Quote
"isi futur mein karb-o-balaa se lipTe hue tamaam umr ganvaa di anaa se lipTe hue abhi bhi mil na saki in ki khaamushi ko zabaan ye log ab bhi hain saut-o-sadaa se lipTe hue havaa ke shahr mein bas saans lene aate hain vagarna ahl-e-zamin hain khalaa se lipTe hue har ek samt lagaa hai khamoshiyon kaa hujum ye kaun log hain koh-e-nidaa se lipTe hue hansi bhi aati hai in par taras bhi aataa hai ye nafraton ke pujaari khudaa se lipTe hue ham ibtidaa hi mein pahunche the intihaa ko kabhi ab intihaa mein bhi hain ibtidaa se lipTe hue main zindagi ke masaail se laDnaa chaahtaa huun magar vo haath nigaar-e-hinaa se lipTe hue vagarna khatm na hotaa gahan kabhi 'aazar' andhere khauf-zada the ziyaa se lipTe hue"







