Quote
"darmiyaan faasla rah gayaa vo khafaa thaa khafaa rah gayaa ham se ehsaan utre nahin sar jhukaa thaa jhukaa rah gayaa khvaahishein naa-mukammal rahin zehn par bojh saa rah gayaa oDh liin main ne khaamoshiyaan masala masala rah gayaa kis qadar khubsurat ho tum aaina sochtaa rah gayaa vo gayaa aur 'mashkur' main duur tak dekhtaa rah gayaa"







