SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byJalal Lakhnavi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tasavvur ham ne jab teraa kiyaa pesh-e-nazar paayaa tujhe dekhaa jidhar dekhaa tujhe paayaa jidhar paayaa kahaan ham ne na is dard-e-nihaani kaa asar paayaa yahaan uTThaa vahaan chamkaa idhar aayaa udhar paayaa pataa us ne diyaa teraa milaa jo 'ishq mein khud gum khabar teri usi se paai jis ko be-khabar paayaa dil-e-betaab ke pahlu se jaate hi gayaa sab kuchh na paain siine mein aahein na aahon mein asar paayaa vo chashm-e-muntazir thi jis ko dekhaa aa ke vaa tum ne vo naala thaa hamaaraa jis ko sote raat bhar paayaa main huun vo naa-tavaan pinhaan rahaa khud aankh se apni hamesha aap ko gum surat-e-taar-e-nazar paayaa habib apnaa agar dekhaa to daagh-e-'ishq ko dekhaa tabib apnaa agar paayaa to ik dard-e-jigar paayaa kiyaa gum ham ne dil ko justuju mein daagh-e-hasrat ki kisi ko paa ke kho baiThe kisi ko DhunDh kar paayaa bahut se ashk-e-rangin ai 'jalaal' is aankh se Tapke magar be-rang hi dekhaa na kuchh rang-e-asar paayaa"
Jalal LakhnaviJalal Lakhnavi
Quote
"kyuun vasl mein bhi aankh milaai nahin jaati vo farq dilon kaa vo judaai nahin jaati kyaa dhuum bhi naalon se machaai nahin jaati soti hui taqdir jagaai nahin jaati kuchh shikva na karte na bigaDtaa vo shab-e-vasl ab ham se koi baat banaai nahin jaati dekho to zaraa khaak mein ham milte hain kyunkar ye nichi nigah ab bhi uThaai nahin jaati kahti hai shab-e-hijr bahut zinda rahoge maangaa karo tum maut abhi aai nahin jaati vo ham se mukaddar hain to ham un se mukaddar kah dete hain saaf apni safaai nahin jaati ham sulh bhi kar lein to chali jaati hai un mein baaham dil o dilbar ki laDaai nahin jaati khud dil mein chale aaoge jab qasd karoge ye raah bataane se bataai nahin jaati chhupti hai 'jalaal' aankhon mein kab hasrat-e-didaar sau parde agar hon to chhupaai nahin jaati"
Jalal LakhnaviJalal Lakhnavi
Quote
"jaane vaalaa iztiraab-e-dil nahin ye taDap taskin ke qaabil nahin jaan de denaa to kuchh mushkil nahin jaan kaa khvaahaan magar ai dil nahin tujh se khush-chashm aur bhi dekhe magar ye nigah ye putliyaan ye til nahin rahte hain be-khud jo tere ishq mein vo bahut hoshyaar hain ghaafil nahin jo na siske vo tiraa kushta hai kab jo na taDpe vo tiraa bismil nahin hijr mein dam kaa nikalnaa hai muhaal aap aa niklein to kuchh mushkil nahin aaiye hasrat-bhare dil mein kabhi kyaa ye mahfil aap ki mahfil nahin ham to zaahid marte hain us khuld par jo bahishton mein tire shaamil nahin vo to vo tasvir bhi us ki 'jalaal' kahti hai tum baat ke qaabil nahin"
Jalal LakhnaviJalal Lakhnavi
Quote
"yaad aa ke tiri hijr mein samjhaaegi kis ko dil hi nahin siine mein to bahlaaegi kis ko dam khinchtaa hai kyuun aaj ye rag rag se hamaaraa kyaa jaane idhar dil ki kashish laaegi kis ko uThne hi nahin deti hai jab yaas biThaa kar phir shauq ki himmat kahin le jaaegi kis ko jab maar hi Daalaa hamein be-taabi-e-dil ne karvaT shab-e-furqat mein badalvaaegi kis ko mar jaaeinge be-maut gham-e-hijr ke maare aaegi to ab zinda ajal paaegi kis ko achchhaa rahe tasvir kisi ki mire dil par kam-bakht na Thahregaa to Thahraaegi kis ko kuchh baiTh gayaa dil hi yahaan baiTh ke apnaa ghairat tiri mahfil se ab uThvaaegi kis ko is vaada-khilaafi ne agar jaan hi le li phir jhuTi tasalli tiri taDpaaegi kis ko kyuun leinge 'jalaal' aa ke mire dil mein vo chuTki jhapkegi palak kaahe ko niind aaegi kis ko"
Jalal LakhnaviJalal Lakhnavi
Quote
"miri shaaki hai khud meri fughaan tak ki taalu se nahin lagti zabaan tak koi hasrat hi le aae manaa kar mire ruThe hue dil ko yahaan tak jagah kyaa dard ki bhi chhin legaa jigar kaa daagh phailegaa kahaan tak asar naalon mein jo thaa vo bhi khoyaa bahut pachhtaae jaa kar aasmaan tak falak tere jigar ke daagh hain ham miTaae jaa miTaanaa hai jahaan tak vo kyaa pahlu mein baiThe uTh gae kyaa na liin jaldi mein do ik chuTkiyaan tak koi maange to aa kar muntazir hai liye thoDi si jaan ik nim-jaan tak uThaane se ajal ke main na uThtaa vo aate to kabhi mujh naa-tavaan tak 'jalaal'-e-naala-kash chupkaa na hogaa vo de kar dekh lein munh mein zabaan tak"
Jalal LakhnaviJalal Lakhnavi
Quote
"muddat ke baad munh se lagi hai jo chhuT kar to ye bhi mai pe girti hai kyaa TuuT TuuT kar mehndi thaa meraa khuun ki hotaa jo raaegaan ik shab ke baad haath se qaatil ke chhuT kar pahlaa hi din thaa ham ko kiye tark-e-mai-kashi kyaa kyaa paDaa hai raat ko meinh TuuT TuuT kar sabr o qaraar le ke diyaa daagh-e-aarzu aabaad tum ne dil ko kiyaa mujh ko luuT kar hairat hai mere akhtar-e-bakht-e-siyaah ko kyuun kar gahan se chaand nikaltaa hai chhuT kar allaah-re aansuon kaa khaTaknaa firaaq mein aankhon mein bhar gayaa koi almaas kuuT kar Tapke nahin qalam ke faqat ashk naama par vo kuchh likhaa ki roi siyaahi bhi phuuT kar kar band-o-bast abhi se na gulshan mein baaghbaan vo din to ho ki murgh-e-qafas aaein chhuT kar sad-haif sar-guzisht jo apni kahi 'jalaal' tu is ko daastaan samajh sach ko jhuuT kar"
Jalal LakhnaviJalal Lakhnavi
Quote
"mar ke bhi qaamat-e-mahbub ki ulfat na gai ho chukaa hashr bhi lekin ye qayaamat na gai shab ko mai khuub si pi subh ko tauba kar li rind ke rind rahe haath se jannat na gai bosa le kar jo mukartaa huun to vo kahte hain shaairi kaa asar aur jhuuT ki aadat na gai daagh miTte na sunaa dil se tiri hasrat kaa aai jis ghar mein phir us ghar se ye daulat na gai paas baiThe bhi to kyaa jald uThe ghabraa kar meraa saudaa to gayaa aap ki vahshat na gai na huaa saaf dil-e-yaar kisi tarah 'jalaal' khaak mein mil gae ham us ki kudurat na gai"
Jalal LakhnaviJalal Lakhnavi
Quote
"garebaan ko junun mein taa-ba-daaman chaak honaa thaa javaab-e-jaada-e-sahraa-e-vahshat-naak honaa thaa taghaaful ke gile sun kar jhukaa liin tum ne kyon aankhein mire sharminda karne ko zaraa bebaak honaa thaa nigaah-e-garm ki bijli se jalnaa thaa muqaddar mein kisi ko aag honaa thaa kisi ko khaak honaa thaa jo aankhein puchhtin us ki to dil meraa bataa detaa yahaan sharmaa ke jhuknaa thaa yahaan bebaak honaa thaa taDap dil ki dikhaanaa thaa 'jalaal' un shokh-chashmon ko vahin ki bakht ne susti jahaan chaalaak honaa thaa"
Jalal LakhnaviJalal Lakhnavi
Quote
"sad-shukr bujh gai tiri talvaar ki havas qaatil yahi thi tere gunahgaar ki havas murde ko bhi mazaar mein lene na degi chain taa-hashr tere saaya-e-divaar ki havas sau baar aae ghash arini hi kahungaa main muusaa nahin ki phir ho na didaar ki havas rizvaan kahaan ye khuld o iram aur main kahaan aae the le ke kucha-e-dildaar ki havas sayyaad jab qafas se nikaalaa thaa bahr-e-zabh puchhi to hoti murgh-e-giraftaar ki havas yusuf ko teri chaah ke saude ki aarzu iisaa ko tere ishq ke aazaar ki havas dast-e-havaa-e-gul mein garebaan hai miraa daaman junun mein khinchti hai khaar ki havas jab ho kisi kaa rishta-e-ulfat gale kaa tauq divaana-pan hai subha-o-zunnaar ki havas maane hai zabt charkh phunke kyunkar ai 'jalaal' kis tarah nikle aah-e-sharar-baar ki havas"
Jalal LakhnaviJalal Lakhnavi
Quote
"paa-shikaston ko jab jab mileinge aap sar-e-raah-e-talab mileinge aap un se puchaa ki kab mileinge aap bole jab jaan-ba-lab mileinge aap dil ye kah kar khabar ko us ki chalaa mujh ko zinda na ab mileinge aap arsa-e-hashr id-gaah huaa sab se mil leinge jab mileinge aap vasl mein bhi jabin pe hogi shikan toDne ko ghazab mileinge aap be-khudon ko talaash se kyaa kaam har jagah be-talab mileinge aap chhoD di rukh pe zulf samjhe ham chhup ke ek aadh shab mileinge aap chheD mutrib taraana-e-shab-e-vasl saaz-e-aish-o-tarab mileinge aap yaar jab mil gayaa to ham se 'jalaal' jo na milte the sab mileinge aap"
Jalal LakhnaviJalal Lakhnavi
Quote
"jafaa ki us se shikaayat zaraa nahin aati vo yaad hi hamein shukr-e-khudaa nahin aati nikal ke taa-ba-lab aah-e-rasaa nahin aati karaahtaa hai jo ab dil sadaa nahin aati hamaari khaak ki miTTi hai kyaa kharaab ai charkh kabhi idhar ko udhar ki havaa nahin aati shab-e-visaal kahaan khvaab-e-naaz kaa mauqa' tumhaari niind ko aate hayaa nahin aati 'adu hamaari 'ayaadat ko le ke aae unhein kahaan ye mar rahi ab bhi qazaa nahin aati lahad pe aae the do phuul bhi chaDhaa jaate abhi tak aap mein bu-e-vafaa nahin aati miri lahad ko vo un kaa ye kah ke Thukraanaa sadaa-e-naa'ra-e-sad-marhabaa nahin aati sitam hai aur mire dil-shikan kaa ye kahnaa shikast-e-shisha-e-dil ki sadaa nahin aati 'jalaal' ham ye na maaneinge tu use nahin yaad tujhe kabhi koi hichki bhi kyaa nahin aati"
Jalal LakhnaviJalal Lakhnavi
Quote
"na Theri jab koi taskin-e-dil ki shakl yaaron mein to aa nikle taDap kar ham tumhaare be-qaraaron mein kisi ke ishq mein dard-e-jigar se dil ye kahtaa hai idhar bhi aa nikalnaa ham bhi hain ummidvaaron mein vo maatam bazm-e-shaadi hai tumhaari jis mein shirkat ho vo marnaa zindagi hai tum jahaan ho sogvaaron mein taalli se ye nafrat hai ki baad-e-marg khaak apni agar uThti bhi hai jaa baiThti hai khaaksaaron mein hamaare dil ne ham se bevafaai kar ke kyaa paayaa vahaan bhi jaa ke Thahraayaa gayaa be-e'tibaaron mein vo khinchungaa 'jalaal' aahein ki us ki khaak uDaa deingi falak ne piis Daalaa hai samajh kar khaaksaaron mein"
Jalal LakhnaviJalal Lakhnavi
Quote
"subh ho shaam judaai ki ye mumkin hi nahin hijr ki raat vo hai jis ke liye din hi nahin subh karnaa shab-e-gham kaa kabhi mumkin hi nahin aa ke din pher de apne vo koi din hi nahin dil-e-be-taab mohabbat ko ho kis tarah sukun donon harfon mein jab us ke koi saakin hi nahin kyaa mazammat hai mujhe subh-e-shab-e-hijr un se jin se kahtaa thaa ki bachnaa miraa mumkin hi nahin shab-e-furqat use maut aa gai mere badle de azaan subh ki kaun aaj moazzin hi nahin bistar-e-gham se uThaa kar ye biThaataa hai hamein koi juz dard-e-jigar aur muaavin hi nahin raah chalte bhi ye puchhein ki kidhar aa nikle jaise ham kucha-e-mahbub ke saakin hi nahin yaad-e-gesu ne dikhaayaa hai vo aalam ham ko raat rahti hai jahaan aaTh pahar din hi nahin banda-e-ishq hain imaan ki kahte hain 'jalaal' ham ko kaafir jo samajhtaa hai vo momin hi nahin"
Jalal LakhnaviJalal Lakhnavi
Quote
"be-baak na dekhaa koi qaatil ke baraabar sharm aankh mein paai na gai til ke baraabar dushman koi ai yaar miraa aur tiraa dost hogaa na zamaane mein mire dil ke baraabar dil muttasil-e-kucha-e-mahbub huaa gum luTnaa thaa pahunch kar mujhe manzil ke baraabar kam-bakhti-e-vaaiz hai ki ho vaaz ki sohbat rindaan-e-qadah-nosh ki mahfil ke baraabar ham pi gae jo ashk qarib-e-mizha aayaa kashti hui jab gharq to saahil ke baraabar aahon ke sharar gard nahin daagh-e-jigar ke taabinda hain akhtar mah-e-kaamil ke baraabar parda na uThaa qais ne lailaa ko na dekhaa jhonkaa bhi na aayaa koi mahmil ke baraabar maqtal mein ye hasrat rahi ai zoaf pas-e-zabh pahunche na taDap kar kisi bismil ke baraabar ghar tak dar-e-jaanaan se 'jalaal' aaiye kyuun kar ek ek qadam hai kai manzil ke baraabar"
Jalal LakhnaviJalal Lakhnavi
Quote
"shab-e-vaada hai tu hai aur main huun hujum-e-aarzu hai aur main huun dil-e-begaana-khu hai aur main huun baghal mein ik adu hai aur main huun miTaataa hi rahaa jis ko muqaddar vo meri aarzu hai aur main huun pareshaan-khaatiri kahti hai apni kisi ki justuju hai aur main huun shab-e-tanhaai-e-furqat mein dil se kuchh us ki guftugu hai aur main huun gulistaan-e-jahaan hai qaabil-e-sair tilism-e-rang-o-bu hai aur main huun nigaah-e-lutf-e-dilbar kaa hai izhaar phaTe dil kaa rafu hai aur main huun kahin chhoDaa agar qaatil kaa daaman tu phir meraa lahu hai aur main huun 'jalaal' us ko banaayaa us ne dushman qayaamat mein adu hai aur main huun"
Jalal LakhnaviJalal Lakhnavi