"ik parinda sar-e-divaar bhi baaqi na rahaa ab to parvaaz kaa didaar bhi baaqi na rahaa habs aisaa thaa ki saae mein sulag uTThe gulaab lu chali aisi ki gulzaar bhi baaqi na rahaa log dam saadh gae khauf ne gheraa aise koi andesha-e-be-kaar bhi baaqi na rahaa haadisa kyaa huaa bikhre hue sannaaTe mein lafz se rishta-e-izhaar bhi baaqi na rahaa ek vahshat hi mataaa-e-gham-e-jaanaan nikli lutf-e-dildaari-e-gham-khvaar bhi baaqi na rahaa jaan sisakti rahi khvaahish ke bayaabaanon mein shauq-e-har-lahza kaa aazaar bhi baaqi na rahaa dil bhi yaadon ki kaDi dhuup mein kumhlaa saa gayaa aur koi saaya-e-divaar bhi baaqi na rahaa aisi viraani hai khud maut bhi katraa ke chali koi marne kaa sazaa-vaar bhi baaqi na rahaa"
be-kahe be-sune khudaa-haafiz — Mah Talat Zahidi
"be-kahe be-sune khudaa-haafiz jo bhi guzre use khudaa-haafiz dard ruk bhi gayaa agar to kyaa hai ajal saamne khudaa-haafiz laghzishein sab muaaf hon meri vaqt ujlat mein hai khudaa-haafiz itni naaraazgi are tauba vo bhi bimaar se khudaa-haafiz kam se kam muD ke dekhiye saahab zindagi kahti hai khudaa-haafiz dard hai yaa hai maut ki dastak bebasi kyaa kare khudaa-haafiz kaar-e-duniyaa to khatm hotaa nahin kahnaa hi paDtaa hai khudaa-haafiz"
بے کہے بے سنے خدا حافظ جو بھی گزرے اسے خدا حافظ درد رک بھی گیا اگر تو کیا ہے اجل سامنے خدا حافظ لغزشیں سب معاف ہوں میری وقت عجلت میں ہے خدا حافظ اتنی ناراضگی ارے توبہ وہ بھی بیمار سے خدا حافظ کم سے کم مڑ کے دیکھیے صاحب زندگی کہتی ہے خدا حافظ درد ہے یا ہے موت کی دستک بے بسی کیا کرے خدا حافظ کار دنیا تو ختم ہوتا نہیں کہنا ہی پڑتا ہے خدا حافظ
बे-कहे बे-सुने ख़ुदा-हाफ़िज़ जो भी गुज़रे उसे ख़ुदा-हाफ़िज़ दर्द रुक भी गया अगर तो क्या है अजल सामने ख़ुदा-हाफ़िज़ लग़्ज़िशें सब मुआ'फ़ हों मेरी वक़्त उजलत में है ख़ुदा-हाफ़िज़ इतनी नाराज़गी अरे तौबा वो भी बीमार से ख़ुदा-हाफ़िज़ कम से कम मुड़ के देखिए साहब ज़िंदगी कहती है ख़ुदा-हाफ़िज़ दर्द है या है मौत की दस्तक बेबसी क्या करे ख़ुदा-हाफ़िज़ कार-ए-दुनिया तो ख़त्म होता नहीं कहना ही पड़ता है ख़ुदा-हाफ़िज़

More by Mah Talat Zahidi
View all →"qabr pe phuul khilaa aahista zakhm se khuun bahaa aahista dhyaan ke ziine pe yaadon ne phir dekhiye paanv dharaa aahista kahne ko vaqt guzartaa hi na thaa aur jag biit gayaa aahista kaaTe se raat nahin kaTti thi phir bhi din aa hi gayaa aahista aankh mein chehra basaa rahtaa hai is liye ashk giraa aahista main jo muddat mein hansi dil ne kahaa kyaa tujhe sabr milaa aahista ro ke main ne ye kahaa duniyaa hai gham ko sahnaa hi paDaa aahista"
"vahshat bhari raaton ko kinaara nahin miltaa dil Duub chalaa subh kaa taaraa nahin miltaa milte hain bahut yuun to jo aaghosh-kushaa ho dil ke liye vo dard kaa dhaaraa nahin miltaa is ahd ki tasvir mein apnaa bhi lahu hai DhunDe se magar naam hamaaraa nahin miltaa qudrat kaa karam ho to alag baat hai varna mushkil mein to apnon kaa sahaaraa nahin miltaa sadiyaan hain faqat ek hi lamhe ki kahaani lamha jise kho de vo dobaara nahin miltaa"
"apni palkon se jo TuuTe hain guhar dekhte hain ham duaa maangte hain aur asar dekhte hain koi barsaa huaa baadal bhi jo guzraa hai to ham Dar ke baarish mein Tapaktaa huaa ghar dekhte hain sair kaisi yahaan tahzib ki zanjir bhi hai ham to bas rauzan-e-divaar se dar dekhte hain sirf khvaabon kaa jahaan ham ne sajaayaa varna log to ji mein jo aa jaae vo kar dekhte hain daagh-e-dil dida-e-tar vahshat-e-jaan tanhaai un ko kyaa vo to faqat arz-e-hunar dekhte hain ek vo manzilein baDh kar jinhein lene aaein ek ham raah mein jo gard-e-safar dekhte hain dil bujhaa jaataa ho jab raat ki taariki mein dekhne vaale tab aasaar-e-sahar dekhte hain"
"us ki aankhon mein ik savaal saa thaa mere dil mein koi malaal saa thaa dhul gayaa aansuon mein saaraa vajud ishq mein ye ajab kamaal saa thaa jism ki Daal par jhukaa thaa khvaab ruuh sarshaar dil nihaal saa thaa guftugu kar rahi thi khaamoshi hijr ki raah mein visaal saa thaa khvaahishein har ghaDi uruuj pe thiin vaqt ko har ghaDi zavaal saa thaa main bhi thi aashnaa rivaayat se us ko bhi zabt mein kamaal saa thaa khvaab-dar-khvaab thiin mulaaqaatein dard-e-dil vajh-e-indimaal saa thaa aaina ban gayaa hai mere liye ek chehra ki be-misaal saa thaa"
"tum bin vaqt ye kaisaa guzraa ashkon kaa ik dariyaa guzraa meraa hi ghar bhuul gayaa thaa baadal qarya qarya guzraa kaaT gayaa thaa ziist kaa dhaaraa kahne ko ik lamha guzraa chikh thi dil ki lai mein Dhal kar jaise koi naghma guzraa khuun hai jin aankhon se jaari un mein bhi ik sapnaa guzraa khush rahne kaa khaak jatan ho dil par bhaari sadma guzraa roz hi log bichhaD jaate hain aah magar ik apnaa guzraa jaan-e-mahfil thaa jo kabhi vo kaisaa tanhaa tanhaa guzraa"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"