SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMuntazir Lakhnavi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"yak-ba-yak jaataa rahaa dilbar jo ghar aayaa huaa dauDaa dauDaa main phiraa galiyon mein ghabraayaa huaa jaan kyaa jallaad ki leve dobaaraa hukm-e-qatl munh se us zaalim ne jo yakbaar farmaayaa huaa hijr mein us gul ke ye surat hamaari ban gai rang bhi hai zard aur chehra bhi murjhaayaa huaa khaana-e-dil se karein gham yaar kaa kis tarah duur dar se uThtaa hai muhassal koi biThlaayaa huaa kyaa ghazab TuuTe hai dekhein aashiqon ki jaan par aaj kuchh ghusse mein hai baiThaa vo jhunjhlaayaa huaa yuun kiyaa barbaad us gul ne dil-e-pazh-murda ko pheink de hai phuul jaise koi kumlaayaa huaa 'muntazir' kaa ji jalaa de kyon na har ik baat mein hai vo zaalim shoala-khu ghairon kaa bhaDkaayaa huaa"
M
Muntazir Lakhnavi
Quote
"jis ki ba-khudaa us but-e-kaafir pe nazar hai chhaati hai pahaaD us ki to patthar kaa jigar hai ai dil dur-e-dandaan ko zaraa dekh to us ke kyaa durj mein yaaqut ki ye silk-e-guhar hai kyaa saaf kahun yaar ke rukhsaar kaa ausaaf ik ghairat-e-khurshid hai ek rashk-e-qamar hai binaai kahaan itni nazar aae jo mujh ko baarik rag-e-jaan se bhi kuchh us ki kamar hai kartaa hai dilaa kis liye tu yaar ko badnaam baais tiri rusvaai kaa ye dida-e-tar hai samjhun na judaai ko main kyon vasl se behtar surat tiri aankhon ke tale aaTh pahar hai rotaa hai vo hasrat pe tiri sokhta-jaan ki juun sham-e-sahar jo koi sargarm-e-safar hai"
M
Muntazir Lakhnavi
Quote
"yaar se dast-o-garebaan na huaa thaa so huaa kabhi itnaa main pashemaan na huaa thaa so huaa vaaqai jaa-e-nadaamat to yahi hai ki kabhu mujh se jo kaam azizaan na huaa thaa so huaa tujh ko dekhe koi aur us se khafaa honaa haae kyaa karun ai dil-e-naadaan na huaa thaa so huaa kar ke nazzaara tan-e-saaf kaa us ke haihaat shakl-e-aaina jo hairaan na huaa thaa so huaa hanste hanste na sunaa thaa kahin ho khaana-kharaab rovo ab dida-e-giryaan na huaa thaa so huaa baal ve bikhre hue dekh ke rukh par us ke kabhu kaafir jo musalmaan na huaa thaa so huaa 'muntazir' is dil-e-betaab ke haathon shab-e-vasl kyaa kahein tum se miyaan jo na huaa thaa so huaa"
M
Muntazir Lakhnavi
Quote
"vo un zulfon kaa aalam abtari kaa sabab thaa meri shorida-sari kaa pari ki si ho jis zaalim ki raftaar vo kyaa jaane jatan aadam-giri kaa ajab apnaa bhi hai maashuq be-aib hunar hai jis mein aashiq-parvari kaa tiri jaadu-nigaahi jis ne dekhi vo kab qaail hai sehr-e-saamri kaa ravaan hain lakht-e-dil yuun chashm-e-nam se musaafir juun chale rasta tari kaa sharaf ashaab-e-kahf uupar rakhe hai jo sag hai aastaan-e-haidari kaa badi mat kar kisi ki 'muntazir' tu agar khvaahaan hai apni behtari kaa"
M
Muntazir Lakhnavi
Quote
"us shokh ke andaaz ko dekhaa to ghazab hai aur us ke sivaa naaz ko dekhaa to ghazab hai baaton mein jo chhal leve hai dil pir-o-javaan kaa us tifl-e-duaa-baar ko dekhaa to ghazab hai kyaa kyaa na kahaa us ne mujhe teri taraf se kaafir tire hamraaz ko dekhaa to ghazab hai har-chand ki hai tuti-e-hind ek hi khush-go par bulbul-e-shiraaz ko dekhaa to ghazab hai har-chand ki hai ishq kaa anjaam hi kuchh qahr har husn ke aaghaaz ko dekhaa to ghazab hai ham 'muntazir' itnaa na samajhte the use lek khuub us but-e-khud-saaz ko dekhaa to ghazab hai"
M
Muntazir Lakhnavi
Quote
"umr bhar us pe main maraa hi kiyaa vo masihaa bhi dam diyaa hi kiyaa thaa vo naa-aashnaa-mizaaj vale aakhirash ham ne aashnaa hi kiyaa aashiqi ke sivaa bhi ham ne aur jo kiyaa kaam so buraa hi kiyaa kar gae qais-o-koh-kan jo jo ham ne us se bhi kuchh sivaa hi kiyaa go bhalaa yaa buraa thaa sher apnaa sun ke yaaron ne vaah-vaa hi kiyaa ik na ik us ki zulf-e-barham se pech dil par mire paDaa hi kiyaa shab-e-furqat mein 'muntazir' har roz shama saa dil miraa jalaa hi kiyaa"
M
Muntazir Lakhnavi
Quote
"diida hai kahin dil kahin aur jaan kahin aur baiThaa to huun yaan par hai miraa dhyaan kahin aur kyon sair-e-gulistaan ko ham is kuche se jaavein lagtaa hi nahin dil kisi unvaan kahin aur duniyaa mein go mushkil koi aasaan nahin hoti shaayad ki ho mushkil miri aasaan kahin aur fariyaad ko ji chaahe to juz kucha-e-jaanaan jaanaa na kabhi ai dil-e-naadaan kahin aur hai turfa ki tujh saa na miraa dost ho naaseh aur jaaun silaane main garebaan kahin aur jis shahr mein ham rahte hain hai jaa-e-tilismaat aisi to pari hongi na insaan kahin aur ai 'muntazir' us zulf kaa tu chheD na qissa ho jaave tiraa dil na pareshaan kahin aur"
M
Muntazir Lakhnavi
Quote
"ham na vahshat ke maare marte hain teri dahshat ke maare marte hain maar mat be-muravvati se unhein jo muravvat ke maare marte hain shikva kyaa kiije shaam-e-ghurbat kaa apni shaamat ke maare marte hain kyaa raqibon ko maariye vo aap sab raqaabat ke maare marte hain yaar se duur hain vatan se judaa is musibat ke maare marte hain saikDon us se hainge ham-aaghosh laakhon hasrat ke maare marte hain kuchh hamaari na puchhiye saahab ham to ghairat ke maare marte hain hai ajab ziist 'muntazir' un ki jo ki ulfat ke maare marte hain"
M
Muntazir Lakhnavi
Quote
"ummid hai ki mujh ko khudaa aadmi kare par aadmi kare to bhalaa aadmi kare is tarah vo fareb se dil le gae miraa jis tarah aadmi se daghaa aadmi kare bhaatin nahin kuchh us ke nikalti hai apni jaan kyaa aise bevafaa se vafaa aadmi kare maaraa hai kohkan ne sar apne pe tesha aah dil ko lagi ho choT to kyaa aadmi kare gar kuchh kahaa bigaD ke main bas us ne hans diyaa kyaa aise aadmi kaa gilaa aadmi kare guzraa main aisi chaah se taa-chand ham-nashin baiThaa kisi ke sar ko lagaa aadmi kare hai ishq bad-maraz koi jaataa hai 'muntazir' kyaa khaak is maraz ki davaa aadmi kare"
M
Muntazir Lakhnavi
Quote
"yaadgaar-e-zamaana hain ham log sun rakho tum fasaana hain ham log khalq se ho gae hain begaane shaayad us ke yagaana hain ham log kyuun na har gul pe hovein zamzama-sanj bulbul-e-khush-taraana hain ham log sab ke makhdum hain vale tere khaadim-e-aastaana hain ham log tir-e-mizhgaan hai kyaa balaa jis ke jaan-o-dil se nishaana hain ham log yaar aage nikal gae hain kai pichhe un ke ravaana hain ham log apne ji mein samajh tu zulf-e-daraaz qaabil-e-taaziyaana hain ham log 'muntazir' shakl-e-bulbul-e-vahshi Dushman-e-aashiyana hain ham log"
M
Muntazir Lakhnavi