SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byJazib Quraishi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"charaaghon ke bujhaane ko havaa be-ikhtiyaar aai gulaabon ki mahak bikhri to aavaaz-e-sharaar aai bagulon ne safar mein aandhiyon kaa aasmaan dekhaa magar ik faakhta apne shajar tak be-ghubaar aai jise tu ne ujaalaa jaan kar chehre pe likkhaa thaa vahi shohrat tiri rusvaaiyon ke ham-kanaar aai andheron mein mujhe khud ik sitaara DhunDne aayaa ki shahr be-hunar se ik sadaa-e-e'tibaar aai miri aankhon mein jitne rang the sab jal gae 'jaazib' magar vo mujh se milne jab bhi aai be-qaraar aai"
Jazib QuraishiJazib Quraishi
Quote
"Takraa rahi hain tez havaaein chaTaan se baahar na jaao apne shikasta makaan se vo raat bhar charaagh ki lau dekhtaa rahaa imkaan taraashtaa hai jo apne gumaan se azm-e-safar hai dhuup kaa sahraa hai aur main dariyaa to saath chhoD gayaa darmiyaan se vo mausam-e-khizaan ki thakan hi mein jal gae baahar khile jo phuul tire saaebaan se ik umr ho gai hai ki Dartaa rahaa huun main raushan charaagh se kabhi andhe makaan se gahre samundaron mein sitaara na thaa koi saahil ki shaam mil na saki baadbaan se divaar aaine ki hai shishe ke baam-o-dar lekin ghubaar uThtaa hai mere makaan se"
Jazib QuraishiJazib Quraishi
Quote
"jaan-soz ghamon kaa kahin izhaar nahin hai zindaan mein bhi zanjir ki jhankaar nahin hai har shakhs ke chehre pe hai kuchh aisi alaamat jaise vo koi phuul hai talvaar nahin hai sab gahre samundar mein khaDe soch rahe hain ham mein koi suraj kaa parastaar nahin hai zakhmon kaa lahu ho ki charaaghon kaa ujaalaa koi bhi mire shahr mein bedaar nahin hai main tujh se bichhaD kar yahi samjhaa huun ki duniyaa divaar to hai saaya-e-divaar nahin hai khush-rang zulekhaaon ke baazaar mein 'jaazib' koi gham-e-yusuf kaa kharidaar nahin hai"
Jazib QuraishiJazib Quraishi
Quote
"dasht-e-duaa mein tere parastaar rah gae shoalon ke aabshaar mein gulnaar rah gae tere visaal-o-hijr gae to gayaa magar teri shabaahaton ke sab aazaar rah gae jin par tire gulaab se chehre ke aks hain meri nazar mein vo dar-o-divaar rah gae vo to amir-e-shahr ki aaghosh mein gayaa us ki gali mein aaina-bardaar rah gae ham ne likhe huruf-e-gham-e-jaan varaq varaq paDhne ko gesu-o-lab-o-rukhsaar rah gae zakhm-e-hunar ke chaahne vaale nahin rahe khush-rang shohraton ke kharidaar rah gae jalne lage badan to barasne lagaa lahu suraj ki raah mein rasan-o-daar rah gae"
Jazib QuraishiJazib Quraishi
Quote
"jaan khud-shanaas ho to duaa mein asar bhi hai main jal rahaa huun tujh ko miri kuchh khabar bhi hai shahr-e-gulaab mein bhi koi DhunDhtaa rahaa vo dhuup jis mein tere badan kaa shajar bhi hai vo aks huun ki mujh mein tire khaal-o-khad nahin tu meraa aaina bhi hai aaina-gar bhi hai sochon to zar-nigaar se chehre bhi saath hain dekhun to ye safar miraa tanhaa safar bhi hai main bhi huun zakhm zakhm tire intizaar mein ik shaam rahguzar miraa viraan ghar bhi hai kyaa hai jo kam-nazar mujhe pahchaante nahin chehra bhi hai miraa mire shaanon pe sar bhi hai khushbu ke pairahan se ujaale ke jism tak main huun to phir saliqa-e-arz-e-hunar bhi hai"
Jazib QuraishiJazib Quraishi
Quote
"thakan ki gard se khush-rang aahaTon mein aa adaavaton ko bhulaa de mohabbaton mein aa na-jaane kab se tiraa intizaar hai mujh ko ki niind toD ke be-khvaab raaston mein aa mire khayaal ke saae tire badan ke aks pukaarte hain mulaaqaat ki hadon mein aa lipaT gai hai mire zehn se tiri khushbu main jal rahaa huun ki baarish ke mausamon mein aa safar ki dhuup pighal jaaegi puraani hai gulaab ban ke mahak meri dhaDkanon mein aa bichhaDnaa hai to bichhaD jaa tabassumon ke saath jo mujh se pyaar hai tujh ko to pattharon mein aa jo shakhs shoala-e-jaan ban gayaa numaaish mein tujhe na luuT le vo meri dhaDkanon mein aa"
Jazib QuraishiJazib Quraishi
Quote
"shikasta aks thaa vo yaa ghubaar-e-sahraa thaa vo main nahin thaa jo khud apne ghar mein rahtaa thaa ajiib shart-e-safar thi mire liye ki mujhe siyaah dhuup mein raushan charaagh rakhnaa thaa fasil-e-sang se mujh ko utaarne aayaa vo ik sitaara jo main ne kabhi na dekhaa thaa na jaane kaun se mausam mein ji rahaa thaa main ki meri pyaas thi meri na meraa dariyaa thaa shajar ki chhaanv se baahar hai rizq taair kaa vo saahilon pe na Thahraa kabhi jo pyaasaa thaa kise pukaar rahaa thaa miraa adhuraa-pan main garm ret pe taaza gulaab rakhtaa thaa hazaar kam-sukhani darmiyaan rahi phir bhi vo mujh se aan milaa thaa to rang barsaa thaa main bujh gayaa to mire jism-o-jaan khule mujh par charaagh aur thaa koi jo mujh mein jaltaa thaa vo apne ghar mein ujaalaa na kar sakaa 'jaazib' tamaam raat jo suraj ke khvaab rakhtaa thaa"
Jazib QuraishiJazib Quraishi
Quote
"sahraa ki dhuup mein bhi shajar dekhte rahe kyaa log the duaa kaa asar dekhte rahe ham apne jism-o-jaan ko khizaan mein utaar kar gulnaar mausamon ke hunar dekhte rahe baarish ki aadaton kaa badalnaa muhaal thaa jalte hue ham apne hi ghar dekhte rahe jab bhi tire badan ki mahak ham-safar rahi ham be-charaagh shab mein sahar dekhte rahe ik shahr-e-mah-vashaan thaa ki aankhon ke saath thaa ham phir bhi teri raahguzar dekhte rahe 'jaazib' mein tere pyaar ki khvaahish shadid thi 'jaazib' ko ahl-e-naqd-o-nazar dekhte rahe"
Jazib QuraishiJazib Quraishi
Quote
"sahraa mein koi saaya-e-divaar to dekho ai ham-safaro dhuup ke us paar to dekho jaltaa huun andheron mein ki chamke koi chehra mausam hain adaavat ke magar pyaar to dekho daftar ki thakan oDh ke tum jis se mile ho us shakhs ke taaza lab-o-rukhsaar to dekho kyuun maang rahe ho kisi baarish ki duaaein tum apne shikasta dar-o-divaar to dekho kal shaam vo tanhaa thaa samundar ke kinaare kyaa soch rahe ho koi akhbaar to dekho aankhein hain ki zakhmi hain badan hain ki shikasta aashob-e-safar huun miri raftaar to dekho"
Jazib QuraishiJazib Quraishi
Quote
"khayaal ban ke vo mujh mein utar bhi aataa hai ki rafta rafta duaa mein asar bhi aataa hai jise talaash hai khush-rang aabshaaron ki vo zakhm zakhm badan le ke ghar bhi aataa hai charaagh ban ke chamaktaa huun sang-rezo mein savaad-e-shab mujhe aisaa hunar bhi aataa hai na jism-o-jaan kaa andheraa na raaston kaa ghubaar jo tu mile to ik aisaa safar bhi aataa hai lahu lahu jo rahaa pattharon ki baarish mein gali gali vahi chehra nazar bhi aataa hai use bhi pyaar ke mausam pasand hain 'jaazib' safar ki dhuup mein jalne shajar bhi aataa hai"
Jazib QuraishiJazib Quraishi
Quote
"jab bhi aataa hai vo mere dhyaan mein phuul rakh jaataa hai roshan-daan mein ghar ke baam-o-dar nae lagne lage husn aisaa thaa mire mehmaan mein teraa chehra aaine ke saamne aur aaina nae imkaan mein aks tere teri khushbu tere rang bas yahi kuchh hai mire saamaan mein jism-o-jaan ko taaza mausam mil gae jal gayaa main tere aatish-daan mein jo sitaara parvarish paataa rahaa vo milaa hai pyaar ke rujhaan mein titliyaan kamre ke andar aa gaiin ek phuul aisaa bhi thaa gul-daan mein aandhiyon mein bhi uDaataa hai mujhe kaun hai ye mere jism-o-jaan mein dhaDkanein teri hain be-aavaaz kyuun kyaa nahin huun main tire imkaan mein jab darakht angnaaiyon ke kaT gae dhuup utar aai hai har daalaan mein ajnabi khvaabon kaa surat-gar huun main aur main gum huun tiri pahchaan mein"
Jazib QuraishiJazib Quraishi
Quote
"ham apne dil ki dhaDkan mein ek tamannaa laae hain tujh se pyaar ki baatein karne duur kahin se aae hain apni aankhein raahguzar hain apnaa chehra patthar hai tere vaadon ne bhi mujh ko kyaa kyaa khvaab dikhaae hain tere aanchal ki chhaanv se shahr-e-junun ki dhuup talak khushbu ban kar bikhre ham ghuncha ban kar murjhaae hain koi ujaalaa thaa jo hamaare jism-o-jaan se guzraa hai kis khurshed ne andhe ghar mein apne aks uDaae hain taaza dhuup mein jhiil kinaare jab se tujh ko dekhaa hai 'jaazib' ne ujle ujle rangon ke khvaab bichhaae hain"
Jazib QuraishiJazib Quraishi
Quote
"mere lahje mein mire zakhm ki gahraai hai raushni raat ke aangan mein utar aai hai phir mujhe pyaar ke saahil pe Thaharnaa hogaa phir tire dil ke dhaDakne ki sadaa aai hai dar-o-divaar pe kuchh aks utar aate hain mere ghar mein ajab andaaz ki tanhaai hai sirf phulon mein nahin hain tere chehre ke rang maah-e-nau bhi tiri Thahri hui angDaai hai vo sabaa sab jise aavaara kahaa karte hain tere aanchal ki mahak mere liye laai hai qahqaha-baar raho shola-e-gham se na Daro varna is shahr-e-hunar mein baDi rusvaai hai"
Jazib QuraishiJazib Quraishi
Quote
"chehron pe likhaa hai koi apnaa nahin miltaa kyaa shahr hai ik shakhs bhi jhuTaa nahin miltaa chaahat ki qabaa mein to badan aur jaleinge sahraa ke shajar se koi dariyaa nahin miltaa main jaan gayaa huun tiri khushbu ki raqaabat tu mujh se mile to gham-e-duniyaa nahin miltaa zulf-o-lab-o-rukhsaar ke aazar to bahut hain TuuTe hue khvaabon kaa masihaa nahin miltaa main apne khayaalon ki thakan kaise utaarun rangon mein koi rang bhi gahraa nahin miltaa Duube hue suraj ko samundar se nikaalo saahil ko jalaane se ujaalaa nahin miltaa"
Jazib QuraishiJazib Quraishi
Quote
"jab tumhein yaad kiyaa ranj huaa bhuul gae ham andheron mein ujaale ki fazaa bhuul gae tum se bichhDe the to jiine kaa chalan yaad na thaa tum ko dekhaa hai to marne ki duaa bhuul gae tere aansu the ki be-daagh sitaaron ke charaagh umr-bhar ke liye ham apni sazaa bhuul gae ham khayaalon mein tumhein yaad kiye jaate hain aur tum dil ke dhaDakne ki sadaa bhuul gae pyaar mein koi fasilein jo uThaae bhi to kyaa tum to khud lazzat-e-uslub-e-vafaa bhuul gae kisi mahki hui chhaanv mein Thahar ke ham bhi sang-dil vaqt kaa andaaz-e-jafaa bhuul gae kitne naadaan hain vo ahl-e-mohabbat 'jaazib' jo har ik baat mohabbat ke sivaa bhuul gae"
Jazib QuraishiJazib Quraishi