SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byHairat Allahabadi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"aap kyaa hain aap ko jaanaa to andaaza huaa dil huaa kaaba se but-khaana to andaaza huaa kitnaa mushkil kaam hai tauba kaa rakhnaa barqaraar saamne aayaa jo paimaana to andaaza huaa sham-e-mahfil ko na andaaza thaa apni aag kaa ho gayaa jab khaak parvaana to andaaza huaa un ki aankhon mein bhi masti hai sharaab-e-naab si gir gayaa haathon se paimaana to andaaza huaa koi tabdili hui hai meri haalat mein zarur mujh ko apnon ne na pahchaanaa to andaaza huaa meri be-paayaan mohabbat hai fareb-e-husn-o-ishq kah gae vo hans ke divaana to andaaza huaa main shahanshaah-e-dayaar-e-ishq huun 'hairat' nahin ho gayaa jab un se yaaraana to andaaza huaa"
Hairat AllahabadiHairat Allahabadi
Quote
"baadalon ke TukDon mein aasmaan kaa nilaa-pan kaise bhule saavan ki rut kaa vo rangilaa-pan Dhalne vaale hain moti chashm-e-naaz se shaayad saaf kah rahaa hai ye putliyon kaa gilaa-pan meri baat mat maano dasht mein nikal jaao aable bataa deinge khaar kaa nokilaa-pan shahd ki miThaas aksar honT se Tapakti thi kis ne us ke lahje mein bhar diyaa kasilaa-pan kaash itni vus'at bhi 'ishq ko khudaa bakhshe jazb kar le aankhon mein aansuon kaa gilaa-pan aap se mohabbat hai saadgi se kah Daalaa harf harf mein lekin bhar diyaa rasilaa-pan ab qabaa-e-gul shaayad apnaa rang bhi badle sabz sabz patton par aa rahaa hai pilaa-pan baiTh jaaegaa ik din zo'm kaa mahal 'hairat' rang laaegaa us ke zarf kaa ye silaa-pan"
Hairat AllahabadiHairat Allahabadi
Quote
"jaan mushkil mein hai pataa to chale kyaa tire dil mein hai pataa to chale kis ki aaraam se guzarti hai kaun mushkil mein hai pataa to chale tazkira kyaa hamaare hi gham kaa un ki mahfil mein hai pataa to chale tiir khanjar ki zahr yaa kuchh aur dast-e-qaatil mein hai pataa to chale kaarvaan luT gayaa hai yaa ab bhi raah-e-manzil mein hai pataa to chale tu hi apni zabaan se kah denaa jo tire dil mein hai pataa to chale dil-e-'hairat' jab un ke paas nahin kaun se dil mein hai pataa to chale"
Hairat AllahabadiHairat Allahabadi
Quote
"bad-nasib banjaara us zamin kaa baasi hai jo zamin ulfat ki muddaton se pyaasi hai har taraf andheraa hai har taraf udaasi hai shahr-e-pur-ziyaa mein bhi raushni zaraa si hai jo sadaaein detaa hai kucha-e-nigaaraan mein ajnabi nahin koi shakl aashnaa si hai kyaa khizaan kaa phir mausam aa gayaa gulistaan mein kyon gulon ke chehron par itni bad-havaasi hai dekhiye khudaa jaane kis tarah guzarti hai baat yuun to kahne ko kuchh nahin zaraa si hai saadgi kaa partav hai meraa har lab-o-lahja aap kaise kahte hain ye ghazal siyaasi hai saaf karti rahti hai sukhe khaar-o-gul aksar dosto nasim-e-subh mausamon ki daasi hai zaaviye nigaahon ke meri samt hain 'hairat' khaamushi mein poshida un ki ik hayaa si hai"
Hairat AllahabadiHairat Allahabadi
Quote
"kitaab-e-zindagi kaa har varaq kahne ko saada hai magar jo kuchh bhi likkhaa hai huruf-e-khun mein likkhaa hai ye saari shaan-o-shaukat kuchh nahin nazron kaa dhokaa hai asaasa aashiyaane kaa jise kahte ho tinkaa hai lahu de kar jo sinchaa thaa gulistaan-e-vafaa ham ne gulon ke jism se vo rang ban kar phuuT niklaa hai ye meri khush-nasibi hai ki us but ne ba-dast-e-khud sar-e-fihrist divaanon mein meraa naam likkhaa hai havaaein DhunDhti phirti hain us mard-e-mujaahid ko faraaz-e-daar par jis ne charaagh-e-zist rakkhaa hai yaqinan zakhm-e-dil ke saare Taanke TuuT jaaeinge tiri nazron kaa jaadu dil pe shoala ban ke lapkaa hai kabhi shahr-e-tamannaa mein to aakar dekh jaate vo dar-o-divaar par har samt kis kaa naam likkhaa hai sitam kaa aur mauqa us ko mil jaaegaa ai 'hairat' isi baais vo jiine ki duaaein mujh ko detaa hai"
Hairat AllahabadiHairat Allahabadi
Quote
"gum ho ke apni zaat mein kyaa bolne lage aisaa na ho shikast-e-anaa bolne lage jo karb-o-iztiraab ke maani samajh gae vo log ab ba-rang-e-vafaa bolne lage ehsaas-e-kamtari ne baDhaa di mataa-e-fikr jab paasbaan-e-aql sivaa bolne lage ghairon ko kyaa kahun unhein ilzaam kaise duun khud ham ko apne log buraa bolne lage ai fikr-e-aql-o-hosh junun se gurez kar aisi khataa na kar ki khataa bolne lage Thahregi kaise husn ke chehre pe dilkashi jab ang ang sharm-o-hayaa bolne lage jab bhi huaa nafaaz-e-shariat kaa tazkira basti mein har taraf se khudaa bolne lage patte gire jo peDon se kal raat TuuT kar mahsus yuun huaa tire paa bolne lage 'hairat' vo kyaa ghazal hai ki hon ahl-e-fan khamosh ho baat jab ghazal kaa sila bolne lage"
Hairat AllahabadiHairat Allahabadi
Quote
"dar-e-khairaat pahle khol denaa mire haathon mein phir kashkol denaa haqiqat ko qalam se tol denaa na afsaane mein koi jhol denaa jo dil mein hai vo sach sach bol denaa hamaare raaz saare khol denaa na jab jurat ho goyaai ki lab ko zabaan-e-chashm hi se bol denaa thakaa-maanda jo main lauTun kahin se to darvaaze ki kunDi khol denaa pataa kuchh aur detaa hai khirad ko junun kaa dasht mein par tol denaa havaa aai hai maazi ke chaman se dariche dil ke saare khol denaa mire aansu tire daaman ke moti nahin mumkin hai jin kaa mol denaa main sun luun teri kaDvi guftugu ko mire kaanon mein amrit ghol denaa miri aankhon ko ye fan aa gayaa hai tire daaman mein moti rol denaa"
Hairat AllahabadiHairat Allahabadi
Quote
"aks mahbub kaa aaya jo nazar paani mein yuun lagaa jaise utar aaya qamar paani mein ghol kar zahr vo dete hain agar paani mein aur baDhtaa hai mohabbat kaa asar paani mein roz paani pe banaataa huun main us ki tasvir aate hain ziist ke aasaar nazar paani mein aisaa manzil ke qarin TuuT ke barsaa baadal aakhirash Duub gai raahguzar paani mein mire ashkon se na daaman tiraa jal jaae kahin suntaa aaya huun ki hotaa hai sharar paani mein umr bhar yunhi main tufaan-e-balaa se khelaa shaam paani mein kaTi aur sahar paani mein harf aa jaaegaa tum par bhi yaqinan lahro Duub kar mar gayaa divaana agar paani mein kyon na pi luun ise chhu kar ye tire lab aaya ho gayaa hogaa tire lab kaa asar paani mein mujh ko sab rok rahe the sar-e-saahil 'hairat' main to kartaa hi rahaa apnaa safar paani mein"
Hairat AllahabadiHairat Allahabadi
Quote
"maazi-o-haal ki tasvir se ham uljhe hain aaj-kal apni hi taqdir se ham uljhe hain mausam-e-gul ki inaayat hai ki sahraa sahraa apne hi paanv ki zanjir se ham uljhe hain ham ne duniyaa ko diyaa ishq-o-mohabbat kaa sabaq kaun kahtaa hai ki shamshir se ham uljhe hain zulf ki yaad kabhi us rukh-e-zebaa kaa khayaal zulmaton se kabhi tanvir se ham uljhe hain kaargar ho na sakaa harf-o-hikaayat kaa tilism dekhiye saahib-e-taqrir se ham uljhe hain ham se puchho haq-o-baatil ki sadaaqat aa kar takhta-e-daar ki zanjir se ham uljhe hain likh diyaa kaatib-e-taqdir ne jo kuchh 'hairat' har ghaDi bas isi tahrir se ham uljhe hain"
Hairat AllahabadiHairat Allahabadi
Quote
"kisi mahaaz pe vo bolne nahin detaa zaruratan bhi zabaan kholne nahin detaa qafas mein ab bhi muhaafiz kai parindon par nigaah rakhtaa hai par tolne nahin detaa vo jis kaa haq hai use bhi to naa-shanaas-e-vafaa mahal-saraaon ke dar kholne nahin detaa miraa bhi pyaar hai saadiq isi liye to kabhi kisi ko pyaar mein sam gholne nahin detaa vo chaahtaa hai ki sahraa-navard ban jaaun makaan-e-zehn ke dar kholne nahin detaa hazaar-haa guhar-e-ashk-e-gul ba-vaqt-e-sahar chaman mein mausam-e-gul rolne nahin detaa vo tark-e-'ishq ki detaa hai dhamkiyaan mujh ko jo baat sach hai use bolne nahin detaa havaa ne pairahan-e-baadbaan uDaa bhi diyaa ye naa-khudaa hai ki lab kholne nahin detaa takhayyulaat pe 'hairat' ke chhaa gayaa aisaa tasavvuraat ke dar kholne nahin detaa"
Hairat AllahabadiHairat Allahabadi
Quote
"savaab-e-ishq ki khaatir kamaal kar baiThe vo meraa shahr mein rahnaa muhaal kar baiThe kuchh aur vo na sitamgar khayaal kar baiThe gadaa-e-husn agar kuchh savaal kar baiThe jo bevafaa the unhein bakhsh di mataa-e-vafaa ye aashiqaan-e-mohabbat kamaal kar baiThe suni na ek bhi zaalim ne aarzu dil ki ye kis ke saamne ham arz-e-haal kar baiThe abhi to hosh mein aae na the ye divaane vo phir numaaish-e-ru-e-jamaal kar baiThe zaraa si der mein naqsha badal gayaa 'hairat' miri vafaaon ko vo paaemaal kar baiThe"
Hairat AllahabadiHairat Allahabadi
Quote
"vo ban-sanvar ke sar-e-shaam jab nikalte hain nazar nazar mein hazaaron charaagh jalte hain vo apni aag mein roz-e-azal se jalte hain ye faisle hain muqaddar ke kab badalte hain tum apne gosha-e-daamaan ko phir qarib karo hamaare ashk-e-ravaan motiyon mein Dhalte hain vahi to laaeq-e-azmat hain bazm-e-hasti mein jo log girte hain gir gir ke phir sanbhalte hain vo ham se tark-e-taalluq bhi kar chuke lekin na jaane aaj bhi kyon log ham se jalte hain pataa bahaar ki aamad kaa aise chaltaa hai qafas ki aa ke vo jab tiliyaan badalte hain gham-e-firaaq ho 'hairat' ki gardish-e-dauraan na jaane kab se mire saath saath chalte hain"
Hairat AllahabadiHairat Allahabadi