SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"aate aate tarf mere muD ke phir kidhar chale jaan-saahab! bin tumhaare khaa ke gham ham mar chale sajde de naaghisniyaan karte hain tum sunte nahin jo na karni thi samaajat vo bhi kar aksar chale aadmi se but kahaae ab khudaai kaa hai azm Tuk karo insaaf apni had se tum baahar chale dekh leveinge guzaare ke taiin ab aur jaa dekhaa bhaari pathar us ko chuum sar se dhar chale aashiqon ne naam teraa le kiyaa qaalib tahi marte marte bhi to teraa hi ye sab dam bhar chale bazm mein tum khul rahe the baiThe dekh ham ko ruk gae gar yuun hi raazi ho lo ji uTh ham apne ghar chale kis ke aae kis se rang-raliyaan kiyaa pyaar aur chaah ishq ki badnaami pyaare rakh ke mujh uupar chale khizr ko shaabaash uktaayaa na ab tak aur ham zindagaani ek dam bhar ki bhi kar dubhar chale aah-o-afghaan to hamaaraa kar rahaa hai zor-shor juun bagulaa yaa ho aandhi yaa koi sarsar chale dekhein kis ki aah kaa us par asar ho 'azfari' ham to bhar maqdur, kar kitnaa hi shor-o-shar chale"
M
Mirza Zahirddin Azfari
Quote
"dekh apne maailon ko ki hain dil jale paDe pazhmurda, dil-fasurda dar uupar Dhale paDe chakki chali hai charkh ki daanaao dekh lo daane bahut hain is mein to aise Dale paDe oho ji de hi Daalo nikaal aisi bhukh mein tum kun to hain samose bahut se tale paDe jab gir paDun huun paanv pa kahte ho munh ko pher tum chhoD sab ko pand hamaare bhale paDe juun jaanun be-kason ke taiin ab nibaah lo ham sab taraf se haar tumhaare gale paDe teraa ho bol-baalaa samajh-bujh sher kah dekh 'azfari' na baat hamaari tale paDe"
M
Mirza Zahirddin Azfari
Quote
"shitaabi apne divaane ko kar band musalsal zulf se kar yaa nazar-band tiraa shaidaa na Thahraa jaan saa ik dam gayaa le kuut mein lohe ke kar band jo tujh par aur ko tarjih de dekh bas us andhe ki aankhein hain magar band taDaptaa be-qaraari aah-o-zaari huiin ye haalatein kyunkar satar-band hai sho'la aag kaa har aah ke saath ye dil hai yaa hai siine mein sharar band piyaare Dar khudaa se apni aankhein hamaari tarf se itni na kar band tujhe khurshid-ru, ji bhar ke dekhun hui jaati hai meri aankh par band 'azizo misr-e-dil ki raah hai duur rah-e-zulmaat mein higaa ye dar band jo chaahe do jahaan kaa kaam legaa hai baandhaa jis ne himmat kaa kamar-band raho Tuk 'azfari' ab chashm khole raheingi aankh phir shaam-o-sahar band"
M
Mirza Zahirddin Azfari
Quote
"soch mein tere sunaa raat jo khaTkaa-paTkaa sar ko takiye se uThaa paTTi pe de de paTkaa tu ne gar kanghi jo kaakul ko pakaD kar jhaTkaa dil paDaa phirtaa hai sar maartaa bhulaa-bhaTkaa lakht-e-dil aa sar-e-mizhgaan pe laTakte hain paDe teri ulfat ne bhalaa saang dikhaayaa naT kaa jab na tab bose pe haTte ho ki dungaa na kabhi maan kar ye na miri jaan phir aisi haT kaa kyuun tiri chaal laTak dekh ke dil laTke hain kuchh to ham ko bhi bataa kis se ye sikhaa laTkaa naT-khaTi dekh tiri main to achambhe mein rahaa dil jhapaT haath se jhaT raag sunaayaa khaTkaa ghar base bol bhi kuchh kyaa hai kharaabi Thaani kab talak ham se phiregaa yunhi phaTkaa phaTkaa dil-e-gum-gashta ki har ik se main kartaa huun talaash chor jo thaa vahi aankhon ko churaa kar saTkaa"
M
Mirza Zahirddin Azfari
Quote
"samajh ghar yaar kaa main shah-nashin-e-dil ko dhotaa huun kahein hain log divaane ki divaana huun rotaa huun bujhaae ashk ye khuun ke jo favvaare uchhalte hain mizha se yaar ke le nashtar aankhon mein chubhotaa huun madad ai khizr-e-girya gharq kariyo naav-e-dil aaj hi ye hai Dubvaane vaalaa main ise pahle Dubotaa huun but-e-sangin dil ki dekh tasvir aankhein pathraain ThiThuk huun naqsh-e-qaalin saa na rotaa huun na sotaa huun main ku-e-maikashaan-o-mahvashaan ke muttasil pahunchaa khabar-daar ai harifo ab havaas-o-hosh khotaa huun mabaadaa mere gul-ru kaa gul-e-rukhsaar murjhaave phuvaar ai 'azfari' de aansuon ki main bhigotaa huun"
M
Mirza Zahirddin Azfari
Quote
"ji mein kyaa kyaa miri umaahaa thaa par huaa vo jo haq kaa chaahaa thaa nibhi jab tak ki ham nibaah sake aap ne ham ko kab nibaahaa thaa luqqe do chaar saath jaate the kaisaa kal raat hi-hi haahaa thaa chakki raahaa thaa kyaa balaa ye raqib chakki saa munh to is kaa raahaa thaa kuche tere mein raat ko jo gae bhule ham vaan jahaan doraahaa thaa tum jhaTak gae kuchh in dinon pyaare Tok kis ne tumhein saraahaa thaa tum pe thaa jab ki aalam-e-tajrid un dinon main bhi bin-biyaahaa thaa jis gali biich jaa nikalte the tum par aur ham pe aahaa aahaa thaa aa ke tujh se jo thaa milaa laD kar paayaa kyaa 'azfari' ne laahaa thaa"
M
Mirza Zahirddin Azfari
Quote
"jabki ghusse ke biich aate ho laakh laakh ek ki sunaate ho kaise har khaae se bane pyaare baat karte hi kaaT khaate ho uDti chiDiyaa ko ham parakhte hain kase baaton mein tum uDaate ho kaho mujh se bhi chal sakoge kyaa baiTho ji baatein kyaa banaate ho jas na tis par na dekh dah paDnaa bhale matvaale madh ke maate ho jab main dekhun huun aankh bhar ke tumhein badal aankhein mujhe dhiraate ho kyaa tumhaari gadhi churaai main gaaliyaan de jo munh churaate ho jab na tab uTh ke 'azfari' kaa galaa daab dhamkaate aur Daraate ho"
M
Mirza Zahirddin Azfari
Quote
"hain jaane-bujhe yaar ham, ham saath an-jaani na kar dar se hamein durkaar naa jaani ye naadaani na kar ik dil thaa jo tujh ko diyaa hai aur dil jo aur le ham chaahein tujh chhuT aur ko ye baat divaani na kar arsh-e-ilaahulaalamin jaa-e-adab hai khol jhaD hai khaana-e-dil gharq par dekh ashk tughyaani na kar hain jhonpaDiyaan ham-saae mein mat aag in ko lag uThe nichli tu rah siine mein Tuk, Tuk aah jaulaani na kar ham ishq tere haath se kyaa kyaa na dekhin haalatein dekh aab-dida khuun na ho khun-e-jigar paani na kar aansu ke hai dariyaa pe aa dil kaa safina tar rahaa ab 'azfari' mat aah bhar kashti ye tufaani na kar"
M
Mirza Zahirddin Azfari
Quote
"soz-e-sham-e-hijr se shab jal gae Dhalte Dhalte aansu ham khud Dhal gae kal kaa vaa'da kyaa raqibon se kiyaa karte aaj aapas mein kuchh kal kal gae vo uThaa kar yak qadam aayaa na gaah ham qadam saan us ke sar ke bal gae kab chhupi chhab takhti aur vo chaal-Dhaal go ki munh par kar ke tum ojhal gae shart thi maanungaa jo maangoge tum naam-e-bosa sunte hi kuchh Tal gae saada-ru to dil ke ujle chor hain haath le ye maal kurte Tal gae ghuncha-e-dil 'azfari' taqrib-e-sair gul-rukhaan paamaal kar mal-dal gae"
M
Mirza Zahirddin Azfari
Quote
"is ki surat ko dekh kar bhule haae ham bhule sar-ba-sar bhule munh kaa miThaa thaa peT kaa khoTaa jhuTi miThi si baat par bhule dekho is meri yaad ko aur vo mujh pe kartaa nahin nazar bhule us ke ushshaaq ho gae vahshi sab ye khaana-kharaab ghar bhule jab faraamosh o yaad bhi khele ek idhar ham tum ik udhar bhule ham faraamosh ki faraamoshi aur tum yaad umr bhar bhule bhule-bhaTke se yaan tum aa nikle nashshe mein raah kuchh magar bhule nakhl-e-aah ek chhuT na phulegaa is ko phaltaa nahin samar bhule 'azfari' zor khaa gae dhokaa is ke zaahir pe tum aphar bhule"
M
Mirza Zahirddin Azfari
Quote
"siine kaa ab tak hai zakhm aalaa miyaan hai ani mizhgaan ki yaa bhaalaa miyaan kis zamaane ki ye dushman thi miri is mohabbat kaa ho munh kaalaa miyaan 'ishq mein tere luTe sab durr-e-ashk aisi var-kharchi ne ghar ghaalaa miyaan jo bisaat apni mein thaa hosh-o-khirad jhokaa jholi mein tire laalaa miyaan 'ishq ke zevar ko aansu mat kaho motiyon ki hai ye gul-maalaa miyaan khol paT ghunghaT kaa dikhlaayaa jamaal mere taale kaa khulaa taalaa miyaan sarv-e-baalaa ko tire to dekh kar ho gai duniyaa tah-o-baalaa miyaan neki meri aur badi apni ko jaan sab badi ko apni to Dhaalaa miyaan Taalaa, baalaa 'azfari' ko de gae kaan kaa apne dikhaa baalaa miyaan"
M
Mirza Zahirddin Azfari
Quote
"ghubaar dil mein bharaa kirkiri salaam-alaik hai kis ke kaam ki ye zaahiri salaam-alaik karein na sidhi nigah dusri salaam-alaik hai ab ke yaaron ki ye jharjhari salaam-alaik talavvun aisaa in abnaa-e-rozgaar mein hai ki subh miliye to hai charpari salaam-alaik mabaadaa baat mein bu-e-tamaa agar paavein phir un ki aankhon se teri giri salaam-alaik jo shaam dekho to phir in tilon mein tel nahin churaai aankhein hain bhauvein phiri salaam-alaik ba-qaul-e-shaaer-e-bangaala 'azfari' yuun rah ''ki khaanaa gaanTh kaa in se niri salaam-alaik''"
M
Mirza Zahirddin Azfari
Quote
"baarak-allaah main tire husn ki kyaa baat kahun saj kahun dhaj kahun chhab takhti kahun gaat kahun rukh o zulf us ke shab-e-taar mein dekhe baaham huun achambhe mein ise din kahun yaa raat kahun ki qayaamat tire qaamat ne to gulshan uupar pankhuDi ek taraf phuul kahun paat kahun taaq-e-abru ke nazaare ke the khvaahaan so milaa aur kyaa haajat ab ai qibla-e-haajaat kahun dekhne ko abhi dil taDpaa ki tum aa pahunche kashish-e-dil ki tumhaari ye karaamaat kahun ain hijraan mein bahaar-e-gul-o-baaraan aai girya aashiq kaa kahun yaa use barsaat kahun 'azfari' ne hain tire ishq mein jhele pyaare kyaa kyaa aafaat baliyyaat ki sadmaat kahun"
M
Mirza Zahirddin Azfari
Quote
"kiyaa hai tu ne to jaan-e-jahaan jahaan taskhir huaa hai husn kaa shohra tiraa to aalam-gir nahaa ke baal jo sarkaae gore chehre se to jaise chaand nikal aayaa kaali badri chiir na khub-ru tujhe kah sakte hain na mahr na maah ajab gaDhi yad-e-qudrat ne kuchh tiri tasvir jahaan paDaa tiraa saaya ugaa vahaan gulzaar qadam dharaa hai tu jis jaa banaa hai mushk-o-abir shikaar kar liyaa saaraa jahaan shikaar-andaaz huaa hai paar nigah se tiri nigaah kaa tiir hue na zabh na fitraak tak ye jaa pahunche idhar udhar hain taDapte ye nim-jaan nakhchir hai 'azfari' vo siyah-bakht saanp kaaTaa bhi paDi hai zulf ki aa jis ke paanv mein zanjir"
M
Mirza Zahirddin Azfari
Quote
"tu 'aashiqon ke taiin jab se qatl-e-naaz kiyaa khushi hain minnat-e-jaan se to be-niyaaz kiyaa kahaan ki 'aql kidhar ke havaas kaisaa hosh khirad ke qasr pe tu ne to tark-e-naaz kiyaa hamaare kalba-e-ahzaan mein kar qadam-ranja nihaal ham ko tu ai sarv-e-sarfaraaz kiyaa kiyaa thaa tegha-e-abru ne mukhtasar qissa pa teri kaakul-e-mushkin ne phir daraaz kiyaa dil aur laaun kahaan se lage jo auron se jo ek dil thaa so vo to tiri niyaaz kiyaa ye tifl-e-ashk miraa 'azfari' hai naashudani javaanaa-marg miri us ne faash raaz kiyaa"
M
Mirza Zahirddin Azfari
Quote
"ruup kuchh aan-baan mein kuchh hai aur maza is ke maan mein kuchh hai be-badal kah tujhe khaDaa saanea ye bhanak mere kaan mein kuchh hai karnaa sakhti na Tuk samajhnaa jaan jaan mujh naa-tavaan main kuchh hai ai musavvir shitaab ho ki abhi us kaa naqsha dhiyaan mein kuchh hai hai ye abru-kamaan hadaf-andaaz tiir saa is kamaan mein kuchh hai dhaan-paan hai mizaaj us ki to aan mein kuchh hai aan mein kuchh hai maan kaa paan bhi ghanimat jaan ab tavaazo jahaan mein kuchh hai vo munaafiq hai aadmi jis ke dil mein kuchh hai bayaan mein kuchh hai khol aankhein dilon ki dekho to laa-makaan yaa makaan mein kuchh hai ghair-e-khaaliq ke aur bhi logo is zamin-o-zamaan mein kuchh hai us sivaa hai to kuchh kaho baare jis ke vahm-o-gumaan mein kuchh hai dekhiyo 'azfari' ko Tuk aur hi aan-baan is javaan mein kuchh hai"
M
Mirza Zahirddin Azfari
Quote
"tiri tegh abru ki Tuk saamne kar dekhein to bachche khurshid bhi rakh munh pe sipar dekhein to mere khurshid-laqaa diid ki Tuk rukhsat de tere didaar ko phir ek nazar dekhein to tegh tole hue kaandhe pe jo aayaa hai savaar o sajile mire ghoDe se utar dekhein to mar gayaa jo use kahte hain huaa aaj visaal ji rachaa ziist se is hijr mein mar dekhein to bah chukaa khaana-e-dil aankh tak aa pahunchi sail roe jaa aur bhi ai dida-e-tar dekhein to aa ke aankhon kaa shabistaan miraa raushan kar de vo din aataa hai kab ai nur-e-basar dekhein to hai masal ghussa utar jaataa hai paanv pe gire qadmon par us ke bhalaa sar ko bhi dhar dekhein to din bahut biit gae galiyaan hain suuni tujh bin jaani ban-Than zari aa jaao idhar dekhein to sab kahein guzri pa guzri na ku-e-dil-bar mein rahe jaan 'azfari' is se bhi guzar dekhein to"
M
Mirza Zahirddin Azfari
Quote
"girah jo kaam mein Daale hai panjaa-e-taqdir majaal kyaa ki khule vo ba-naakhun-e-tadbir dilaa taDaph ke tu niklaa paDe hai siine se ye ghar ujaaD na ai ghar base pakaD Tuk dhiir shab-e-firaaq mein jaanaan ki main rahaa jiitaa ki sakht-jaan hai mujh ko hijaab daaman-gir lab us ke dekho to hai zulm-o-khun khuri ki dalil siyah misi pe nahin surkh paan ki tahrir ye pheink tir-e-nigah ji se maar Daalein hain bataao kar sake be-jaan sitam ki kyaa taqrir Tuk aankh uThaa ke jo dekhaa nazar se de paTkaa na thi ye 'azfari' itni gunaah ki taazir"
M
Mirza Zahirddin Azfari