SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byHameed Naseem(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"subh chale to zauq-e-talab thaa arsh-nishaan khurshid-shikaar manzil-e-shaam aai to ham hain aur shikaston ke ambaar dil ki naadaani to dekho kyaa kyaa armaan rakhtaa hai jaise davaam kaa aaina ho lamhon ki girti divaar ziist sahi ik tiira shabistaan lekin yaaro shola-e-shauq ik do nafas to aisaa bhaDkaa tur-misaal thaa dil kaa dayaar kal tak main aur tu the baaham raqs-e-sabaa aur khanda-e-gul aaj tire lab yaas-guzida meraa harf-e-shauq figaar zamzama-o-aahang ki duniyaa kyaa yaksar viraan hui mahfil mahfil hu kaa samaan hai chehra chehra sang-e-mazaar yuun bhi aage raah kaThin hai aur athaah andheraa hai ai maazi ke shahr-e-charaaghaan yuun na mujhe pichhe se pukaar sang-o-salib hain maidaan maidaan aur hujum-e-jaan-baazaan kaisi dhuum se aayaa ab ke marg-e-tamannaa kaa tyauhaar"
Hameed NaseemHameed Naseem
Quote
"nau-ba-nau ye jalva-zaai ye jamaal-e-rang-rang mohlat-e-dil ek lahza daaman-e-nazzaara tang hai kahaan vo aag jo raushan rakhe dil kaa alaav barq-jaulaan mahz chashmak shoala-e-gul mahz rang ai junun tir-e-malaamat kaa koi 'unvaan nikaal kaisaa chipkaa hai badan par firqa-e-naamus-o-nang ab ye us kaa azm tai kar le jo raah-e-aarzu har-qadam daam-e-tahayyur har-qadam divaar-e-sang aaj dekhaa sab ne qaatil ki tahi-dasti kaa haal sail-e-khun-e-aashiqaan mein bah gae shamshir-o-sang"
Hameed NaseemHameed Naseem
Quote
"tarab se ho aayaa huun aur yaas ki tah tak Duub chukaa huun duur huun apni khoj se ab tak kab se khud ko DhunD rahaa huun main huun ye ghaTtaa phailtaa saaya main ye kaise ho saktaa huun vaqt ke sayyaal aaine mein kaun hai kis ko dekh rahaa huun dil ke kisi pinhaan goshe mein an-jaani koi haar chhipi hai jaan tapaak hain teri baatein main be-baat bhaTak jaataa huun dekhte dekhte teraa chehra aur ik chehra ban jaataa hai ik maanus malul saa chehra kab dekhaa thaa bhuul gayaa huun ik lamhe ne mujh se kahaa thaa tu hi azal hai tu hi abad hai lamha biitaa baat gai is khvaab se kab kaa chaunk uThaa huun dida-e-vaa ke damakte khvaabo mere saath chaloge kab tak tum ki vafur-e-rang-o-navaa ho main ki shikast-e-dil ki sadaa huun khaak uDti hai lab-bosi ko taare aankh ko chhu lete hain qurb kaa khvaahaan mujh se zamaana main tanhaa huun main tanhaa huun"
Hameed NaseemHameed Naseem
Quote
"hai yak do nafas sair-e-jahaan-e-guzraan aur ai shauq koi rang-e-nashaat-e-dil-o-jaan aur aasudgi-aamoz ho jab aabla-paai ho jaati hai manzil ki lagan dil mein tapaan aur sang-e-nigah-e-shauq hai yaksaani-e-taghir har lahza nai rut ho bahaar aur khizaan aur besh-az-nigah-e-kam nahin pihnaa-e-shab-o-roz ai aalam-e-imkaan koi naadida-jahaan aur ye arz o samaa nang hain maanind-e-kaf-e-dast ik dasht ba-andaaza-e-chashm-e-nigraan aur taufiq faqat mujh ko huaa jaada-e-ehsaas yaa qaafile is tiira khalaa mein hain ravaan aur aagaahi-e-mutlaq jo nahin hai miraa maqdur ik mohlat-e-fariyaad sar-e-kaun-o-makaan aur dil vasl ki lazzat kaa talabgaar hai lekin takmil-e-tamannaa gham-e-furqat hai to haan aur"
Hameed NaseemHameed Naseem
Quote
"savaal dil kaa shaam-e-gham ko aur udaas kar gayaa tire vajud mein jo ek main thaa vo kidhar gayaa tilism-e-shauq fikr-e-zinda aur karb-e-aagahi tamaam 'umr kaa safar nigaah se guzar gayaa chale to hausla javaan thaa mauj-e-gul thi aarzu jidhar bhi aankh uTh gai samaan nikhar nikhar gayaa kabhi andheri shab mein ik muhib dasht saamne kabhi mah-e-tamaam saath saath taa-sahar gayaa har ek daur munfarid thaa ab bhi dil pe naqsh hai gayaa to yuun lagaa ki ji kaa ek hissa mar gayaa na yaad ki chubhan koi na koi lau malaal ki main jaane kitni duur yunhi khud se be-khabar gayaa nigaah-e-dost dil-navaaz bhi girah-kushaa bhi thi khulaa jo dil pe zindagi kaa bhed ji Thahar gayaa jahaan vajud mein thaa ''main'' ab ek aur naam hai ki meraa bigDaa kaam us ke lutf se sanvar gayaa vo sail-e-nur shab ki ibtidaa se taa-sahar gayaa dil us ke bal pe apne bahr-e-gham ke paar utar gayaa"
Hameed NaseemHameed Naseem
Quote
"be-karaan dariyaa huun gham kaa aur tughyaani mein huun sab hadein hain phir bhi qaaem kab se hairaani mein huun shab ki tanhaai mein mujh ko aisaa lagtaa hai kabhi main huun ruh-e-zindagi go paikar-e-faani mein huun jagmagaati mahfil-e-aflaak meraa aks-e-zaat lau main huun anjum ki main suraj ki taabaani mein huun subh-gaahaan dasht o gulshan mein nasim-e-narm-mauj biich dariyaa ke bhanvar huun aur jaulaani mein huun sham-e-bazm-e-dil-baraan hai meri dil-sozi ki zau main dil-e-aashiq ke khvaabon ki gul-afshaani mein huun log kyuun is shahr ke itne pareshaan-haal hain main ki khush-dil thaa sadaa kaa is pareshaani mein huun main ki huun ik khush-fahm saada-lauh tifl-e-pir-saal aur phir ziddi bhi huun khush apni naadaani mein huun kyaa khabar meraa safar hai aur kitni duur kaa kaaghzi ik naav huun aur tez-rau paani mein huun husn-e-kul kaa aarzu-mand is tunuk-jaani mein huun mere qad se jo bahut unchaa hai us paani mein huun"
Hameed NaseemHameed Naseem
Quote
"mohabbat jaada hai manzil nahin hai ye mushkil aakhiri mushkil nahin hai dil-e-rah-rav mein hain kuchh aur khatre khayaal-e-duri-e-manzil nahin hai khirad baatil khirad par naaz baatil magar ye to junun baatil nahin hai ye dil be-mehr bhi hai bevafaa bhi nahin ye dil to meraa dil nahin hai Daraataa hai mujhe yuun khanda-e-barq mujhe andesha-e-haasil nahin hai main sab kuchh jaantaa huun apnaa anjaam magar izhaar ke qaabil nahin hai miyaan-e-qaar-e-dariyaa hai safina nahin ai naakhudaa saahil nahin hai yahaan mehr-o-vafaa naadaaniyaan hain ye duniyaa ishq ke qaabil nahin hai ye hai marhum ummidon kaa madfan kabhi dil thaa magar ab dil nahin hai"
Hameed NaseemHameed Naseem