SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byNaqsh Layalpuri(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jab dard mohabbat kaa mire paas nahin thaa main kaun huun kyaa huun mujhe ehsaas nahin thaa TuuTaa miraa har khvaab huaa jab se judaa vo itnaa to kabhi dil miraa be-aas nahin thaa aayaa jo mire paas mire honT bhigone vo ret kaa dariyaa thaa miri pyaas nahin thaa baiThaa huun main tanhaai ko siine se lagaa ke is haal mein jiinaa to mujhe raas nahin thaa kab jaan sakaa dard miraa dekhne vaalaa chehra mire haalaat kaa akkaas nahin thaa kyuun zahr banaa us kaa tabassum mere haq mein ai 'naqsh' vo ik dost thaa almaas nahin thaa"
Naqsh LayalpuriNaqsh Layalpuri
Quote
"tamaam-umr chalaa huun magar chalaa na gayaa tiri gali ki taraf koi raasta na gayaa tire khayaal ne pahnaa shafaq kaa pairaahan miri nigaah se rangon kaa silsila na gayaa baDaa ajiib hai afsaana-e-mohabbat bhi zabaan se kyaa ye nigaahon se bhi kahaa na gayaa ubhar rahe hain fazaaon mein subh ke aasaar ye aur baat mire dil kaa Dubnaa na gayaa khule darichon se aayaa na ek jhonkaa bhi ghuTan baDhi to havaaon se dostaana gayaa kisi ke hijr se aage baDhi na umr miri vo raat biit gai 'naqsh' ratjagaa na gayaa"
Naqsh LayalpuriNaqsh Layalpuri
Quote
"main duniyaa ki haqiqat jaantaa huun kise milti hai shohrat jaantaa huun miri pahchaan hai she'r-o-sukhan se main apni qadr-o-qimat jaantaa huun teri yaadein hain shab-bedaariyaan hain hai aankhon ko shikaayat jaantaa huun main rusvaa ho gayaa huun shahr-bhar mein magar kis ki badaulat jaantaa huun ghazal phulon si dil sahraaon jaisaa main ahl-e-fan ki haalat jaantaa huun taDap kar aur taDpaaegi mujh ko shab-e-gham teri fitrat jaantaa huun sahar hone ko hai aisaa lage hai main suraj ki siyaasat jaantaa huun diyaa hai 'naqsh' jo gham zindagi ne use main apni daulat jaantaa huun"
Naqsh LayalpuriNaqsh Layalpuri
Quote
"palaT kar dekh lenaa jab sadaa dil ki sunaai de meri aavaaz mein shaayad miraa chehra dikhaai de mohabbat raushni kaa ek lamha hai magar chup hai kise sham-e-tamannaa de kise daagh-e-judaai de chubhein aankhon mein bhi aur ruuh mein bhi dard ki kirchein miraa dil is tarah toDo ke aaina badhaai de khanak uTThein na palkon par kahin jalte hue aansu tum itnaa yaad mat aao ke sannaaTaa duhaai de rahegaa ban ke binaai vo murjhaai si aankhon mein jo buDhe baap ke haathon mein mehnat ki kamaai de mire daaman ko vusat di hai tu ne dasht-o-dariyaa ki main khush huun dene vaale tu mujhe katraa ke raai de kisi ko makhmalin bistar pe bhi mushkil se niind aae kisi ko 'naqsh' dil kaa chain TuuTi chaarpaai de"
Naqsh LayalpuriNaqsh Layalpuri
Quote
"maanaa tiri nazar mein tiraa pyaar ham nahin kaise kahein ki tere talabgaar ham nahin sinchaa thaa jis ko khun-e-tamannaa se raat-din gulshan mein us bahaar ke haqdaar ham nahin ham ne to apne naqsh-e-qadam bhi miTaa diye lo ab tumhaari raah mein divaar ham nahin ye bhi nahin ke uThti nahin ham pe ungliyaan ye bhi nahin ke saahab-e-kirdaar ham nahin kahte hain raah-e-ishq mein baDhte hue qadam ab tujh se duur manzil-e-dushvaar ham nahin jaanein musaafiraan-e-rah-e-aarzu hamein hain sang-e-mil raah ki divaar ham nahin pesh-e-jabin-e-ishq usi kaa hai naqsh-e-paa us ke sivaa kisi ke parastaar ham nahin"
Naqsh LayalpuriNaqsh Layalpuri
Quote
"apni bhigi hui palkon pe sajaa lo mujh ko rishta-e-dard samajh kar hi nibhaa lo mujh ko chuum lete ho jise dekh ke tum aaina apne chehre kaa vahi aks banaa lo mujh ko main huun mahbub andheron kaa mujhe hairat hai kaise pahchaan liyaa tum ne ujaalo mujh ko chhaanv bhi dungaa davaaon ke bhi kaam aaungaa niim kaa paudaa huun aangan mein lagaa lo mujh ko doston shishe kaa saamaan samajh kar barson tum ne bartaa hai bahut ab to sambhaalo mujh ko gae suraj ki tarah lauT ke aa jaaungaa tum se main ruuTh gayaa huun to manaa lo mujh ko ek aaina huun ai 'naqsh' main patthar to nahin TuuT jaaungaa na is tarah uchhaalo mujh ko"
Naqsh LayalpuriNaqsh Layalpuri