SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byRazi Akhtar Shauq(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"rang ab yuun tiri tasvir mein bhartaa jaaun tujh pe rang aae main jaan se bhi guzartaa jaaun vo diyaa huun ki havaaon se bhi Dartaa jaaun fart-e-pindaar se phir raqs bhi kartaa jaaun 'ajab aashob diyaa mere khudaa ne mujh ko ik tamannaa-e-masihaai mein martaa jaaun mujh ko jhuTlaati rahin vo miri munkir aankhein aur main surat-e-khurshid ubhartaa jaaun mere chehre pe na jaao ki miraa husn hai ye apne likkhe hue lafzon mein nikhartaa jaaun aisi tanhaai kaa 'aalam hai ki har shakhs ke paas ik paziraai ki hasrat mein Thahartaa jaaun 'shauq' shaa'ir bhi huun andesha-e-jaan bhi hai mujhe ruuh mein shor karun lafz mein Dartaa jaaun"
Razi Akhtar ShauqRazi Akhtar Shauq
Quote
"na faasle koi rakhnaa na qurbatein rakhnaa bas ab ba-qadr-e-ghazal us se nisbatein rakhnaa ye kis taalluq-e-khaatir kaa de rahaa hai suraagh kabhi kabhi tiraa mujh se shikaayatein rakhnaa main apne sach ko chhupaaun to ruuh shor machaae azaab ho gayaa meraa samaaatein rakhnaa fazaa-e-shahr mein ab ke baDi kudurat hai bahut sambhaal ke apni mohabbatein rakhnaa ham ahl-e-fan ko bhi gum-naamiyaan thiin raas bahut huaa hai baais-e-rusvaai shohratein rakhnaa qasida-khvaani karo aur mauj uDaao ki 'shauq' tamaam kaar-e-ziyaan hai sadaaqatein rakhnaa"
Razi Akhtar ShauqRazi Akhtar Shauq
Quote
"main duniyaa apne andar dekhtaa huun yahin se saare manzar dekhtaa huun diye hain rang tasviron ko itne ki ab tasvir ban kar dekhtaa huun mire chehra se niklaa hai vo chehra ki aaina mukarrar dekhtaa huun zamin kaa maal-o-zar kyaa dekhtaa main kahaan main itnaa jhuk kar dekhtaa huun vo lamha jo abhi aaya nahin hai abhi se us ke tevar dekhtaa huun mujhe is jurm mein andhaa kiyaa hai ki binaai se baDh kar dekhtaa huun nashaat-e-did thaa aankhon kaa jaanaa ki ab pahle se behtar dekhtaa huun abhi kuchh maslahat baaqi hai shaayad abhi tak dosh par sar dekhtaa huun mujhe luuTaa hai itnaa rahzanon ne ki ab khud ko tavangar dekhtaa huun main vo paamaal-e-sahv-e-kuza-gar huun ki ik gardish baraabar dekhtaa huun koi lauTaa nahin hai jaane vaalaa magar ik khvaab aksar dekhtaa huun main tanhaa laD rahaa huun jang apni so pichhe ek lashkar dekhtaa huun kisi se koi andesha nahin hai yuun hi logon ke tevar dekhtaa huun ajab kyaa hai koi aavaaz aae so mein aavaaz de kar dekhtaa huun"
Razi Akhtar ShauqRazi Akhtar Shauq
Quote
"phir jo dekhaa duur tak ik khaamushi paai gai main to samjhaa thaa ki ik meri hi goyaai gai phir vahi baadal ki ji uDne ko chaahe jin ke saath phir vahi mausam ki jab zanjir pahnaai gai phir vahi taair vahi un ki ghazal-khvaani ke din phir vahi rut jis mein meri naghma-pairaai gai kuchh to hai aakhir jo saaraa shahr taariki mein hai yaa miraa suraj gayaa yaa meri binaai gai tham gae sab sang sab shor-e-malaamat ruk gayaa main hi kyaa ji se gayaa saari saf-aaraai gai puchhti hai dastakein de de ke shorida havaa kis kaa khema thaa ki jis mein raushni paai gai"
Razi Akhtar ShauqRazi Akhtar Shauq
Quote
"jis pal main ne ghar ki imaarat khvaab-aasaar banaai thi us lamhe viraani ne bhi ik raftaar banaai thi ham ne hi mahr ko zahr se badlaa varna zamin ki gardish ne din gham-khvaar banaayaa thaa aur shab dildaar banaai thi TuuTe dil palkon se sambhaalein ab aise fankaar kahaan varna ye duniyaa jab ujDi thi sau sau baar banaai thi apni raah ke saare kaanTe main ne aap hi boe the varna khvaab-e-azal ne duniyaa kam-aazaar banaai thi kucha kucha maatam hogaa galiyon galiyon vaavailaa is par pahle kyuun nahin sochaa jab dastaar banaai thi kab tak ek hi manzar chunte apni anaa ke zindaani aaj usi mein dar maangein hain jo divaar banaai thi"
Razi Akhtar ShauqRazi Akhtar Shauq
Quote
"jaane kyaa hai jise dekho vahi dil-gir lage shahr kaa shahr hi ab mo'taqid-e-mir lage subh aashufta-mizaajon ki pareshaan-e-sukhani raat ik maar-e-siyah jaise inaan-gir lage ab to jis aankh ko dekho vahi pathraai hui ab to jis chehre ko aavaaz do tasvir lage jaane kis shahr-e-tilismaat mein aa niklaa huun apne qadmon ki sadaa halqa-e-zanjir lage yahi maqdur-e-masaafat hai ki kheme jal jaaein yahi maqsum-e-safar hai ki koi tiir lage zindagi bhar jinhein jaan kah ke pukaaraa gayaa 'shauq' vahi siine se mire surat-e-shamshir lage"
Razi Akhtar ShauqRazi Akhtar Shauq
Quote
"chheD ke saaz-e-zargari khalq-e-khudaa hai raqs mein yuun ki tamaam shahr hi Duub chalaa hai raqs mein ye jo nasha hai raqs kaa ik miri zaat tak nahin kuza-ba-kuza gil-ba-gil saath khudaa hai raqs mein koi kisi se kyaa kahe koi kisi ki kyuun sune! sab ki nazar hai taal par sab ki anaa hai raqs mein husn ki apni ik numu ishq ki apni haao-hu ek havaa hai rang mein ek havaa hai raqs mein kaun ye kah ke chal diyaa ho tiri bastiyon ki khair aaj havaa bhi tez hai aur diyaa hai raqs mein koi savaad-e-vaqt par koi surud-e-zaat tak paanv hai sab kaa ek saa phir bhi judaa hai raqs mein burj-e-shahi se dekhnaa aise fishaar-e-vaqt mein khaak-ba-sar ghazal-ba-lab kaun gadaa hai raqs mein"
Razi Akhtar ShauqRazi Akhtar Shauq
Quote
"jis ne banaayaa har aaina main hi thaa aur phir us mein apnaa tamaasha main hi thaa mere qatl kaa jashn manaayaa duniyaa ne phir duniyaa ne dekhaa zinda main hi thaa mahl-saraa ke sab chehron ko jaantaa huun jis se gae the dil tak raasta main hi thaa dekh liyaa zindaanon ki divaaron ne un se qad mein buland-o-baalaa main hi thaa main hi nahin to kaun se log aur kaise log kaun si duniyaa saahab-e-duniyaa main hi thaa mulkon mulkon phir kar khaali haath miyaan lauTne vaalaa vo shahzaada main hi thaa duniyaa tu ne khaali haath mujhe jaanaa zaalim teraa sab sarmaaya main hi thaa meraa suraagh lagaane vaale jaante hain jab tak thaa main apnaa havaala main hi thaa"
Razi Akhtar ShauqRazi Akhtar Shauq
Quote
"khvaabon ki ik bhiiD lagi hai jism bechaaraa niind mein hai aadhaa chehra niind se baahar aadhaa chehra niind mein hai ik ijlaas thaa divaanon kaa jis ki ye rudaad bani! sadiyon se bimaar hai duniyaa aur masihaa niind mein hai aahan-paikar aavaazon par ham ne jinhein taskhir kiyaa sote sote chaunk uThte hain aisaa dhaDkaa niind mein hai haft-aflaak ne dastak de kar puchhaa thaa kis haal mein ho ik darvesh ne baDh ke sadaa di ye sayyaara niind mein hai pal bhar mein shoala bhaDkegaa shahr khanDar ho jaaeinge jalti shamein haath mein le kar ruh-e-zamaana niind mein hai jaag rahi hai ruh-e-aahan khvaab mein hai insaan kaa zamir bedaari ki sau lahrein hain phir bhi ye duniyaa niind mein hai uTThegaa aur lamha-bhar mein hashr bapaa ho jaaegaa har lamha aisaa lagtaa hai koi fitna niind mein hai shahr-panaah ki divaaron par ik duzdaana aahaT hai aur main us ko dekh rahaa huun shahr to saaraa niind mein hai"
Razi Akhtar ShauqRazi Akhtar Shauq
Quote
"kaise kaTe qasida-go harf-garon ke darmiyaan koi to sar-kashida ho itne saron ke darmiyaan ek to shaam rang rang phir mire khvaab rang rang aag si hai lagi hui mere paron ke darmiyaan haath liye hain haath mein phir bhi nazar hai ghaat mein ham-safaron ki khair ho ham-safaron ke darmiyaan ab jo chale to ye khulaa shahr kushaada ho gayaa baDh gae aur faasle ghar se gharon ke darmiyaan kaise uDuun main kyaa uDuun jab koi kashmakash si ho mere hi baazuon mein aur mere paron ke darmiyaan jaam-e-sifaal-o-jaam-e-jam kuchh bhi to ham na ban sake aur bikhar bikhar gae kuza-garon ke darmiyaan jaise luTaa thaa 'shauq' mein yunhi mataa-e-fan luTi ahl-e-nazar ke saamne dida-varon ke darmiyaan"
Razi Akhtar ShauqRazi Akhtar Shauq
Quote
"inhi galiyon mein ik aisi gali hai jo mere naam se tanhaa rahi hai ab is se aur bhi shamein jalaa lo savaad-e-jaan mein ik mashal jali hai hamaare sar gae sang-e-harifaan mai-o-minaa se aafat Tal gai hai main bahr-e-aazmaaish bhi jalaa huun ki dekhun mujh mein kitni raushni hai ilaahi khair ho in bastiyon ki pas-e-divaar ik parchhaain si hai savaad-e-shahr mein koi balaa hai jo vahshat bin ke pichhaa kar rahi hai hui phir shaam phir din bhar ki shorish gali-kuchon mein chhap kar so gai hai kuchh aise so rahe hain shahr vaale ki ik muddat mein niind un ko mili hai ye ghar sote ke sote hi na rah jaaein havaa-e-hashr-saamaan chal rahi hai hui phir subh zakhmon ke ufuq se fazaa phir taaza dam ho kar uThi hai kisi qaidi ko phir khvaabon se uTh kar kisi zanjir ne aavaaz di hai gharon se chand lamhon ki rifaaqat bichhaD kar shahr ki jaanib chali hai lahu ristaa hai dast-e-shisha-gar se fazaa aaina-khaana ban gai hai phir apne daaere qausein banaae vahi miTTi vahi kuza-gari hai tum is se kyaa bachoge 'shauq'-saahab ki qismat mein yahi gardish likhi hai"
Razi Akhtar ShauqRazi Akhtar Shauq