SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"be-taalluq saare rishte kaun kis kaa aashnaa saath saae ki tarah sab aur sab naa-aashnaa karb jaari hai bajaae khuun ragon mein saahibo kaun hai ham saa jahaan mein gham se itnaa aashnaa haan hamaari nibh to sakti thi magar kaise nibhe apni khuddaari mein ham aur vo vafaa naa-aashnaa ek ik kaa munh takein begaanagi ke shahr mein ab kahein kyaa kis se ham ab kaun apnaa aashnaa niiv baiThi jaa rahi hai saari divaarein gaiin ghar kaa baasi ghar ki haalat se nahin kyaa aashnaa jo na karnaa thaa karaayaa aur naadim bhi nahin ai dil-e-naadaan kisi kaa ho na tujh saa aashnaa ajnabi ik dusre se baat kyaa karte nahin ik zaraa se saath mein kyaa aashnaa naa-aashnaa khum ba khum chhalke tiri sahbaa nasha qaaim rahe lazzat-e-zahraab gham se kab huaa thaa aashnaa paara-e-simaab bhi 'bilqis' Thahraa hai kahin vo talavvun-kesh kis kaa dost kis kaa aashnaa"
Bilqis Zafirul HasanBilqis Zafirul Hasan
Quote
"jiinaa hai khuub auron ki khaatir jiyaa karo ik-aadh saans khud bhi to lete rahaa karo kyaa harj hai jo dil ki bhi sun lo kabhi kabhi yuun apne aap se na hamesha laDaa karo ye baar-e-zist jhelte rahnaa hai umr-bhar apni thakan pe Tik ke kabhi so liyaa karo hai bas-ki khaak uDaane ki aavaargi ko kho rakht-e-safar mein ghar ko bhi baandhe phiraa karo afi bhi so rahe hain chameli ki chhaanv mein nau-vaarid-e-chaman ho sambhal kar chalaa karo kitnaa kahaa thaa tum se ki mat khelo aag se ab jo sulag paDi hai to chupke jalaa karo"
Bilqis Zafirul HasanBilqis Zafirul Hasan
Quote
"divaar-o-dar mein simTaa ik lams kaanptaa hai bhule se koi dastak de kar chalaa gayaa hai sabr o shakeb baaqi taab o tavaan salaamat dil misl-e-ud jal jal khushbu bikhertaa hai ham khaak ho chuke the apni hi hiddaton mein miTTi hai raakh phir se paikar nayaa banaa hai ik zakhm zakhm chehra TukDon mein haath aayaa aur ham samajh rahe the aaina juD gayaa hai sahraa-e-nim-shab mein be-aas reton par din bhar ke kusht o khuun kaa maaraa taDap rahaa hai dahshat-zada zamin par vahshat bhare makaan ye is shahr-e-be-amaan kaa aakhir koi khudaa hai mil jaae aablon ko daad-e-musaafirat ab ab dard-e-be-navaai kuchh had se bhi sivaa hai ham par to khul chukaa bhi dar band har balaa kaa kyaa jaaniye ajal ko ab intizaar kyaa hai gul-chiniyon kaa ham se 'bilqis' haal puchho angusht-e-aarzu mein kaanTaa utar gayaa hai"
Bilqis Zafirul HasanBilqis Zafirul Hasan
Quote
"aisaa hone nahin detaa thaa magar hone ko hai zindagi ab to na jiine mein basar hone ko hai par jo kaaTe gae jaa phaile havaaon mein tamaam apni parvaaz ba-andaaz-e-digar hone ko hai vahshat-e-dil tujhe le kar main kahaan jaaun bataa rahte rahte to ye viraana bhi ghar hone ko hai dil se phir khel rahi hain vahi ziddi yaadein zarra zarra miraa phir zer-o-zabar hone ko hai shama ki lau ki tarah jaan Dhali jaati hai aaj shaayad apni shab-e-gham ki bhi sahar hone ko hai surakh-ru khun-e-jigar se hi huaa karte hain log kyaa hai 'bilqis' agar jaan kaa zarar hone ko hai"
Bilqis Zafirul HasanBilqis Zafirul Hasan
Quote
"paabandiyon se apni nikalte vo paa na the sab raaste khule the magar ham pe vaa na the ye aur baat shauq se ham ko sunaa gayaa phir bhi vahi sunaayaa sunaa ik fasaana the ik aag-saaebaan thaa sar par tanaa huaa pal pal zamin sarakti thi aur ham ravaana the dariyaa mein rah ke koi na bhige to kis tarah ham be-niyaaz teri tarah ai khudaa na the hargiz gila nahin hai ki tu mehrbaan na thaa kab ham bhi apne aap se behad khafaa na the kyuun sabr-aashnaa na huaa naa-muraad dil tere karam ke haath to yuun be-ataa na the vo aur ham se puchhe ki 'bilqis' kuchh to kah kam-bakht ham ki hosh hi apne bajaa na the"
Bilqis Zafirul HasanBilqis Zafirul Hasan
Quote
"badan pe zakhm sajaae lahu labaada kiyaa har ek sang se yuun ham ne istifaada kiyaa hai yuun ki kuchh to baghaavat-sirisht ham bhi hain sitam bhi us ne zarurat se kuchh ziyaada kiyaa hamein to maut bhi de koi kab gavaaraa thaa ye apnaa qatl to bil-qasd bil-iraada kiyaa bas ek jaan bachi thi chhiDak di raahon par dil-e-gharib ne ik ehtimaam saada kiyaa jo jis jagah ke thaa qaabil use vahin rakkhaa na ziyaada kam kiyaa ham ne na kam ziyaada kiyaa bachaa liyaa hai jo sar apnaa sakht naadim hain magar ye apnaa tahaffuz to be-iraada kiyaa na lauTne kaa hai rasta na Thaharne ki hai jaa kidhar kaa aaj junun ne mire iraada kiyaa"
Bilqis Zafirul HasanBilqis Zafirul Hasan
Quote
"miri hatheli mein likkhaa huaa dikhaai de vo shakhs mujh ko ba-rang-e-hinaa dikhaai de use jo dekhun to apnaa suraagh paaun main isi ke naam mein apnaa pataa dikhaai de ravish pe jalein us ki aahaTon se charaagh ajab khiraam hai aavaaz-e-paa dikhaai de jo mehrbaan hai to kyaa mehrbaan khafaa to khafaa kabhi kabhi to vo bilkul khudaa dikhaai de samaan samaan hai dhundalkaa dhuaan dhuaan manzar jidhar bhi dekhun bas ik khvaab saa dikhaai de junun ne bakhsh diin nazron ko vusatein kyaa kyaa ki zarre zarre mein sahraa bichhaa dikhaai de na meri tarah koi dekh le use 'bilqis' main kyuun bataaun mujhe us mein kyaa dikhaai de"
Bilqis Zafirul HasanBilqis Zafirul Hasan
Quote
"koi aahaT koi sargoshi sadaa kuchh bhi nahin ghar mein ik behis khamoshi ke sivaa kuchh bhi nahin naam ik naayaab saa likkhaa thaa vo bhi miT gayaa ab hatheli par lakiron ke sivaa kuchh bhi nahin be-chhue ik lams kaa ehsaas ik khaamosh baat us ke mere biich aakhir thaa bhi kyaa kuchh bhi nahin dosti kaisi vafaa kaisi takalluf bartaraf aap kuchh bhi hon magar kyaa dusraa kuchh bhi nahin dekhnaa ye hai ki milne kis se pahle kaun aae mere ghar se us ke ghar kaa faasla kuchh bhi nahin"
Bilqis Zafirul HasanBilqis Zafirul Hasan
Quote
"kab ik maqaam pe rukti hai sar-phiri hai havaa tamaam shahr o bayaabaan ko chhaanti hai havaa nasib-e-paa-e-junun hai sadaa ki dar-badri havaa-e-jaada-o-manzil mein kab chali hai havaa ye pech-o-taab hai kaisaa sabab nahin khultaa banaa banaa ke bagule bigaaDti hai havaa sivaae khaak na kuchh haath aaj tak aayaa saraab ret se sahraa mein chhaanti hai havaa ghazab kaa ghaiz o ghazab thaa jo ham na bikhre the bikhar gae hain to kaisi Dari khaDi hai havaa ukhaaD toD ke basti ke sab makaanon ko chhipi khanDar mein pashimaan ro rahi hai havaa vo ek baat jo khud se bhi ham na kahte the zabaan zabaan pe vahi baat dhar gai hai havaa tamaam laala o gul ke charaagh raushan hain shajar shajar pe shagufon mein jal rahi hai havaa kab apnaa haath pahunchtaa gulaab tak 'bilqis' mire nasib se shaakhon mein jaa phansi hai havaa"
Bilqis Zafirul HasanBilqis Zafirul Hasan
Quote
"daamaan-e-aarzu ke kinaare sameTte miltaa hai kab kisi ko vo sab kuchh jo chaahiye hote hain kuchh sharar bhi chhupe raakh mein kahin hai dekhne mein sard sambhal kar kurediye sab raushni ke phuul to khilte hi bujh gae kaDvaa dhuaan ab aankhon se ro ro nikaaliye mushkil-pasand apni tabiat hai kyaa karein chun chun ke khaar raahon mein khud ham ne dhar diye miltaa hai sard-rui se mah tund-khu hai mehr apne liye kiran koi ab kis se maangiye hasrat se su-e-dar ye take jaanaa taa bike an-thak ke chor aankhon ko ab sone dijiye qindil mein shagufon ke jalne lagi havaa raushan hain shaakh shaakh pe khushbu bhare diye haan mil liye the us se kahin ittifaaq se duniyaa ne kaise kaise fasaane banaa liye 'bilqis' liije hosh ke naakhun bahut huaa jazbaat ko shuur ki had de ke rokiye"
Bilqis Zafirul HasanBilqis Zafirul Hasan
Quote
"hamaari jaagti aankhon mein khvaab saa kyaa thaa ghaneri shab mein ugaa aaftaab saa kyaa thaa kahin hui to thi halchal kahin pe gahre mein bigaD bigaD ke vo bantaa habaab saa kyaa thaa tamaam jism mein hoti hain larzishein kyaa kyaa savaad-e-jaan mein ye bajtaa rabaab saa kyaa thaa hamaari pyaas pe barsaa andhere ujyaale vo kuchh ghaTaaon saa kuchh maahtaab saa kyaa thaa zaraa si der bhi ruktaa to kuchh pataa chaltaa vo rang thaa ki thi khushbu sahaab saa kyaa thaa ye tishnagi kaa safar kaT gayaa hai jis ke tufail vo dasht dasht chhalaktaa saraab saa kyaa thaa tamaam 'umr khapaayaa hai jis mein sar 'bilqis' bhalaa vo be-sar-o-paa si kitaab saa kyaa thaa"
Bilqis Zafirul HasanBilqis Zafirul Hasan
Quote
"zakhm ko phuul kahein nauhe ko naghma samjhein itne saada bhi nahin ham ki na itnaa samjhein zakhm kaa apne mudaavaa kise manzur nahin haan magar kyuun kisi qaatil ko masihaa samjhein shoabada-baazi kisi ki na chalegi ham par tanz o dushnaam ko kahte ho latifa samjhein khud pe ye zulm gavaaraa nahin hogaa ham se ham to shoalon se na guzreinge na siitaa samjhein chhoDiye pairon mein kyaa lakDiyaan baandhe phirnaa apne qad se miraa qad shauq se chhoTaa samjhein koi achchhaa hai to achchhaa hi kaheinge ham bhi log bhi kyaa hain zaraa dekhiye kyaa kyaa samjhein ham to begaane se khud ko bhi mile hain 'bilqis' kis tavaqqo pe kisi shakhs ko apnaa samjhein"
Bilqis Zafirul HasanBilqis Zafirul Hasan
Quote
"apni to koi baat banaae nahin bani kuchh ham na kah sake to kuchh us ne nahin suni yuun to chahaar samt hai apne hisaar-e-shab ham tirgi ko chhed ke laate hain raushni naadida manzaron se taraashe hain khvaab zaar kab dar-khur-e-nigah koi manzar hai didani ochhaa thaa vaar us kaa magar ham na bach sake kis zahr mein bujhaai thi us shakhs ne ani har-dil-aziz vo bhi hai ham bhi hain khush-mizaaj ab kyaa bataaein kaise hamaari nahin bani auron ki tarah ham bhi magar jhel jaaeinge sab zindagi samajhte hain jis ko vo jaan-kani 'bilqis' apni baat to sab se alag rahi naa-guftani suni hai kahi naa-shunidani"
Bilqis Zafirul HasanBilqis Zafirul Hasan
Quote
"fusun-zada hain havaaein manzar tamaam mashur chup paDe hain siyaah nairang nim-shab kaa sitaare jhuk jhuk ke dekhte hain sahar ki lau mein jalaa rahi hai sabaa kanval rang-o-bu mein tar hain darakht saare sajaae moti ki thaaliyaan saf-ba-saf khaDe hain hazaar raatein guzar gaiin ik hamaare hi gham ki shab na guzri ujaale khaaif siyah-kade se badal ke rasta nikal rahe hain dhaDakte dil jaisi saaaton vaale roz-o-shab ab kahaan se laaein gire hue khushk mausamon mein na jaane kab ke vo kho chuke hain is ek hi zindagi mein kitne janam liye baar baar ham ne aur ab ye roz jaan de de ke kyuun jiye baiThe sochte hain haqiqatein yuun nahin badaltin ba-khubi maalum hai hamein bhi faraar hone ko khud se kuchh khvaab-zaar phir bhi banaa liye hain khud apni khvaahish pe jaan dene kaa naam rakkhaa hai ishq-o-ulfat huaa havas mein ye khud-farebi ke jaal kyaa dil-nashin bune hain"
Bilqis Zafirul HasanBilqis Zafirul Hasan
Quote
"ek aalam hai ye hairaani kaa jiinaa kaisaa kuchh nahin hone ko hai apnaa ye honaa kaisaa khuun jamtaa saa rag-o-pai mein hue shal ehsaas dekhe jaati hai nazar haul tamaashaa kaisaa regzaaron mein saraabon ke sivaa kyaa miltaa ye to maalum thaa hai ab ye achambhaa kaisaa aable paanv ke sab phuuT bahe be-nishtar raas aayaa hamein in khaaron pe chalnaa kaisaa phir kabhi socheinge sach kyaa hai abhi to sun lein log kis kis ke liye kahte hain kaisaa kaisaa suui aankhon ki bhi main ne hi nikaali thi magar dekh ke bhi mujhe us ne nahin dekhaa kaisaa kitni saada thi hatheli miri rangin hui meri ungli mein utar aayaa hai kaanTaa kaisaa aaina dekhiye 'bilqis' yahi hain kyaa aap aap ne apnaa banaa rakkhaa hai huliya kaisaa"
Bilqis Zafirul HasanBilqis Zafirul Hasan
Quote
"shaam se ham taa sahar chalte rahe chuur the thak kar magar chalte rahe sang ho jaate jo muD kar dekhte ungliyaan kaanon mein dhar chalte rahe aasmaan thaa aag patthar thi zamin thi kahaan jaa-e-mafar chalte rahe roz Duube roz ubhre ham magar surat-e-shams o qamar chalte rahe sang-baari yuun to ham par bhi hui ham Dhake haathon se sar chalte rahe dar badar ki khaak thi taqdir mein ham liye kaandhon pe ghar chalte rahe ham bhi hain 'bilqis' majruhin mein ham pe bhi tiir o tabar chalte rahe"
Bilqis Zafirul HasanBilqis Zafirul Hasan
Quote
"kab ek rang mein duniyaa kaa haal Thahraa hai khushi ruki hai na koi malaal Thahraa hai taDap rahe hain paDe roz o shab mein uljhe log nafas nafas koi pechida jaal Thahraa hai khud apni fikr ugaati hai vahm ke kaanTe ulajh ulajh ke miraa har savaal Thahraa hai bas ik khanDar mire andar jiye hi jaataa hai ajiib haal hai maazi mein haal Thahraa hai kabhi nahin thaa na ab hai khayaal-e-sud-o-ziyaan vahi to hogaa jo apnaa maaal Thahraa hai us ek baat ko guzre zamaana biit gayaa magar dilon mein abhi tak malaal Thahraa hai junun ke saae mein ab ghar banaa liyaa dil ne chalo kahin to vo aavaara-haal Thahraa hai baDe kamaal kaa niklaa vo aadmi 'bilqis' ki be-hunar hai magar baa-kamaal Thahraa hai"
Bilqis Zafirul HasanBilqis Zafirul Hasan
Quote
"kis ne kahaa kisi kaa kahaa tum kiyaa karo lekin kahe koi to kabhi sun liyaa karo har aarzu fareb hai har justuju saraab machle jo dil bahut use samjhaa diyaa karo yuun chup rahaa kare se to ho jaae hai junun zakhm-e-nihaan kured ke kuchh ro liyaa karo haan shahr-e-aarzu thaa kabhi ye ujaaD ghar ab khanDaron se is ki kahaani sunaa karo is naa-shunidani se to behtar hai chup raho hai kyaa zarur sikhva-e-be-faaeda karo uTh kar chale gae to kabhi phir na aaeinge phir laakh tum bulaao sadaaein diyaa karo naale ubal rahe hon to rastaa bhi chaahiye 'bilqis' gaahe gaahe ghazal kah liyaa karo"
Bilqis Zafirul HasanBilqis Zafirul Hasan
Quote
"detaa thaa jo saayaa vo shajar kaaT rahaa hai khud apne tahaffuz ki vo jaD kaaT rahaa hai be-samt uDaanon se pashimaan parinda ab apni hi minqaar se par kaaT rahaa hai mahbus huun ghaaron mein magar aazar-e-takhil chaTTaanon mein ashkaal-e-hunar kaaT rahaa hai ik zarb-e-musalsal hai ki rukti hi nahin hai har taar-e-nafas dard-e-jigar kaaT rahaa hai hai kaun kamin-gaah mein ye kaise bataaun har tiir magar mere hi par kaaT rahaa hai ummid ujaale kaa liye tesha har ik dil har raat ba-andaaz-e-sahar kaaT rahaa hai kartaa hai fuzun vahshat-e-dil dasht kaa mausam 'bilqis' magar kyaa karun ghar kaaT rahaa hai"
Bilqis Zafirul HasanBilqis Zafirul Hasan
Quote
"kaanTe hon yaa phuul akele chunnaa hogaa ham jaisaa mohtaat hamesha tanhaa hogaa fikr o taraddud mein har dam kyaa ghulte rahnaa hogaa to bas vo hi jo kuchh honaa hogaa us se kyaa kahnaa hai pahle ye to tai ho phir socheinge kyaa anjaam hamaaraa hogaa jin mein kho kar ham khud ko bhi bhuul gae hain kyaa ham ko bhi un aankhon ne DhunDaa hogaa pathrili dharti hai ankur kyaa phuTeinge be-shak baadal TuuT ke in par barsaa hogaa teshe aur junun ki baatein bas baatein hain kaun bhalaa martaa hai kaun divaana hogaa meri tarah TuuTe aaine mein us ne bhi TukDe TukDe apne aap ko paayaa hogaa teri to 'bilqis' niraali hi baatein hain is duniyaa mein kaise tiraa guzaaraa hogaa"
Bilqis Zafirul HasanBilqis Zafirul Hasan
Quote
"zinda honaa aur na jiinaa tum hi kaho kyaa mumkin hai khud ko kar denaa an-dekhaa tum hi kaho kyaa mumkin hai aas ki lau aankhon mein jalaae laDti jaaun andheron se raat hai raat kaa ho na saveraa tum hi kaho kyaa mumkin hai tez havaa kaa ik jhonkaa sho'lon mein badal ke rakh degaa chingaari ko dabaae rakhnaa tum hi kaho kyaa mumkin hai jhuuT ke paanv nahin hote ik roz to pakaD jaaegaa sach ke haath kabhi nahin aanaa tum hi kaho kyaa mumkin hai kis kis ko chup koi kare hain jitne munh hain utni baatein aag lage aur dhuaan na uThnaa tum hi kaho kyaa mumkin hai mumkin hai khul kar na kahaa ho us se main ne magar 'bilqis' us jaise kaa kuchh na samajhnaa tum hi kaho kyaa mumkin hai"
Bilqis Zafirul HasanBilqis Zafirul Hasan
Quote
"nazar aataa hai vo jaisaa nahin hai jo kahte ho magar vaisaa nahin hai nahin hotaa hai kyaa kyaa is jahaan mein vahi jo chaahiye hotaa nahin hai bharaa hai shahr firaunon se apnaa koi hotaa jo ik muusaa nahin hai chalo ik aur koshish kar ke dekhein yunhi ghuT ghuT ke mar jaanaa nahin hai nahin hai khvaab divaane kaa hasti ye duniyaa sirf ik dhokaa nahin hai nihaayat talkh hai sangin sach hai haqiqat apni afsaana nahin hai namak ashkon kaa dil ko lag gayaa hai yahaan ab kuchh kahin ugtaa nahin hai jo karnaa chaahiye vo hi kiyaa hai milegaa ajr kyaa sochaa nahin hai sunaae jaa rahe hain apni apni aji suniye mujhe sunnaa nahin hai hamein chheDe nahin 'bilqis' koi hamaaraa aaj ji achchhaa nahin hai"
Bilqis Zafirul HasanBilqis Zafirul Hasan