Quote
"zinat-e-unvaan hai mazmun aalam-e-tauhid kaa matla-e-divaan na kyuun matla bane khurshid kaa ye savaad-e-naama hai yaa surma-e-taskhir hai hai bayaaz-e-safha yaa hai nuur subh-e-id kaa dair mein hai vo na hai kaabe mein aur hai sab kahin taalib-e-nazzaara ko gar ho saliqa diid kaa ho jo us ke naam par aaghaaz puuraa ho vo kaam hai bar-aarinda vahi har shakhs ki ummid kaa jo milaa us se use kahtaa hai aalam mar gayaa naam murda rakh diyaa hai zinda-e-jaaved kaa lan-taraani hi rahi us shokh ko ushshaaq se hausla paidaa na kis kis ko huaa go diid kaa taaza mazmun 'sehr' apni tab-e-mauzun se nikaal ho na tu tarz-e-sukhan mein aashnaa taqlid kaa"
M
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni






