Quote
"ik parinda sar-e-divaar bhi baaqi na rahaa ab to parvaaz kaa didaar bhi baaqi na rahaa habs aisaa thaa ki saae mein sulag uTThe gulaab lu chali aisi ki gulzaar bhi baaqi na rahaa log dam saadh gae khauf ne gheraa aise koi andesha-e-be-kaar bhi baaqi na rahaa haadisa kyaa huaa bikhre hue sannaaTe mein lafz se rishta-e-izhaar bhi baaqi na rahaa ek vahshat hi mataaa-e-gham-e-jaanaan nikli lutf-e-dildaari-e-gham-khvaar bhi baaqi na rahaa jaan sisakti rahi khvaahish ke bayaabaanon mein shauq-e-har-lahza kaa aazaar bhi baaqi na rahaa dil bhi yaadon ki kaDi dhuup mein kumhlaa saa gayaa aur koi saaya-e-divaar bhi baaqi na rahaa aisi viraani hai khud maut bhi katraa ke chali koi marne kaa sazaa-vaar bhi baaqi na rahaa"







