Quote
"zamaana dekhtaa hai hans ke chashm-e-khun-fishaan meri magar main khush huun un ki daastaan hai aur zabaan meri akelaa huun bhari duniyaa mein main kis ko kahun apnaa koi hotaa to kar detaa mukammal daastaan meri guzartaa aa rahaa huun jaane mein kin kin maqaamon se zamin ke baad aayaa rahguzar mein aasmaan meri main yaarab khaak kaa putlaa sahi lekin ye kyaa kam hai hui hai muntakhab hasti baraae imtihaan meri fanaa ki manzilon par khatm hain raahein anaasir ki yahi ab dekhnaa hai ruuh jaati hai kahaan meri na jaane silsila jaataa kahaan tak jism-e-khaaki kaa khudaa kaa shukr hai had ban gae kaun-o-makaan meri zaraa ai azm-e-dil rukh pher tufaan ki havaaon ke su-e-girdaab kashti le chali mauj-e-ravaan meri zabaan par le to aaungaa magar dil thaamnaa hogaa mujhe maalum hai rudaad-e-dil hai laa-bayaan meri kaDak kar bijliyaan rah jaaeingi chhaT jaaeinge baadal rahegaa zindagi ban kar sukun-e-aashiyaan meri 'falak' main sar-zamin-e-'daagh'-o-'ghaalib' kaa huun ik zarra vatan hai shahr-e-dehli zindagi urdu zabaan meri"
H
Heera Lal Falak Dehlvi






