SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"khvaab dekhe the suhaane kitne jaag uThe dard puraane kitne ek jalve ki faraavaani se ban gae aaina-khaane kitne chaal se haal ki laate hain khabar log hote hain siyaane kitne buujh kar bhi na bataaun tujh ko teri muTThi mein hain daane kitne be-iraada jo hue ashk-e-ravaan luT gae gham ke khazaane kitne tum zaraa ruuTh ke dekho to sahi log aate hain manaane kitne ham ne sirf ek tabassum ke liye zakhm khaae hain na jaane kitne Duub marne kaa nahin koi javaaz zinda rahne ke bahaane kitne sard-mehri se tiri mahfil mein jal-bujhe log na jaane kitne yaad-e-maazi se simaT aae hain ek lamhe mein zamaane kitne ik nazar dekhaa thaa us ne 'saahir' gaDh liye dil ne fasaane kitne"
Sahir HoshiyarpuriSahir Hoshiyarpuri
Quote
"dard-e-dil bhi kabhi lahu hogaa koi armaan to surkh-ru hogaa aarzu koi bar na aaegi yahi anjaam-e-aarzu hogaa dekh kar mere dil ki barbaadi kaun shaidaa-e-rang-o-bu hogaa aaine mein hamein vo dekheinge aaina un ke ru-ba-ru hogaa ham na honge to ai gham-e-jaanaan kis ko yaaraa-e-aarzu hogaa kuchh to farmaaein aap tum yaa tu kuchh to andaaz-e-guftugu hogaa un ke andaaza-e-karam ke liye har nafas vaqf-e-aarzu hogaa taab-e-nazzaara-e-jamaal kise ek main hungaa ek tu hogaa mere aate hi bazm saaqi mein sab ke lab par subu subu hogaa harf-e-matlab zabaan pe kyuun aae ye to izhaar-e-aarzu hogaa manzilon se guzar ke bhi 'saahir' dil kaa maqsud justuju hogaa"
Sahir HoshiyarpuriSahir Hoshiyarpuri
Quote
"ranj-o-aalaam se mohabbat hai sai-e-naakaam se mohabbat hai zindagi-bhar na ho sahar jis ki ham ko us shaam se mohabbat hai kyaa khatar gardish-e-falak se hamein gardish-e-jaam se mohabbat hai baada sahbaa sharaab se daarad aise har naam se mohabbat hai baada-o-jaam se mohabbat thi baada-o-jaam se mohabbat hai har ghaDi dil mein yaad hai un ki bas usi naam se mohabbat hai un mein shaan-e-khudaa hai jalva-fagan ham ko asnaam se mohabbat hai dushman-e-jaan hai ye mohabbat bhi said ko daam se mohabbat hai qadr-e-isaar kyaa vo samjheinge jin ko anjaam se mohabbat hai us ki tashrih kyaa ho ai 'saahir' dard-e-be-naam se mohabbat hai"
Sahir HoshiyarpuriSahir Hoshiyarpuri
Quote
"tairegaa fazaa mein jo samundar na milegaa dil saa bhi zamaane mein shanaavar na milegaa saahil se to andaaza-e-tufaan bhi hai dushvaar tah mein jo na utroge to gauhar na milegaa vaabasta hai is bazm se hi ghar kaa tasavvur uTh jaaegi jab bazm to phir ghar na milegaa parvaaz khalaaon mein mubaarak tumhein lekin ik baar bikhar kar to ye paikar na milegaa sar phoDne vaale rahein vallaah salaamat kuchh din mein ibaadat ko bhi patthar na milegaa har zarra hai firdaus-e-nazar had-e-nazar tak bedaar na honaa ki ye manzar na milegaa sairaab jo hain un ki havas aur baDhi hai is bhiiD mein pyaason ko samundar na milegaa tum lutf-e-mulaaqaat ko khvaabon mein basaa lo ye lamha masarrat kaa bichhaD kar na milegaa har sher mein izhaar se ehsaas ham-aaghosh is daur mein 'saahir' saa sukhan-var na milegaa"
Sahir HoshiyarpuriSahir Hoshiyarpuri
Quote
"Taalne se vaqt kyaa Taltaa rahaa aastin mein saanp ik paltaa rahaa maut bhi leti rahi apnaa khiraaj kaarobaar-e-zist bhi chaltaa rahaa koi to saancha kabhi aaegaa raas main har ik saanche mein yuun Dhaltaa rahaa shahr ke saare mahal mahfuz the teraa meraa aashiyaan jaltaa rahaa zindagi mein aur sab kuchh thaa hasin apnaa honaa hi mujhe khaltaa rahaa bujh gae tahzib-e-nau ke sab charaagh ek miTTi kaa diyaa jaltaa rahaa aarzuein khaak mein milti rahin nakhl-e-ulfat phultaa phaltaa rahaa ban ke sone kaa hiran teraa vajud mere mahsusaat ko chhaltaa rahaa raat bhar suuni rahi birhan ki sej aur aangan mein diyaa jaltaa rahaa zikr-e-haq bhi thaa bajaa 'saahir' magar mai-kashi kaa daur bhi chaltaa rahaa"
Sahir HoshiyarpuriSahir Hoshiyarpuri
Quote
"vo jis ko ham ne apnaayaa bahut hai usi ne dil ko taDpaayaa bahut hai hamaare qatl ki saazish ke darpai hamaaraa nek ham-saaya bahut hai dil-e-dard-aashnaa shauq-e-shahaadat mohabbat mein ye sarmaaya bahut hai ajab shai hai chaman-zaar-e-tamannaa samar koi nahin saaya bahut hai khataa us ki nahin dil ko hamin ne tamannaaon mein uljhaayaa bahut hai khudaa mahfuz rakhe aasmaan ko zamin ko is ne jhulsaayaa bahut hai tiri yaad aai hai to aaj ham ko dil-e-gum-gashta yaad aayaa bahut hai ba-naam-e-hazrat-e-naaseh bhi ik jaam ki us ne vaaz farmaayaa bahut hai na kyuun Thukraaein ham duniyaa ko 'saahir' hamein bhi us ne Thukraayaa bahut hai"
Sahir HoshiyarpuriSahir Hoshiyarpuri
Quote
"duniyaa mein har qadam pe hamein tirgi mili dekhaa jo apne dil ki taraf raushni mili ulfat mili khulus milaa dosti mili har dil mein ham ko apni hi tasvir si mili naagaah jaise bichhDaa huaa ham-safar mile gham mil gayaa to dil ko baDi taazgi mili shaayad miri talaash kaa maqsad hi thaa ghalat aavaaz di khirad ko to divaangi mili hai apni zindagi ki ye tafsir-e-mukhtasar gham mustaqil milaa to khushi aarizi mili jo ho chalaa thaa dil ko sukun un ke hijr mein vo mil gae to phir use vaaraftagi mili ishrat-kada hai dahr magar shaikh ke liye ham ko to ik ghaDi bhi na aaraam ki mili vo aur honge pi ke jo sarshaar ho gae har jaam se hamein to nai tishnagi mili jaagir apni shaaeri pahle se thi magar ik umr jab riyaaz kiyaa saahiri mili"
Sahir HoshiyarpuriSahir Hoshiyarpuri
Quote
"gham kaa sahraa na milaa dard kaa dariyaa na milaa ham ne marnaa bhi jo chaahaa to vasila na milaa muddaton baa'd jo aaine mein jhaankaa ham ne itne chehre the vahaan apnaa hi chehra na milaa qatl kar ke vo ghanimon ko jo vaapas aae apne hi ghar mein unhein koi shanaasaa na milaa ham bhi jaa nikle the suraj ke nagar mein ik din vo andheraa thaa vahaan apnaa bhi saaya na milaa tishna-lab yuun to zamaane mein kabhi ham na rahe pyaas jo dil ki bujhaa detaa vo dariyaa na milaa mil gae ham ko sanam-khaanon mein kitne hi khudaa DhunDne par koi banda hi khudaa kaa na milaa aap ke shahr mein peDon kaa nahin koi shumaar do ghaDi rukne ko lekin kahin saaya na milaa sabz patton se milaa ham ko bahaaron kaa suraagh shaakh-e-naazuk pe magar koi shagufa na milaa mustahaq ham tiri rahmat ke na hone paae teri duniyaa mein koi 'uzr khataa kaa na milaa khud-numaai ke bhi is daur mein ham ko 'saahir' koi qaatil na milaa koi masihaa na milaa"
Sahir HoshiyarpuriSahir Hoshiyarpuri