Quote
"is ki shikaayat kaun karegaa dil ki vo haalat gar na rahi baare tere talavvun se yaksaani-e-shaam-o-sahar na rahi apni tarah is vahshat-gaah mein har unvaan se rusvaa hai jab se fughaan-e-nim-shabi mamnun-e-baab-e-asar na rahi unchi shaakh kaa phuul bhi kyaa aur qurbat ki makhmuri kyaa dur-o-qarib ki koi yaad bhi raahat-e-dil ban kar na rahi jiite rahe to Thaani hai ye naumidaana ziist karein aur koi tadbir na thi jo ab tak pesh-e-nazar na rahi kis birte par baatein banaaein yaani sher shiaar karein rang-e-zamaana dekh ke ham ko himmat-e-arz-e-hunar na rahi"







