vaqt aane pe sab ko ghashi aa gai jo bataate the khud ko niDar khvaab mein zulm ki aandhiyaan baDh ke tufaan huiin mast duniyaa hai par raat bhar khvaab mein ishq ki ye masaafat bhi kyaa khuub hai chaand taare hue rahguzar khvaab mein un se hotaa hai har raat ahd-e-vafaa aur nibhaate hain ham beshtar khvaab mein roz o shab kho gae hain na jaane kahaan ab to hoti hai shaam o sahar khvaab mein jo bahut mo'tabar aa rahe hain nazar un ke hote hain kaar-e-digar khvaab mein zindagi ki haqiqat ajab ho gai aaj kal ho rahi hai basar khvaab mein"
Ashhad Bilal IbnAshhad Bilal Ibn
Quote
"tir-e-nazar ne aap ki ghaail kiyaa mujhe phir shauq-e-intizaar ne paagal kyaa mujhe aisi chali havaa-e-gulistaan miri taraf chhu kar bu-e-gulaab ne sandal kyaa mujhe beTon ne mere naam ki dastaar pahn li aur beTiyon ne surat-e-aanchal kyaa mujhe baDhne lagi hai dil ki tamannaa-e-aashiqi yuun aa ke teri yaad ne bekal kyaa mujhe hosh-o-havaas khone lagaa huun firaaq mein tanhaaiyon ne aisaa muqaffal kyaa mujhe pahle to aazmaayaa ataa-e-bahisht se phir bhej kar jahaan mein afzal kyaa mujhe har shakhs mo'tarif ki muhibb-e-vatan huun main phir 'adliya ne kyuun sar-e-maqtal kyaa mujhe ibn-e-chaman hai teri vafaaon pe jaan-nisaar apnaa banaa ke tu ne mukammal kyaa mujhe"
Ashhad Bilal IbnAshhad Bilal Ibn
Quote
"aa jaao ab to zulf pareshaan kiye hue ham raah par hain shama farozaan kiye hue maayus qalb hai tiri aamad kaa muntazir dahliz par nigaah ko chaspaan kiye hue ahd-e-vafaa ko toD ke ham bhi hain muzmahil tum bhi udhar ho chaak garebaan kiye hue aao to mere sahn mein ho jaae raushni muddat guzar gai hai charaaghaan kiye hue baiThe hain tishna-kaam sar-e-rahguzar tamaam saaqi tiri sharaab kaa armaan kiye hue aa jaao ki bahaar hai apne shabaab par 'ibn-e-chaman' ke vasl kaa saamaan kiye hue"
Ashhad Bilal IbnAshhad Bilal Ibn
Quote
"vo meraa hai to kabhi bhi na aazmaaun use miraa nahin hai to phir kis liye sataaun use vo maahtaab se baDh kar ke ho gayaa suraj jo khud bhi aae to kaise gale lagaaun use main chaahtaa huun miraa pyaar us se aisaa ho vo ruThtaa rahe main baar-haa manaaun use tamaam din ki mashaqqat-bhari takaan ke baad tamaam raat mohabbat se phir jagaaun use miraa habib mire ishq mein khilaunaa ho vo TuuT jaae to phir joD kar banaaun use huaa kare miraa us se muqaabla yuun bhi usi se jiit ke us ko hi haar jaaun use vo jaantaa hai mire har savaal kaa matlab agar javaab bhi de de to maan jaaun use yahi duaa hai miri rabb-e-do-jahaan se 'bilaal' kisi se ahd karun gar to phir nibhaaun use"
Ashhad Bilal IbnAshhad Bilal Ibn
Quote
"zakhm-e-furqat ko tiri yaad ne bharne na diyaa gham-e-tanhaai magar rukh pe ubharne na diyaa aaj bhi naqsh hain dil par tiri aahaT ke nishaan ham ne us raah se auron ko guzarne na diyaa tu ne jis roz se chhoDaa ise khaali rakkhaa main ne khushiyon ko bhi is dil mein Thaharne na diyaa rabt jo tujh se banaayaa so banaae rakkhaa tu hi kyaa teraa tasavvur bhi bikharne na diyaa zabt itnaa ki charaaghon se hue mahv-e-kalaam yaad itni ki tujhe dil se utarne na diyaa aaine toD diye jo bhi nazar se guzre kisi mah-ru ko tire baad sanvarne na diyaa"
Ashhad Bilal IbnAshhad Bilal Ibn